MUKHTAR SAQIFI KAZZAAB AUR MURTAD THA

 

Mukhtar Bin Abu Ubaid Saqifi Ne Hazrat Syyedina Imam Hussain رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ke Qaatileen Ke Baare Me Bada Shandaar Karnaama Anjaam Diya Lekin Aakhir Me Woh Dawa-E-Nabuwwat Kar Ke Murtid Ho Gaya. ( العیاذ باﷲ ) Kehne Laga Ke Mere Paas Jibraeel-E-Amin Aata Hai Aur Mujh Par Allah Ta'ala Ki Taraf Se Wahee Laata Hai Mein Bataur Nabi Mab'oos Huwa Hu. Mukhtar Saqifi Ek Jaleel-Ul-Qadar Sahabi-E-Rasool Hazrat Syyedina Abu Ubaid Ibne Mas'ood Saqfi رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ka Beta Tha Daawa-E-Nabuwat Ke Baad Yeh Mal'oon Murtad Ho Gaya Jis Tarah Yazid Mal'oon Qaatil-E-Ahle Bait Ho Kar Mal'oon Thehra Aur Usey Azeem-Ul-Martabat Sahabi-E-Rasool Amir-Ul-Momineen Hazrat Syyedina Ameer Muawiya رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ka Beta Hona Koi Faidah Na De Saka Isi Tarah Mukhtaar Saqifi Bhi Mal'oon-Wa-Murtad Thehra Jab Is Ne Daawa-E-Nabuwat Kiya To Usay Jaleel-Ul-Qadr Sahabi-E-Rasool Hazrat Abu Obaid Ibne Mas'ood Saqifi رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ka Beta Hona Koi Faidah Nah De Saka Magar Aaj Kal Ba'az Sunniyon Ke Labaade Mein Chhupey Raafzi Is Mal'oon-Wa-Murtid Ko Apna Rehnuma Maantey Hain Un Ke Liye Wohi Hukm Hai Jo Mirza Ghulam Ahmed Qadyaani Jhoothey Nabuwat Ke Daawe'daar Ke Pairokaron Ka Hai Aaiye Ab Hum Mukhtar Saqifi Mal'oon Ke Baare Me Tafseeli Dalail Ke Saath Padhte Hain Allah Ta'ala Hamein Har Qism Ke Fitnon Se Bachaaye.

آمـــــــــــــــــــین بجاہ السَــیّـدِ المُرسَلین صلَّی الله تعالیٰ عَلیْهِ وَاٰلهٖ وَسَلَّم🌹🥀🌹

 

 

Syyedina Imam Jalaluddin Suyuti رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Likhte Hain

Syyedina Abdulllah Bin Zubair رَضِیَ اللّٰہُ تَعَالٰی عَنْہُمَا Ke Daur Me Mal'oon Mukhtar Saqafi Ne Daawa-E-Nabuwwat Kiya To Aap Ko Jab Is Ke Daawa-E-Nabuwwat Ki Khabar Mili To Aap Ne Is Ki Sarkoobi Ke Liye Lashkar Rawaana Farmaya Jo Mukhtaar Saqafi Par Ghaalib Huwa Aur Maah-E-Ramazaan 67 Hijri Mein Yeh Bad-Bakht Mal'oon-O-Kazzaab Maara Gaya

Reference:-

Taarikhul Khulafa ,Page-146.

 

Hadees Shareef Me Hai 3 Giroh Sahaba Aur Ahlebait Ke Dushman Hai ,Khawaarij, Nawaasib, Aur Rawaafiz

 

Nawaasib Yeh Khawaarij Se Nikle Hain Jo Ahlebait Se Bughz-O-Adaawat Rakhte Hain Haqeeqat Mein Yeh Bhi Rawaafiz Hain Nawaasib Mein Ek Bada Naam Hajjaaj Bin Yousuf Ka Bhi Aata Hai Yeh Shakhs Intehaa Ka Zaalim Saffaaq Aur Amir-Ul-Momineen Asadullaahil Ghaalib   Syyedina Ali رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Se Bughz Mein Ma'aroof Tha Nabi-E-Kareem Ne Is Ke Baare Me Aagaah Farma Diya Tha Syyedah Asma'a Bint Abi Bakr رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهَـا Bayaan Karti Hain Ke Rasoolallah Ne Farmaya

"ان فی ثقیف کذابا و مبیرا"

Banu Saqeef Mein Ek Kazzaab Aur Ek Mubeer ( Halaak O Barbaad Karne Wala ) Paida Hoga.

