👑MANAAQIB-E-ANSAAR 👑
👑 MANAA QIB-E-ANSAAR 👑 MAZAAR-E-AQDAS SYYEDINA HAZRAT SULTAN ABU AYUB KHALID AL-KHAZRAJI AL-NAJJARI AL-ANSARI رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ Allah Rabbul Izzat Ne Irshaad Farmaaya : وَ الَّذِیۡنَ اٰوَوۡا وَّ نَصَرُوۡۤا اُولٰٓئِکَ ہُمُ الۡمُؤۡمِنُوۡنَ حَقًّا ؕ اور جنہوں نے جگہ دی اور مدد کی وہی سچے ایمان والے ہیں . Aur Jinho'n Ne Jagah Di Aur Madad Ki Wohi Sachche Imaan Waale Hai'n (Surah Anfaal ,Ayat No-74) Syyedina Hazrat Anas Radiallaho Ta’ala Anho Bayaan Karte Hai Ki Huzoorﷺ Ne Farmaaya …..! Ansaar Se Mohabbat Imaan Ki Alaamat Hai Aur Ansaar Se Bughz Nifaaq Ki Alaamat Hai. (Yeh Hadees Muttafaq Alaih Hai) Aur Isi Tarah Ek Dusri Riwaayat Me Syyedina Hazrat Anas Radiallaho Ta’ala Anho Se Marwi Hai Ki Huzoorﷺ Ne Farmaaya….! Munaafiq Ki Alaamat Ansaar Se Bughz Rakhna Aur Momin Ki Alaamat Ansaar Se Mohabbat Karna Hai. (Is Hadees Ko Imam Muslim Ne Riwaayat Ki...