👑MANAAQIB-E-ANSAAR 👑

      👑MANAAQIB-E-ANSAAR 👑 

 

MAZAAR-E-AQDAS SYYEDINA HAZRAT SULTAN ABU AYUB KHALID AL-KHAZRAJI AL-NAJJARI AL-ANSARI رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ

بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

Allah Rabbul Izzat Ne Irshaad Farmaaya :
وَ الَّذِیۡنَ اٰوَوۡا وَّ نَصَرُوۡۤا اُولٰٓئِکَ ہُمُ الۡمُؤۡمِنُوۡنَ حَقًّا ؕ 
 اور جنہوں نے جگہ دی اور مدد کی وہی سچے ایمان والے ہیں .
 Aur Jinho'n Ne Jagah Di Aur Madad Ki Wohi Sachche Imaan Waale Hai'n 
 (Surah Anfaal ,Ayat No-74)

Syyedina Hazrat Anas Radiallaho Ta’ala Anho Bayaan Karte Hai Ki Huzoorﷺ Ne Farmaaya …..! Ansaar Se Mohabbat Imaan Ki Alaamat Hai Aur Ansaar Se Bughz Nifaaq Ki Alaamat Hai.
 (Yeh Hadees Muttafaq Alaih Hai)

Aur Isi Tarah Ek Dusri Riwaayat Me Syyedina Hazrat Anas Radiallaho Ta’ala Anho Se Marwi Hai Ki Huzoorﷺ Ne Farmaaya….! Munaafiq Ki Alaamat Ansaar Se Bughz Rakhna Aur Momin Ki Alaamat Ansaar Se Mohabbat Karna Hai. (Is Hadees Ko Imam Muslim Ne Riwaayat Kiya Hai). 

Imam Tabraani Syyedina Hazrat Ibn-e-Abbaas رضی اللہ تعالی عنہما se raawi hai :-
Banu Hashim aur Ansaar ka Bughz Kufr Hai Aur Arab Ka Bughz Munaafiqat
(كتاب الشرف المؤبّد لآل محمد,page 258)

(1) Syyedina Hazrat Bara,A Radiallaho Ta’ala Anho Bayaan Karte Hai Ki Maine Huzoorﷺ Ko Farmaate Huwe Suna ,Ya Aapne Kaha Ke Huzoorﷺ Ne Farmaaya : Ansaar Se Sirf Momin Mohabbat Karta Hai Aur Unsein Bughz Sirf Munaafiq Rakhta Hai (Aur Imam Nasaai Ki Riwaayat Me Hai Ki Unsein Sirf Kaafir Bughz Rakhta Hai ) Pass Jisnein Unsein Mohabbat Rakhi Usse Allah Ne Mohabbat Rakhi Aur Jisnein Unsein Bughz Rakha Usse Allah Ne Bughz Rakha
 (Yeh Hadees Muttafaq Alaih Hai).
Aur Imam Nasaai Radiallaho Ta’ala Anho Ne Isey Baab: “Alaamat-Al-Imaan” Me Bayaan Kiya Hai Sub’haan’allah Issey Imam Nasaai Ka Aqeedah Ma’aloom Hota Hai Kyunke Tarjamat-Al-Baab Mohaddis Ka Aqeedah Hota Hai Aur Yahi Usool-E-Hadees Me Se Ek Usool Hai Jisko Imam Ibn-E-Hajar Asqalaani Radiallaho Ta’ala Anho Ne Bayaan Farmaaya Hai.

(2) Syyedina Hazrat Anas Radiallaho Ta’ala Anho Bayaan Karte Hai Ki Huzoorﷺ Ne Ansaar Ke Kuchh Bacho Aur Aurato Ko Shaadi Se Aate Huwe Dekha , Huzoorﷺ Khade Ho Gaye, Huzoorﷺ Ne Farmaaya : Mujhe Logon Me Sabse Zyadah Mehboob Tum (Ansaar) Ho.
(Yeh Hadees Muttafaq Alaih Hai).