Reference:-

Sahih Muslim,2545.

 

Shaareh Sahih Muslim Shaikh-Ul-Islam Qutub-E-Waqt Haafiz-Ul-Hadees Mohiyuddeen Yahya Bin Sharf Nawawi Al-Asadi Al-Qarashi رَضِیَ اللّٰہُ تَعَالٰی عَنْہُمَا   Farmaate Hai :-

"اتفق علماء علی ان المراد بالکذاب   ھنا المختار بن ابی عبید وباالمبیر حجاج بن یوسف"

Olama'a Ka Ittefaaq Hai Ke Yaha Kazzaab Se Muraad Mukhtar Bin Abu Ubaid Aur Mubeer Se Muraaf Hajjaaj Bin Yousuf Hai

Reference:-

Sharah Nawawi (16/100)

 

Syyedina Haafiz Shamsuddin Abu Abdullah Mohammad Al-Ma'aroof Imam Zahbi رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ "Meezaanul Aitidaal" Me Tahat-At-Tarjama Mukhtaar Bin Abu Ubaid Saqafi Likhte Hain Ke Yeh Kazzaab Hai, Aise Shakhs Se Koi Bhi Riwaayat Naqal Karna Jaaiz Nahi Kyuke Yeh Na Sirf Khud Gumraah Shakhs Tha Balke Doosron Ko Bhi Gumraah Karne Wala Tha, Yeh Kehta Tha Ke Hazrat Syyedina Jibraeel علیہ السلام Is Par Naazil Huwe The. 

Reference:-

( Meezaanul Aitidaal,Jild-6 Tahat-At-Tarjama Mukhtaar Bin Abu Ubaid Saqfi)

 

 

Tafseer Ibne Haatim Me Jild-4, Page-1379, Me Hai:-

عَزَّ وَجَلَّ : وَإِنَّ الشَّيَاطِينَ لَيُوحُونَ

 Ke Tafseer Ke Tahat Imam Ibne Abi Haatim Syyedina Abdullah Ibne Omar رَضِیَ اللّٰہُ تَعَالٰی عَنْہُمَا Ka SAHIH SANAD Ke Saath Qaul Laaye Hai

  "أَبُو سَعِيدٍ الأَشَجُّ ثنا أَبُو بَكْرِ بْنُ عَيَّاشٍ عَنْ أَبِي إِسْحَاقَ قَالَ: قَالَ رَجُلٌ لابْنِ عُمَرَ: إِنَّ الْمُخْتَارَ يَزْعُمُ أَنَّهُ يُوحَى إِلَيْهِ. قَالَ : صَدَقَ فَتَلا هَذِهِ الآيَةَ: وَإِنَّ الشَّيَاطِينَ لَيُوحُونَ إِلَى أَوْلِيَائِهِمْ ۔"

   Tarjama:- Abu Ishaaq Kehte Hain Ke Ibne Omar رَضِیَ اللّٰہُ تَعَالٰی عَنْہُمَا Se Ek Bande Ne Kaha Ke Mukhtaar Is Ghalat Fahmi Me Hai Ke Us Par Wahee Aati Hai, Is Par Abdullah Ibne Omar رَضِیَ اللّٰہُ تَعَالٰی عَنْہُمَا Ne Kaha Mukhtaar Sach Keh Raha Hai Aur Saath Yeh Aayat Bhi Padhi Ke Shayateen Apne Saathiyon Par Wahee Karta Hain.

    Reference:-

    ( Tafseer Ibne Haatim, Jild-4, Page-1379)


Nabi-E-Kareem صَلَّی اللّٰہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَسَلَّمَ Ne Farmaaya:-

اِنَّ فِی ثَقِیفَ کَذَّابًا وَمُبِیرًا

Ya'ani "Beshaq Qabila-E-Saqif Me Ek Bada Jhootha Aur Ek Zaalim Hoga.

