Posts

Showing posts from June, 2021

Aws and Khazraj

Image
         Dard-o-ghum aur ranj-o-alam ki taareek(andheri) raat ab sahar-aashna (subah) hone waali hai ,Islam aur uske maanne waalo ki zor o shor se Haq ki sada buland karne ki intizaar ki muddat ab khatm hone waali hai. Woh waqt ab qareeb aa gaya hai ke Allah Rabbul Izzat Ne Apne Mehboob Jaleel-ul-Qadr Rasoolﷺ Ke Saath Fatah wa Nusrat ke jo waadey kiye the woh pure kiye jaaye ,Islam ki azmat ka Alam (jhanda, Flag) ab is shaan se lehraaya jaane waala hai ke koi aandhi , koi toofan us ko jhuka na sakein. Uske Alam-bardaaro ka Shams (sooraj) ab tulu (nikalna, rise) hone wala hai taakey zulm se pareshaan duniya ka gosha gosha Noor-e-Tauheed se damak uthe Ahl-e-Makka ko Jihaalat ki neend se bedaar karne ke liye👑Haadi-e-Ins-o-Jaan Syyedina RasoolAllahﷺ ne 13 saal ka taweel arsa raat din an-thak koshish farmaayi lekin kuchh khush-naseebo ke alawa kisi ko taufeeq naseeb na hui ke woh apne Haadi-e-Barhaq Syyedina RasoolAllahﷺ ki Pur-Khuloos dawat qubool kar le. Ayyam-e...

Mir Ali Ayyubi

                                                                     👑 Mir Ali Ayyubi 👑 Quazi Tola:- Siwan jiska purana naam Ali Ganj hai ,shuru se hi bahot si tareekhi maamlaat ka haamil raha hai aur Auliya-e-Karam ka pasandida jagah bhi rahi hai, isi zile ke andar ek jagah hai jiska naam  * Tarwara *  hai , aur Tarwara ka purana naam isse bhi zyada khubsurat hai  jo ki is ilaaqe ke kuchh raazo ko bhi kholta hai, Tarwara ka purana naam *" Takiya Faiyyaazi (تکیہ فیّازی)*" hai . Tarwara urf "Takiya Faiyyaazi (تکیہ فیّازی)" ka zara lafzi matlab bhi dekh lete hai kyunki har cheez ka naam uski khusoosiyaat ki buniyaad par rakhi jaati hai. Takiya Faiyyaazi (تکیہ فیّازی) me do lafz hai pehla "Takiya(تکیہ)" aur dusra "Faiyyaazi(فیّازی)". Lafz "Takiya(تکیہ)" ko urdu lughat me *"Aaraam karne ki jagah,...