Isi Tarah Syyedina Hazrat Abu Hurairah Radiallaho Ta’ala Anho Se Aur Syyedina Hazrat Abu Saeed Khudri Al-Khazraji Al-Ansari Radiallaho Ta’ala Anho Bayaan Farmaate Hai Ki Huzoorﷺ Ne Farmaaya : Who Shakhs Jo Allah Aur Aakhirat Par Imaan Rakhta Hai Woh Ansaar Se Bughz Nahi Rakhta . Is Hadees Ko Syyedina Hazrat Imam Tirmizi Radiallaho Ta’ala Anho Aur Syyedina Hazrat Imam Abu Dawood Radiallaho Ta’ala Anho Ne Riwaayat Kiya Hai ,Syyedina Hazrat Imam Tirmizi Radiallaho Ta’ala Anho Ne Is Hadees Ko Hasan Qaraar Diya Hai.
Bukhari Wa Muslim Me Ek Maqam Par Manaaqib-E-Ansaar Ke Baab Me Ek Umdah Hadees Raqm Ki Gayi Hai Jiske Alfaaz Kuchh Is Tarah Hai.-----
“Syyedina Hazrat Anas Bin Maalik Al-Khazraji Al-Ansari Radiallaho Ta’ala Anho Farmaate Hai Ki Afzal-Ul-Bashar Baad-Al-Ambiya Amir-Ul-Momineen Syyedina Hazrat Abu Bakr Siddique Radiallaho Ta’ala Anho Aur Syyedina Hazrat Abbaas Bin Abdul Muttalib Radiallaho Ta’ala Anho Ansaar K Ek Majlis Se Guzrey To Dekha Woh Ro Rahe The To Farmaay : Kya Cheez Tumhe Rula Rahi Hai ? To Unhone (Ansaar) Ne Kaha : Hamein Apni Majlis Me Huzoorﷺ Ka Baithna Yaad Aa Raha Hai To Woh Baargaah-E-Risaalat Me Haazir Huwe Aur Saari Surat-E-Haal Arz Ki ,Is Par Huzoorﷺ Hujra-E-Mubarak Se Baahar Tashreef Laaye Aur Aapne Chaadar-E-Mubaarak Ka Ek Sira Sar-E-Aqdas Par Patti Ki Tarah Baandh Rakha Tha, Raawi Ka Bayaan Hai Ki Huzoorﷺ Mimbar Par Jalwa-Afroz Huwe Aur Yeh Aakhri Baar Huzoorﷺ Mimbar Par Jalwa-Afroz Huwe The ,Uske Baad Huzoorﷺ Mimbar Par Jalwa-Afroz Nahi Huwe Hai , Huzoorﷺ Ne Allah Ta’ala Ki Hamd-O-Sana Bayaan Karke Farmaaya : Main Tumhe Ansaar Ke Baare Me Nek Sulook Ki Wasiyat Karta Hu Kyunki Woh Mera Ma’adah Aur Zanbeel (Ya’ani Mere Khaas Mahram’raaz Hai) Unpar Jo Faraaiz The Who Ada Kar Chookey Aur Unka Haq Baaqi Hai Lihaaza Unke Nek Logon Ki Neki Qubool Karna  Aur Jo Unmein Se Qusoorwaar Ho Unsein Dar’guzar Karna”. (Yeh Hadees Bhi Muttafaq Alaih Hai)
(3) Syyedina Hazrat Abu Bakr Bin Anas Radiallaho Ta’ala Anho Apne Baap Dada Se Riwaayat Karte Hai Ke Ansaari Log Huzoorﷺ Ke Paas Aaye Aur Kahney Lage : Ya Rasoolallahﷺ Hamaare Liye Maghfirat Ki Dua Farmaaiye ,Aapﷺ  Ne Farmaaya: Aye Allah! Ansaar Ki Maghfirat Farmaa Aur Ansaar Ke Beton Aur Ansaar Ke Poto Ki Bhi Maghfirat Farmaa ! Ansaar Ne Arz Kiya: Ya Rasoolallahﷺ Ghairo Se Hamaare Bacho Ke Liye Bhi ? To Aapﷺ Ne Farmaaya Aur Ansaar Ke Bacho Ke Liye ,Ansaar Ne Kaha: Ya Rasoolallahﷺ ! Hamaare Ghulaamo Ke Liye Bhi ,Aapﷺ Ne Farmaaya :Ansaar Ke Ghulaamo Ke Liye Bhi ,Ummul Hakam Bayaan Karti Hai Ke Unhone Syyedina Hazrat Anas Radiallaho Ta’ala Anho Se Suna Tha To Yeh Lafz Zyada The :Ansaar Ke Beton Aur Bhaaiyo Ki Biwiyon Par Bhi Raham Farma.
(Sahih Muslim;4/1948; Musnad Al-Imam Ahmad:3/139-162; Fazaail-E-Sahaaba,1410)