(Sahih Muslim Shareef)

Kazzaab Se Muraad Mukhtar Bin Abu Ubaid Saqifi Hai Jisnein Nabuwwat Wa Uloohiyat Wagairah Ka Daawa Kiya Tha , Jabki Mubeer(مُبِیر) Ya'ani Zaalim Se Muraad Hajjaaj Ibne Yusuf Hai Jaisa Ke Aqwaal-E-Sahaba Karaam رضي الله تعالیٰ عنهم اجمعين Se Saabit Hai:-

Jaam'e Tirmizi Shareef ,

 Baab- جَاءَ فِي ثَقِيفٍ كَذَّابٌ وَمُبِيرٌ (Qabila-E-Banu Saqif Me Ek Jhootha Aur Ek Halaaq Karne Wala Hoga)

  Hadees No- 2220

   "حدثنا علي بن حجر، حدثنا الفضل بن موسى، عن شريك بن عبد الله، عن عبد الله بن عصم، عن ابن عمر، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " في ثقيف كذاب ومبير "، قال ابو عيسى: يقال الكذاب: المختار بن ابي عبيد، والمبير: الحجاج بن يوسف، ۔"

    Tarjama:-

     Hazrat Syyedina Abdullah Ibne Omar رَضِیَ اللّٰہُ تَعَالٰی عَنْہُمَا Farmaate Hai Ki Nabi-E-Kareem Ne Farmaaya "Banu Saqif Me Ek Jhootha Aur Ek Halaaq Karne Wala Hoga"

Syyedina Imam Tirmizi رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Farmaate Hai Ki "Kazzaab Aur Jhoothey Se Muraad Mukhtar Bin Abu Ubaid Saqifi Aur Halaak Karne Wala Se Muraad Hajjaaj Ibne Yusuf Hai"

Reference:-

(Tohfatul Ashraaf, 7283,Sahih)

 

Mukhtar Bin   Abu Ubaid Saqifi Ki Shohrat Us Waqt Hui Jab Us Ne Shahqadat-E-Imam-E-Hussain رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ke Baad Un Ke Khoon Ka Badla Lene Ka Ailaan Mahaz Is Gharz Se Kiya Ke Logon Ko Apni Jaanib Maayel Kar Sakein ,Attract Kar Sakein ,Unka Attention Le Sakein, Aur Amaarat (Hukumat ) Ko Haasil Karne Ke Tamaam Raaste Aasaan Bana Sake, Ilm-O-Fazl Mein Pehlay Yeh Bohat Mashhoor Tha Jaise Iblees Bhi Pahle Bada Mash'hoor Tha Magar Uski Gustakhi Ne Mardood Bana Diya Thik Usi Tarah Mukhtar Bin Abu Ubaid Saqigi Aage Chal Kar Is Ne Apni Shaitaaniyat Ka Izhaar Kuch Is Tarah Kiya Ke Is Ke Aqeedeh Aur Deen Ka Bigaad Logon Par Waazeh Ho Gaya, Yeh Amaarat (Hukumat) Aur Duniya Ka Taalib Tha, Bil-Aakhir 67 Hijri Me Hazrat Mas'ab Bin Zubair رَضِیَ اللّٰہُ تَعَالٰی عَنْہُمَا Ke Zamaane Mein Maara Gaya. Hajjaaj Ibne Yousuf Saqifi Apne Zulm, Qatl, Aur Khoon'rezi Me Zarb-Ul-Misqal Hai, Yeh Abdul Malik Bin Marwaan Ka Governor Tha, Hazrat Syyedina Abdullah Bin Zubair رَضِیَ اللّٰہُ تَعَالٰی عَنْہُمَا Ka Andohnaak Haadsa Isi Ke Haath Pesh Aaya. Maqaam-E-Waasit Par 75 Hjri Mein Is Ki Maut Hui.

 

Jaam'e Tirmizi Shareef ,Hadees No 3944,

                                                             باب مَا جَاءَ فِي ثَقِيفٍ كَذَّابٌ وَمُبِيرٌ

     "حدثنا علي بن حجر، اخبرنا الفضل بن موسى، عن شريك، عن عبد الله بن عصم، عن ابن عمر، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم : " في ثقيف كذاب ومبير ۔"

     Tarjama:-

     Hazrat Syyedina Abdullah Ibne Omar رَضِیَ اللّٰہُ تَعَالٰی عَنْہُمَا Farmaate Hai Ki Huzoor Nabi-E-Kareem Irshaad Farmaate Hai Ki "Saqif Me Ek Jhootha Aur Ek Tabaahi Machaane Wala Zaalim Shakhs Hoga".

