MUKHTAR SAQIFI KAZZAAB AUR MURTAD THA
Mukhtar Bin Abu Ubaid Saqifi Ne Hazrat Syyedina Imam Hussain رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ke Qaatileen Ke Baare Me Bada Shandaar Karnaama Anjaam Diya Lekin Aakhir Me Woh Dawa-E-Nabuwwat Kar Ke Murtid Ho Gaya. ( العیاذ باﷲ ) Kehne Laga Ke Mere Paas Jibraeel-E-Amin Aata Hai Aur Mujh Par Allah Ta'ala Ki Taraf Se Wahee Laata Hai Mein Bataur Nabi Mab'oos Huwa Hu. Mukhtar Saqifi Ek Jaleel-Ul-Qadar Sahabi-E-Rasool Hazrat Syyedina Abu Ubaid Ibne Mas'ood Saqfi رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ka Beta Tha Daawa-E-Nabuwat Ke Baad Yeh Mal'oon Murtad Ho Gaya Jis Tarah Yazid Mal'oon Qaatil-E-Ahle Bait Ho Kar Mal'oon Thehra Aur Usey Azeem-Ul-Martabat Sahabi-E-Rasool Amir-Ul-Momineen Hazrat Syyedina Ameer Muawiya رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ka Beta Hona Koi Faidah Na De Saka Isi Tarah Mukhtaar Saqifi Bhi Mal'oon-Wa-Murtad Thehra Jab Is Ne Daawa-E-Nabuwat Kiya To Usay Jaleel-Ul-Qadr Sahabi-E-Rasool Hazrat Abu Obaid Ibne Mas'ood Saqifi رَض...