(4) Syyedina Hazrat Imam Hasan Basari Radiallaho Ta’ala Anho Se Riwaayat Hai Ke Rasoolallahﷺ Ne Farmaaya : Jo Mujhse Mohabbat Karta Hai To Woh Ansaar Se Bhi Mohabbat Karega Aur Jo Mujhse Bughz Rakhta Hai Woh To Woh Ansaar Se Bhi Bughz Rakhega Aur Unsein Sirf Momin Mohabbat Karega Aur Sirf Munaafiq Bughz Rakhega.
(Musannaf Abdurr Razzaaq:59/11;Fazaail-E-Sahaba,1411) 

(5) Syyedina Hazrat Ka’ab Bin Maalik Radiallaho Ta’ala Anho Se Riwaayat Hai Aur Yeh (Syyedina Hazrat Ka’ab Bin Maalik Radiallho Ta’ala Anho) Unhi Teen (3) Aadmiyon Me Se Ek Hai Jin Ki (Ghazwa-E-Tabook Me Bila-Uzr Peechhe Rahne Ki Taqseer Par) Tauba Qubool Ki Gayi Thi Woh Ashaabun’nabiﷺ Me Se Kisi Ek Se Riwaayat Karte Hai K Ek Din Rasoolallahﷺ Apne Sar-E-Mubarak Ke Dard Ki Haalat Me Tashreef Laaye Aur Khutba Irshaad Farmaaya: Ammaa Ba’ad ! Muhaajireen Ke Giroh  Tum Roz Badhte Jaa Rahe Ho Magar Ansaar Nahi Balke Woh Usi Haalat Me Subah Karte Hai Magar ANSAAR MERI PANAAH’GAAH THE PASS TUM ANSAAR KI IZZAT KARO AUR UNKI LAGZISHO SE DARGUZAR KARO.
(Musnad Al-Imam Ahmad:500/3,Sunan Tirmizi:714/5,Fazaail-E-Sahaba,1412)

(6) Syyedina Hazrat Yahya Bin Sa’eed Radiallaho Ta’ala Anho Se Riwaayat Hai Ki Rasoolallahﷺ Ne Farmaaya: Har Nabi Koi Na Koi Miraas Chhodta Hai AUR YAQEENAN MAIN ANSAAR KO BATAUR-E-MIRAAS CHHOD RAHA HU Aur Ek Daur Aayega Ke Dusre Log To Bahot Ho Jaayenge Lekin Ansaar Kam Rah Jaayenge Pass Tum Ansaar Ki Izzat Karo Aur Unki Lagzisho Se Darguzar Karo.
(Al-Maraasil Al-Ibn Abi Haatim,Page-235,Fazaail-E-Sahaaba,1413)

(7) Syyedina Hazrat Abu Saeed Khudri Radiallaho Ta’ala Anho Se Riwaayat Hai Ke Rasoolallahﷺ Ne Farmaaya: Allah Aur Uske Rasool Par Imaan Rakhne Wala Shakhs Ansaar Se Kabhi Bhi Bughz Nahi Rakhta.
(Sahih Muslim:86/1;Sunan Al-Tirmizi 715/5)

(8) Syyedina Hazrat Abu Hurairah Radiallaho Ta’ala Anho Se Riwaayat Hai Ki Rasoolallahﷺ Ne Irshaad Farmaaya: Jo Shakhs Ansaar Ke Saath  Mohabbat Karega , Allah Usse Mohabbat Karega Aur Jo Shakhs Ansaar Se Bughz Rakhega , Allah Usse Bughz Rakhega.
 (Sahih Al-Bukhari 113/1;Sunan Ibn-E-Maja 57/1)

 (9) Syyedina Hazrat Abu Saeed Khudri Radiallaho Ta’ala Anho Se Riwaayat Hai Ke Rasoolallahﷺ Ne Irshaad Farmaaya: Allah Aur Yaum-E-Aakhirat Par Imaan Rakhne Wala Shakhs Ansaar Se Kabhi Bhi Bughz Nahi Rakhta . 
 (Taqaddum Takhreej Fi Raqam:1414)