 

Mishkwaat Shareef ,Jild-5 ,Quraish Ke Manaaqib Aur Qabaail Ke Zikr Se Muta'alliq, Hadees - 593 ,Banu Saqif Ke 2 Shakhso Ke Baare Me Nabi-E-Ghaibdaan Ka Khabr Dena

"وعن ابن عمر قال : قال رسول الله صلى الله عليه و سلم : " في ثقيف كذاب ومبير " قال عبد الله بن عصمة يقال : الكذاب هو المختار بن أبي عبيد والمبير هو الحجاج بن يوسف وقال هشام بن حسان : أحصوا ما قتل الحجاج صبرا فبلغ مائة ألف وعشرين ألفا . رواه الترمذي وروى مسلم في " الصحيح " حين قتل الحجاج عبد الله بن الزبير قالت أسماء : إن رسول الله صلى الله عليه و سلم حدثنا " أن في ثقيف كذابا ومبيرا " فأما الكذاب فرأيناه وأما المبير فلا إخالك إلا إياه . وسيجيء تمام الحديث في الفصل الثالث ۔"

Tarjama:-

Aur Hazrat Syyedina Ibne Omar رَضِیَ اللّٰہُ تَعَالٰی عَنْہُمَا Farmaate Hain Ke Nabi-E-Kareem صَلَّی اللّٰہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَسَلَّمَ Ne Farmaya" Qabeela-E-Saqif Me Intehaa Darje Ka Jhoota Shakhs Paida Hoga Aur Ek Intehaa Darje Ka Mufsid Wa Halaaku (مفسد وہلاکو)"

Hazrat Syyedina Abdullah Assma Taba'ee رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ ( Is Jhoothey Shakhs Ke Taa'yoon Ke Baray Me) Kehte Hain Ke Olama Ka Kehna Hai " Jhoothey Shakhs Se Muraad Mukhtar Ibn Abu Ubaid Saqifi Aur Mufsid Wa Halaaku (مفسدوہلاکو) Se Muraad Hajjaaj Ibne Yousuf ( Mashhoor Zalim' ) Hai.

 Aur Syyedina Hisham Ibn Hassaan رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ ( Jo Oonchey Darja Ke Faqih Aur Ilm-E-Hadees Me Zabardast Adraak Wa Mahaarat Rakhne Waale Ek Mash'hoor Muttaqi Buzurg Hain Aur Jin Ka Shumaar Aimmaa-E-Hadees Me Hota Hai) Un Ka Bayaan Hai Ke Hajjaaj Ibne Yousuf Ne Jis Qadar Logon Ko ( Jung-Wa-Ma'arka Mein Nahi Balke) Yunhi Pakad Pakad Kar Qaid-Khanah Me Daal Kar Qatl Kiya Hai Un Ki Tadaad Logon Ne Shumaar Ki Hai Jo Ek Laakh Bees Hazaar (1,20,000) Hai Is Riwaayat Ko Tirmizi Ne Naqal Kiya Hai Aur Imam Muslim Ne Apni Sahih Me Yeh Riwaayat Naqal Ki Hai Ke : Hajjaj Ibne Yousuf Ne Hazrat Syyedina Abdullah Ibne Zubair رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ko Shaheed Kar Diya To Hazrat Asma'a Binte Abu Bakr Siddique رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهَـا Ne ( Jo Hazrat Syyedina Abdullah Ibn Zubair Ki Waalidah Aur Afzalul Bashar Ba'ad Al-Ambiya Amir-Ul-Momineen Syyedina Hazrat Abu Bakr Sidique رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ki Beti Hain رَضِیَ اللّٰہُ تَعَالٰی عَنْہُمَا ) Unhone Kaha Hamein Nabi-E-Kareem صَلَّی اللّٰہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَسَلَّمَ Ne Bayaan Kiya Hai Kar Diya Tha Ke Qabeela Saqif Mein Ek Intehaa Darje Ka Jhootha Shakhs Paida Hoga Aur Ek Bada Mufsid Wa Halaaku (مفسدوہلاکو) Pass Jahan Tak Jhoothey Shakhs Ka Ta'alluq Hai To Is Ko Dekh Chookey Ab Rahi Mufsid Wa Halaaku (مفسدوہلاکو) Ki Baat, To Mera Khayaal Hai Ke Yeh Hajjaaj Woh Mufsid Wa Halaaku (مفسدوہلاکو) To Wahi Hai Yeh Poori Hadees Fasl Me Aa Rahi Hai".



