ISLAM AUR SANATAN DHARM ME AURAT KA MAQAAM
Auraton Ka Maqaam Islam Aur Sanaatan Dharm Me:-
Har Aurat Pahle Ek Beti Hoti Hai Lihaza Aaiye Pahle Islam Me
Betiyon Ki Kya Shaan Hai Dekh Lete Hai Phir Ahle Hunood Ki Kitaab Se Dekhenge
Ke Unke Yaha Kya Maqaam Hai Auraton Ka:-
🌹Huzoor Nabi-E-Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya:-
"Betiyon Ko Bura Mat Samjho, Beshak Woh Mohabbat Karne
Waaliyan Hai."
Reference:-
(Musnad Imam Ahmed, 6/134, Hadees- 17378)
🌹Hadees Shareef Me Hai
Ke:-
"Jis Ke Yaha Betiyaan Paida Ho Aur Woh Na To Usein
Taqleef Pahonchaaye ,Na Hi Usein Bura Jaane Aur Na Bete Ko Beti Pe Fazilat De
To Allah سُبْحَانَهُ
وَتَعَالَى Usein Jannat Me Daakhil
Farmaayega"
Reference:-
(Mustadrak,5/248, Hadees- 7428)
🌹Hadees Shareef:-
"Jis Shakhs Par Betiyon Ki Parwarish Ka Bojh (Bojh Se
Muraad Zimmedaari) Aa Pade Aur Woh Unkein Saath Achha Bartaao Karein To Yeh
Betiyaan Uske Liye (Ya'ani Baap Ke Liye) Jahannam Se Rukaawat Ban
Jaayengi."
Reference:-
(Muslim,Hadees- 2629)
🌹 Huzoor Nabi-E-Ghaibdaan
Sarwar-E-Qaunain صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ
وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Ne Irshaad Farmaaya:-
"Jab Kisi Ke Yaha Ladki Paida Hoti Hai To Allah سُبْحَانَهُ
وَتَعَالَى Farishton Ko Bhejta Hai
Jo Aakar Kehte Hai "اَلسَّلَامُ عَلَیْکُم اَہْلَ الْبَیْت
(Ya'ani Aye Ghar Waalon ! Tum Par Salaamato Ho", Phir Farishte Us Bachi Ko
Apne Paron Ke Saaye Me Lete Hai Aur Uske Sar Par Haath Pherte Huwe Kehte Hai Ke
Yeh Ek Kamzor Jaan Hai Jo Ek Kamzor Se Paida Hui Hai, Jo Shakhs Is Kamzor Jaan
Ki Parwarish Ki Zimmedaari Lega Qayaamat Tak Allah سُبْحَانَهُ
وَتَعَالَى Ki Madad Uskein
Shaamil-E-Haal Rahegi.
Reference:-
(Majma-Uz-Zawaaid, 285/8, Hadees:- 13484)
🌹Huzoor Nabi-E-Kareem صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ
وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Ne Irshaad Farmaaya:-
"Jis Ki 3 Betiyaan Ho Aur Woh Unke Saath Achha Sulook
Karein To Uskein Liye Jannat Waajib Ho Jaati Hai .
Arz Ki Gayi: Aur 2 Ho To ?
Huzoor ﷺ Ne Farmaaya: 2 Ho Tab
Bhi.
Arz Ki Gayi: Agar 1 Ho To ?
Huzoor ﷺ Ne Farmaaya: Agar 1
Ho To Bhi.
Reference:-
(Majma-Uz-Zawaaid, 4/347, Hadees- 6199)
🌹 Huzoor Nabi-E-Kareem
Sarwar-E-Qaunain صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ
وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Ne Irshaad Farmaaya:-
"Jo Apni 2 Betiyon, Ya 2 Behnon,Ya 2 Rishtedaar
Bachiyon Par Sawaab Ki Niyat Se Kharch Karein Yaha Tak Ke Allah سُبْحَانَهُ
وَتَعَالَى Unhein Be-Niyaaz Kar De
(Ya'ani Unka Nikah Ho Jaaye, Ya Maaldaar Ho Jaaye, Ya Unki Wafaat Ho Jaaye, Ya
Kisi Achhi Jagah Settle Ho Jaaye) To Woh Uske Liye Aag Se Rukaawat Ban Jaati
Hai.