 (10) Syyedina Hazrat Abu Hurairah Radiallaho Ta’ala Anho Se Riwaayat Hai Ke Rasoolallahﷺ Ne Irshaad Farmaaya: Baadshaahat Quraish,Quzzaat Ansaar, Azaan Habshiyo Aur Nekiyo Me Sabqat Ahl-E-Yaman Me Rahegi.
  (Sunan Al-Tirmizi 727/5; Musnad Al-Imam Ahmad 364/2)

  (11) Syyedina Hazrat Abu Zaahiriyah Radiallaho Ta’ala Anho Nabi-E-Ghaibdaaﷺ  Se Naqal Karte Hai Yeh Riwaayat Bhi Mazkoorah Riwaayat Hi Ke Misl Hai Magar Usmein Yeh Alfaaz Zyada Hai Ke Amaanat’daari Qabila-E-Azd Me Hai.
  (Sunan Al-Tirmizi 727/5, Musnad Al-Imam Ahmad 364/2)

  (12) Syyedina Hazrat Abu Hurairah Radiallaho Ta’ala Anho Ne Fatah-E-Makka Ka  Tazkira Karte Huwe Bayaan Kiya Ke Jab Rasoolallahﷺ  Ne Mujhe Dekha To Irshaad Farmaaya : Aye Abu Hurairah Radiallaho Ta’ala Anho ! Maine Arz Kiya : Haazir Hu Ya Rasoolallahﷺ ! Irshaad Farmaaya : Ansaar Ko Aawaaz Do ,Waha Mere Aur Ansaar Ke Alaawah Aur Koi Nahi Aayega , Jab Maine Aawaaz Di To Saare Aa Gaye  Aur  Rasoolallahﷺ Ke  Ird-Gird Jama Huwe, To Irshaad Farmaaya : Kya Tum Quraish Ke Sardaaron Aur Unke Pairokaaro Ko Dekh Rahe Ho ? Phir Apne Haatho Ko Ek Dusre Par Rakh Kar Ishara Farmaaya Ke Ab Inko Kaat Do Yaha Tak Ke Mujhe Safa Pahaad Par Milo,Syyedina Hazrat Abu Hurairah Radiallaho Ta’ala Anho Ne Bayaan Kiya: Hum Chale Gaye Jisko Chaha Hamnein Qatl Kiya Unmein Se Kisi Ne Hamaari Taraf Mutawajja Hone Ki  Jurraat Nahi Ki,  Syyedina Hazrat Abu Sufyaan Radiallaho Ta’ala Anho Ne Arz Kiya: Ya Rasoolallahﷺ ! Quraish Ka Bahot  Bada Hissa Kaam Aa Gaya, Aaj Ke Baad Quraish Ka Wajood Mit Gaya Hai, Rasoolallahﷺ Ne Irshaad Farmaaya: Jisnein Apna Darwaza Band Kar Liya To Yaqeenan Who Aman Me Rahega Aur Jo (Syyedina) Abu Sufyaan(Radiallaho Ta’ala Anho) Ke Ghar Panaah Le Woh Bhi Aman Me Rahega To Logon Ne Darwaaze Band Kar Liye , Rasoolallahﷺ Ne Hajr-E-Aswad Ke Saamne Aakar Usey Istilaam Kiya,Raawi Ne Mazeed Bayaan Kiya Ke Phir Aapﷺ  Safa Par Tashreef Le Gaye, Baitullah Ki Taraf Mutawajja Hokar Haath Buland Kiya Aur Allsh Ta’ala Ka Zikr Kiya Jitna Ho Saka Aur Duaaye Maangi Ansaar Neeche The ,Raawi Kahtey Hai :Ba’az Ba’az Se Kahne Lagey : Aapﷺ Ko Apne Shahar Ki Raghbat Aur Rishtedaari Ne Mutaassir Kar Diya Hai, Syyedina Hazrat Abu Hurairah Radiallaho Ta’ala Ano Kahte Hai: Aapﷺ Par Wahi Naazil Hoti  To Hum Par Makhfi Na Karte Aur Na Hum-Mein Se Koi Aapﷺ Ki Taraf Aankh Uthaakar Dekhta Jab Tak Wahi Puri Na Hoti , Rasoolallahﷺ Ne Irshaad Farmaaya: Aye Ansaar Ke Giroh ! Kya Tum Logon Ne Kaha Ke Aapﷺ Ko Apne Shahar Ki Raghbat Aur Rishtedaari Ki Mohabbat Ne Gher Liya Hai ? Unhone Arz Kiya: Ji Ha Ya Rasoolallahﷺ ! Hamnein Aisa Kaha Hai ,Aap ﷺ Ne Irshaad Farmaaya : Phir Mera Naam Kya Hoga ? Halaanke Aisa Hargizz Nahi Hai , Main Allah Ka Banda Aur Uska Rasool Hu ,Maine Tumhari Taraf Allah Ke Waastey Hijrat Ki Hai AB TO ZINDAGI AUR MAUT TUMHARE (ANSAAR) SAATH HI HAI.
  Syyedina Hazrat Abu Hurairah Radiallaho Ta’ala Anho Kahtey Hai: Woh (Ansaar) Saare Rotey Huwe Saamne Aakar Kahne Lagein : Hamnein Yeh Baatein Sirf Allah Aur Uske Rasoolﷺ Ke Hirs Me Kahi Thi , Phir Rasoolallahﷺ Ne Irshaad Farmaaya: Allah Aur Uske Rasoolﷺ Tumhe Sacha Samajhte Hai Aur Tumhare Uzr Ko Qubool Karte Hai. (Sahih Muslim 1405/3; Musnad Al-Imam Ahmad 538-539/2)