 Yaha Tak Ki Shiao Ka Bahot Bada Aalim Mulla Baaqir Majlisi Khud Mukhtaar Bin Abu Obaid Saqifi Ke Baare Me Kya Likhta Hai Aaiye Dekhiye:-

 Imam Hasan Sa'ad Bin Mas'ood Saqifi Ke Ghar Me Tashreef Le Gaye Ke Woh Hazrat Ki Taraf Se Waali-e-madain Tha. Nuzool Ajlaal Farmaya. Aur Woh (Sa'ad Bin Mas'ood Saqifi) Mukhtaar Ka Chacha Tha. Pass Mukhtar Apne Chacha Ke Paas Aaya Aur Kaha Ke Chalo Imam Hasan Ko Hum Muawiya Ko De De. Shayad Muawiya Is Ke Ewaz Me Hum Ko Wilaayat De De. Sa'ad Bin Mas'ood Saqifi Ne Kaha. Tera Bura Ho. Yeh Kya Bakta Hai. Main Imam Hasan Aur Un Ke Pidar-e-buzurgwaar Ki Taraf Se Madain Ka Haakim Hu. Un Ka Haq Naimat Faraamosh Kar Dun. Aur Farzand-e-rasool-e-khuda Ko Muawiya Ko De Du. Jab Shiaan-e-imam Hasan Ne Yeh Kalaam Suna Chaha Mukhtar Ko Qatl Kar Den. Aur Aakhir Ba-shafa'at-e-amm (chacha Ki Shafa'at Ke Sabab) Mukhtaar Is Ki Taqseer (تقصیر) Se Dar Guzar Gaya .

( Jalal-ul-Uyoon,Mulla Baaqir Majlisi,jild:- 1, Page:- 370 )




Note:-

Faisla Aap Khud Farma Le Ki Iblees Bhi Bahot Ilm O Fazal Ibaadat Me Mash'hoor Tha Magar Uski Na-Farmaani Ne Usein Mardood Bana Diya Aur Mukhtar Saqifi Ne Bhi Dawa-e-nabuwwat Kar Ke Mardood Wa Mal'oon Hokar Mara, Aur Jo Iski Pairwi Karte Hai Ya Iski Mohabbat Ya Ta'areef Karte Hai Woh Khatm-e-Nabuwwat Ka Pakka Dushman Wa Gaddaar Hai , Jis Nabi Ne Khud Kaha Ho Ki Mere Baad Koi Nabi Nahi Aane Wala Uske Bawajood Bhi Mukhtar Ne Nabuwwat Ka Dawa Kiya Aur Mardood Hua To Yeh Nabi Aur Nabuwwat Ka Dushman Hua Ke Nahi ?

Imaan Kahega Ki Beshaq Yeh Nabuwwat Ka Dushman Hua , Aur Jo Aise Shakhs Ki Mohabbat Ka Dum Bharein Chahein Koi Shia Ho Ya Sunniyo Ke Dress Me Chhupa Hua Rafzi Ho Woh Bhi Nabi Ka Gaddar Hua Ke Nahi ? Yaha Bhi Sacha Iman Rakhne Wala Dil Aur Zaban Kahegi Ki Bilkul Yeh Nabi Ke Saath Gaddari Hai, Lihaza Musalmaano Aise Jhoothey Nabuwwat Ke Daawedaaro Aur Uski Himaayat Karne Waale Jaahil Molviyon Aur Rafziyo Ki Mohabbat Aur Sohbat Se Bacho Warna Qayamat Ke Din Tumhara Hashr Bhi Musailima Kazzaab ,Mirza Ghulam Ahmed Qadyani, Aur Mukhtar Saqifi Jaise Nabi Ke Dushmano Ke Saath Hoga .

Taalib-E-Dua:-

Mir Mohammad Tausif Raza Qadri Razvi Al-Ayyubi

Comments

Popular posts from this blog

SHAJRAH-E-TAYYIBAH SILSILA-E-AALIYAH QADRIYAH BARKAATIYAH RAZVIYA NOORIYA

SHAB E BARAAT KE QURAN WA AHAADEES SE DALAAIL AUR AITRAAZAAT KA JAWAAB

ISLAM AUR SANATAN DHARM ME AURAT KA MAQAAM