Reference:-
(Musnad Imam Ahmed Bin Hanbal, 10/179, 26578).
🌹Huzoor
Shahenshah-E-Ambiya Sarwar-E-Qaunain صَلَّی اللہُ
تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Ki Pyari Beti
Syyedah-E-Kainaat Hazrat Syyeditina Syyedah Tayyiba Taahirah Fatima Zahra رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهَـا
Jab Huzoor ﷺ Ke Paas Aati To Aap ﷺ Khade Ho Kar Unki Taraf Mutawajjah Hote,
Phir Aap Apne Pyaare Haath Me Unka Haath Le Kar Usein Bosa Dete (Ya'ani Chumte)
Phir Unhein Apni Jagah Bithaate, Isi Tarah Jab Huzoor Nabi-E-Kareem صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ
وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Hazrat Syyedah Tayyiba Taahirah Fatima
Zahra رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى
عَـنْـهَـا Ke Yaha Tashreef Le Jaate To Woh Bhi Khadi Ho Jaati, Aap Ka
Mubaarak Haath Apne Haath Me Le Kar Chumti Aur Aap صَلَّی
اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Ko Apni Jagah Par
Bithaati.
Reference:-
(Abu Dawood, 4/454, Hadees- 5217)
🌹Habiba-E-Nabi Ummul
Momineen Syyedah Tayyiba Taahirah Ayesha Siddiqua رَضِـیْ
اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهَـا Farmaati Hai Ke :-
" Mere Paas Ek Miskeen (Ghareeb) Aurat Apni 2 Betiyon
Ke Saath Aayi, Maine Usein 3 Khujoorein Di. Usnein 1 - 1 (Ek-Ek) Khujoorein
Apni Betiyon Ko Di Aur 1 Khud Le Li Phir Apni Khujoor Bhi Do (2) Tukdein Kar Ke
Apni Dono Betiyon Ko Khila Di, Mujhe Us Waaqye Se Bahot Ta'ajjub Hua Maine
Huzoor Nabi-E-Kareem صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Ki Baargaah-E-Aqdas Me Us Khaatoon Ke Eesaar
(ایثار) Ka Waqya Bayaan Kiya
To Aap صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ
وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Ne
Farmaaya : Allah عَزَّ وَجَلَّ Ne Is Eesaar (ایثار) Ki Wajah Se Us Aurat
Ke Liye Jannat Waajib Kar Di Hai.
Reference:-
(Muslim Shareef, Hadees- 2630)
Yeh Tha Auraton Ki Shaan-Wa-Azmat Ka Mukhtasar Zikr Tha Mazhab-E-Islam ,Warna Ek Alag Baab Qaayem Ho Sakta Hai Auraton Ki Azmat-Wa-Shaan Me , Ab Dekhiye Sanatan Dharm Me Auraton Ko Ka Kya Maqaam Hai Aur Kya Samjha Jata Hai:-
👉🏻इति ताः पुरुषव्याघ्र कथं शक्यास्तु रक्षितुम्।
प्रमदाः पुरुषेणेह तन्मे व्याख्यातुमर्हसि।।
(4)
Hindi:- पुरुष सिंह ! पुरुष यौवन से उन्मत्त स्त्रियों की रक्षा कैसे कर सकता है ? यह विस्तारपूर्वक बताने की कृपा करें (4)
Note:- (Yaha Yudhisthir ,Bhishm Se Jawaan Auraton Ki Hifazat
Ke Taaluq Se Puchh Raha)
👉🏻एता हि रममाणास्तु वञ्चयन्तीह मानवान्।
न चासां मुच्यते कश्चित् पुरुषो
हस्तमागत: ।। (5)
Hindi:- ये रमण करती हुई भी