  (13) Syyedina Hazrat Abdullah Ibn-E-Abbaas Bin Abdul Muttalib Radiallaho Ta,Ala Anho Se Riwaayat Hai Ki Rasoolallahﷺ Ka Jhanda Syyedina Hazrat Ali Radiallaho Ta’ala Anho Ke Paas Aur Ansaar Ka Jhanda Syyedina Hazrat Sa’ad Bin Obaadah Radiallaho Ta’ala Anho Ke Paas Hota Tha Aur Jab Sakht Jung Chhid Jaati To Rasoolallahﷺ  Ansaar Ke Jhande Taley Aa Jaate The.
  (Musnad Al-Imam Ahmad:368/1; Tareekh Al-Kabeer Lil’bukhaari 258/2/3)

  (14) Syyedina Hazrat Abu Saeed Khudri Radiallaho Ta’ala Anho Se Riwaayat Hai Ki Maine Nabi-E-Kareemﷺ Ko Yeh Farmaate Huwe Suna :- Behtareen Ansaar Ya Yeh Farmaaya Ke Ansaar Ke Gharaano Me Se Behtareen Banu Najjaar , Banu Abdul Ash’hal , Banu Haaris Aur Banu Sa’adah Hai.
  (Sahih Bukhari ,Jild-2,Hadees-977)
  Note:- Syyedina Hazrat Sultan Abu Ayub Khalid Al-Khazraji Al-Najjari Al-Ansaari Radiallaho Ta’ala Anho Banu Najjaar Gharaane Ke Hi Sardaar Aur Raees The Aur Yeh (Banu Najjaar Gharaana Huzoorﷺ Aur Tamaam Banu Hashim Aur Ahle-Bait Ka Nanihaali Gharaana Hai.

  (15) Syyedina Hazrat Abu Humaid Radiallaho Ta’ala Anho Se Riwaayat Hai Ki Nabi-E-Kareemﷺ  Ne Farmaaya:- Beshaq Ansaar Ke Gharaano Me Se Behtareen Gharaana Banu Najjaar Ka Hai ,Phir Banu Abdul Ash’hal Ka , Phir Banu Haaris Ka Aur Phir Banu Sa’adah Ka ,Agarche Ansaar Ka  Har Gharaana Hi Behtareen Hai, Jab Unki Mulaaqaat Syyedina Hazrat Sa’ad Bin Obaadah Radiallaho Ta’ala Anho Se Hui To Syyedina Hazrat Usaid Ne Kaha: Kya Aapne Nahi Dekha Ke Nabi-E-Kareemﷺ Ne Ansaar Ke Behtareen Gharaane Bayaan Farmaaye To Hamein Aakhir Me Rakha ,To Syyedina Hazrat Sa’ad  Yeh Sunkar Nabi-E-Kareemﷺ Ki Baargaah Me Haazir Huwe Aur Arz Ki: Ya Rasoolallahﷺ  Aapne Ansaar Ke Behtareen Gharaane Bayaan Farmaaye To Hamein Aakhir Me Rakha Hai,Farmaaya:Kya Tumhaare Liye Yeh Kaafi Nahi Hai Ke Tumhe Ansaar Ke Behtareen Logon Me Shumaar Kiya Gaya Hai.
  (Sahih Bukhari Shareef,Jild-2,Hadees-978)

  (16) Syyedina Hazrat Anas Radiallaho Ta’ala Anho Se Riwaayat Hai Ki Huzoorﷺ Ne Irshaad Farmaaya: Har Nabi Ke Liye Tarka Aur Wiraasat Hoti Hai , Mera Tarka Aur Wiraasat Ansaar Hai,Unke Baare Me Mujhe Yaad Rakho ,Aapﷺ  Ne Farmaaya “Ansaar Mere Mehboob Hai,Mere Deen Me Mere Bhai Hai,Mere Dushman Ke Khilaaf Mere Madadgaar Hai”
  (Subul Al-Huda War-Rishaad,Jild-3,Page-238)

  (17) Syyedina Hazrat Ibn-E-Abbaas Radiallaho Ta’ala Anho Se Riwaayat Hai Ke Nabi-E-Kareemﷺ Ne Farmaaya: “Aye Banu Qayla ! Allah Ta’ala Ne Meri Madad Aisi Qaum Se Farmaayi Jo Zabaan (Fasaahat Wa Balaaghat) Aur Baazu (Quwwat-E-Baazu) Ke Aitbaar Se Bahot Mazboot Hai”. “Banu Qayla Se Muraad Aus Aur Khazraj (Ansaar) Hai”
  (Subul Al-Huda War-Rishaad,Jild-3,Page-233-234)

  (18) Syyedina Hazrat Abu Waaqid Al-Laisi Radiallalho Ta’ala Anho Se Riwaayat Hai , Unhone Farmaaya Main Baargaah-E-Risaalat Me Haazir Tha Ke Ek Shakhs Aapﷺ Ki Khidmat Me Haazir Hua , Usnein Aapﷺ Se Sargoshi Ki Jisey Sunkar Aapﷺ  Ka Chehra-E-Anwar Mutaghaiyyar Ho Gaya ,Aapﷺ Ke Khadd-Wa-Khaal Me Khoon Tezi Se Daudne Laga ,Phir Farmaaya : “Yeh Aamir Bin Tufail Ka Qaasid Hai Jo Mujhe Dhamkiyaa De Raha Hai , Allah Ta’ala Meri Taraf Se Usey Aulaad-E-Ismaeel Alaihis’salaam Me Se Do(2) Gharaano (Aus Wa Khazraj [Ansaar]) Ke Saath Kaafi Ho Gaya Hai, Aye Banu Qayla ! Ya’ani Ansaar.
  (Subul Al-Huda War-Rishaad,Jild-3,Page-234)
  Note: Ansaar (Banu Aus Aur Banu Khazraj) Ko Banu Qayla Ya’ani Qayla Ki Aulaad Isliye Bhi Kaha Jaata Hai Kyunki Ansaar Ke Do Jadd(Great Grandfather) Aus Aur Khazraj Dono Sagge Bhai The Aur Unki Waalidah Ka Naam Qayla Tha Isliye Inhe Banu Qayla Bhi Kaha Jaata Hai Ya’ani Qayla Ki Aulaad )

  (19) Syyedina Hazrat Abu Hurairah Radiallaho Ta’ala Anho Se Riwaayat Hai Ki Rasoolallahﷺ Ne Irshaad Farmaaya :Agar Hijrat Na Hoti To Main Ansaar Me Se Hota ,Agar Log Ek Waadi Ya Ghaati Me Chale To Main Ansaar Ki Ghaati Me Chalunga.
  (Musnad Al-Imam Ahmad 501/2; Musnad Ash-Shafa’ee Page-280)

  (20) Syyedina Hazrat Anas Radiallaho Ta’ala Anho Se Riwaayat Ki Jab Rasoolallahﷺ  Badar Ki Taraf Rawaana Huwe To Logon Se Mashwarah Liya , Syyedina Hazrat Abu Bakr Siddique Radiallaho Ta’ala Anho Ne Mashwarah Diya , Phir Logon Se Mashwarah Liya , Phir Syyedina Hazrat Omar Al-Farooque Radiallaho Ta’ala Anho Ne Mashwarah Diya , To Rasoolallahﷺ  Khamosh Rahein Phir Ek Ansaari Ne Kaha: Aye Logon ! Rasoolallahﷺ  Tum (Ansaar) Se Mukhaatib Hai To Ansaar Ne Kaha: Ya Rasoolallahﷺ ! Hum Bani Israel Ki Tarah Nahi Hai Jinhone Kaha: Aye Musaa !  Tum Aur Tumhara Rab Jaao Khud Jihaad Karo Aur Hum Yaha Par Baithe Huwe Hai (Surah Ma’aidah:24), Lekin Allah Ki Qasam !  Agar Aapﷺ  Bark-Al-Ghamaad Maqam Tak Apni Sawaari  Par Jaayenge To Hum Aapﷺ  Ke Saath Jaayenge .
  (Sahih Muslim 1403/3; Musnad Al-Imam Ahmad 105/3)

  (21) Syyedina Hazrat Mo’ammar Radiallaho Ta’ala Anho Se Riwaayat Hai Ki Rasoolallahﷺ Ne Irshaad Farmaaya: Aye Allah Ansaar , Ansaar Ke Bacho Aur Unke Poto Ki Maghfirat Farmaa.
  (Musannaf Abdur Razzaaq:62/11)

  (22) Syyedina Hazrat Ikrama Radiallaho Ta’ala Anho Se Riwaayat Hai Ki Ohad Ke Din Rasoolallahﷺ Ke Saamne Saat(7) Ansaariyo Ne Jaaam-E-Shahaadat Nosh Kiya , Sab Kahtey The: Mera Seena Rasoolallahﷺ Ke Seene Ki Jagah Aur Meri Jaan Aap ﷺ Ke Mubaarak Nafs Ki Khaatir Qurbaan Hai.
  (Sahih Al-Bukhari 1356/3; Sahih Muslim 1443/3)

  (23) Syyedina Hazrat Zaid Bin Jaariya Radiallaho Ta’ala Anho Se Riwaayat Hai Ke  Hum Ansaar Ke Ek Giroh Me Baithe Huwe The  To Itne Me Syyedina Hazrat Muawiya Radiallaho Ta’ala Anho Tashreef Laaye Aur Unhone Unki Guftugu Ke Baare Me Unsein Sawaal Kiya To Unhone Kaha: Hum Ansaar Ke Baare Me Baat-Chit Kar Rahe Hai To Syyedina Hazrat Muawiya Radiallaho Ta’ala Anho Ne Farmaaya : Kya Main Tumhari Guftugu Me Izaafa Na Karu Jo Maine Rasoolallahﷺ Se Suni Hai ? Unhone Kaha: 
  Amir-Ul-Momineen ! Kyun Nahi, To Unhone Bayaan Kiya Ke Maine Rasoolallahﷺ  Se Suna Aapﷺ Farma Rahe The : Jo Shakhs Ansaar Se Mohabbat Karega ,Allah Usse Mohabbat Karega  Aur Jo Ansaar Se Bughz Rakhega Allah Ta’ala Usse Bughz Rakhega.
  (Musnad Al-Imam Ahmad 96-100/4; Taareekh Al-Kabeer Lil-Bukhari 343/2/1, Iski Sanad Sahih Hai)

  Note:- Yaha Ansaar Se Mohabbat Ke Alawah Ek Baat Aur Pata Chali Ki Syyedina Hazrat Amir Muawiya Radiallaho Ta’ala Anho Amir-Ul-Momineen The Isiliye Ansaar Ne Unhe Amir-Ul-Momineen Kehkar Mukhaatib Huwe ,Lihaza Jo Shakhs Aitraaz Karte Hai Ki Syyedina Hazrat Amir Muawiya Radiallaho Ta’ala Anho Ko Amir-Ul-Momineen Nahi Kehna Chahiye (Ma’azallah) Unhe Chahiye Ki Tauba Karein )
  (24) ‘ANSAAR KHAADIM-E-RASOOL HONE KI WAJAH SE LOGON KE MAKHDOOM BAN GAYE’
  Syyedina Hazrat Anas Bin Maalik Al-Khazraji Al-Najjari Al-Ansari Radiallaho Ta’ala Anho Bayaan Karte Hai Ke Main Hazrat Jareer Bin Abdullah Bajali Ke Saath Ek Safar Me Gaya , Woh Us Safar Me Meri Khidmat Karte The, Maine Unsein Kaha: Aisa Na Karo ,Unhone Kaha Maine Ansaar (Aus Wa Khazraj) Ko Jab Se Nabi-E-Kareemﷺ Ki Khidmat Karte Huwe Dekha To Maine Qasam Khaayi Ke Main Jab Bhi Kisi Ansari (Ausi Wa Khazraji) Ke Saath Jaaunga To Uski Khidmat Karunga,Syyedina Hazrat Jareer Bin Abdullah Bajali Radiallaho Ta’ala Anho  Syyedina Hazrat Anas Bin Maalik Al-Khazraji Al-Najjari Al-Ansari Radiallaho Ta’ala Anho Se Bade The, Ibn Bashshaar Ne Kaha: Syyedina Hazrat Anas Bin Maalik Radiallaho Ta’ala Anho Se Zyadah Umr Ke The.
  (sahih muslim shareef,jild-3, page-377, kitab fazaail-us-sahaba radiallaho ta’ala anhum,45-baab-un fi-husni sahaabat-il-ansaar radiallaho ta’ala anhum,hadees no-6375)

NOTE:- YEH SAARE FAZAAIL SIRF AUR SIRF UNHI SAADAAT AUR ANSAAR SHUYUKH KE LIYE HAI JAB TAK UNKA AQEEDAH SAHI HO ,SUNNI HANFI BARELVI HO KYUN KE IS ZAMAANE ME SIRF WAAHID SYYEDINA AALAHAZRAT RADIALLAHO TA'ALA ANHO KI ZAAT HAI JO HAQ AUR BAATIL ME SEEDHA FAISLA KARTI HAI LIHAAZA UNKE DAAMAN SE WAABASTA HO AUR AALA HAZRAT RADIALLAHO TA'ALA ANHO NE JO RAASTA BATLAAYA HAI WAHI SAHABA  ,AIMMA-E-MUJTAHIDEEN,SYYEDINA SHAIKHUL ISLAM PIR-E-HERAT ,SYYEDINA SULTANUL AULIYA GHAUSUL AAZAM , SYYEDINA KHWAJA GHAREEB NAWAAZ RADIALLAHO TA'ALA ANHUM AJMAEEN KA MASLAK AUR SAHI RAASTA HAI AUR BADMAZHAB SE DOOR REHTA HO SULEHKULLIYAT SE DOOR REHTA HO KYUN KE " SYYEDINA HAZRAT ABU HURAIRAH RADIALLAHO TA'ALA ANHO NE KAHA KE HUZOOR ﷺ NE FARMAAYA :- 
BADMAZHAB AGAR BEEMAAR PADE TO UNKI AYAADAT NA KARO ,AGAR MAR JAAYE TO UNKE JANAAZEY ME SHAREEK NA HO , UNSEIN MULAAQAAT HO TO UNHEIN SALAAM NA KARO ,UNKE PAAS NA BAITHO, UNKE SAATH PAANI NA PIYO , UNKE SAATH KHANA  NA KHAAO ,UNKE SAATH SHAADI BIYAAH NA KARO  , UNKE JANAAZE KI NAMAAZ NA PADHO AUR NA UNKE SAATH NAMAAZ PADHO.
(SAHIH MUSLIM SHAREEF)
IS HADEES KO ABU DAWOOD NE SYYEDINA HAZRAT IBN-E-OMAR RADIALLAHO TA'ALA ANHO AUR IBN-E-MAAJA NE SYYEDINA HAZRAT JAABIR RADIALLAHO TA'ALA ANHO SE AUR AQEEL WA IBN-E-HABBAAN NE SYYEDINA HAZRAT ANAS RADIALLAHO TA'ALA ANHO SE RIWAAYAT KIYA HAI.
(سنن ابن ماجہ ، عن جابر بن عبداللہ ، حدیث - ۹۲،جِلد-۱ ،صفحہ - ۷۰ ؛ "کنز العمال "، عن انس ، حدیث - ۳۲۵۲۶، جِلد- ۶، صفحہ - ۲۴۶)
Taalib-e-Dua:- Mir Mohammad Tausif Raza Qadri Razvi Al-Ayyubi


  

Comments

Popular posts from this blog

SHAJRAH-E-TAYYIBAH SILSILA-E-AALIYAH QADRIYAH BARKAATIYAH RAZVIYA NOORIYA

SHAB E BARAAT KE QURAN WA AHAADEES SE DALAAIL AUR AITRAAZAAT KA JAWAAB

ISLAM AUR SANATAN DHARM ME AURAT KA MAQAAM