यहां पुरुषों को ठगती रहती है।
इनके हाथ में आया हुआ कोई
भी पुरुष इनसे बचकर नही जा सकता (5)
Note:- (Yaha Auraton Ko Thugne Waali Dhokebaaz Bataya Gaya ,
Aur Is Shlok Me Auraton Ko Is Qadr Ghatiya Bataya Gaya Hai Ke Inke Haath Se Koi
Bhi Mard Nahi Bach Sakta)
👉🏻गावो नव तृणानीव गृह्णन्त्येता नवंनवम् ।
शम्बरस्य च माया माया या नमुचेरपि
।6।
बले: कुम्भीनसेश्चैव सर्वास्ता
योषितो विदु:। (6)
Hindi:- जैसे गौएॅं (यानी
गाए) नयी नयि घास चरती हैं, उसी प्रकार ये नारियां
नये नये पुरुष को अपनाती रहती हैं। शम्बरासुर की जो माया है तथा नमूचि, बलि और कुम्भीनसीकी जो मायाऍं हैं, उन सबको ये युवतियाँ जानती है (6)
Note:- (Yaha Yeh Bataya Gaya Hai Ke Jaise Gaaye Nayi Nayi
Ghaas Charti Hai Usi Tarah Auratein Bhi Naye Naye Mardon Ko Apnaati Rehti Hai,
Aur Naye Naye Mardon Ko Apnaana Yeh Jism Farosh Auraton Ki Sifat Hai Aur
Sanatan Dharm Me Har Aurat Ko Naye Naye Mard Apnaane Waali Ya'ani Jism Farosh
Auraton Ki Tarah Likha Gaya, Ab Agar Koi Aitraaz Karein Ke Yaha Har Aurat Ko
Jism Farosh-Auraton Ki Tarah Nahi Maana Gaya To Phir Koi Bhi Sanatani Yeh
Bataaye Ke Naye Naye Mard Apnaane Waali Aurat Se Kya Muraad Hai ?)
👉🏻हसन्तं प्रहसन्त्येता रुदन्तं प्ररुदन्त्यपि | अप्रियं प्रियवाक्ये गृहन्ति कालयोगतः ॥ (7)
Hindi:- पुरुष को हँसते देख ये स्त्रियाँ
जोर जोर से हँसती है । उसे रोते देख स्वयं भी फूट फूट कर रोने लगती है और अवसर आने
पर अप्रिय पुरुष को प्रिय वचनों द्वारा अपना लेती है (7)
Note:- (Yaha Auraton Ke Baare Me Yeh Likha Hai Ke Mard Ko
Hansta Rota Dekh Aurat Bhi Hansne Rone Lagti Hai Aur Har An'chaahein Mard Ko
Apni Pyar Bhari Baaton Se Apna Bana Leti Hai )
👉🏻उशना वेद यच्छास्त्रं यच्च वेद बृहस्पतिः ।
स्त्री बुद्ध्या न विशिष्येत
तास्तु रक्ष्याः कथं नरैः॥ (8)
Hindi:- जिस नीति शास्त्र
को शुक्राचार्य जानते है, जिसे बृहस्पति जानते
हैं, वह भी स्त्री की बुद्धि से
बढ़ कर नही है। ऐसी स्त्रियों की रक्षा पुरुष कैसे कर सकते है। (8)
Note:-
(Yaha Auraton Ke Baare Me Bayaan Karke Yaha Yeh Bataya Jaa
Raha Ke Auraton Ki Hifaazat Kaise Koi Mard Kar Sakta Hai ?
Ya'ani Auraton Ki Hifaazat Mumkin Hi Nahi Kyunke Jis Tarah
Ke Unke Harqaar Wa Aadaat Hai Unsein Koi Bhi Mard Nahi Bach Sakta Aur Jab Koi
Mard Khud Apni Hifaazat In Auraton Se Nahi Kar Sakta To Kaise Koi Mard In
Auraton Ki Hifaazat Kar Sakta Hai ?
Ab Agar Koi Aitraaz Karein Ke Nahi Is Shlok Ka Yeh Matlab
Nahi Hai, Q Ki Agar Aisa Hota To Hamari Deviya, Hamare Kayi Bade Bade Devtaon
Ne Stri Ki Raksha Ke Liye Yudh Wagairah Kiya Hai ,To Phir Sanatani Dharm Ke
Maanne Waale Se Bade Pyar Se Mera Sawal Hai Ke Agar Yeh Shlok Ghalat Hai Jaha
Yeh Saabit Ho Raha Ke Auraton Ko Har Lihaaz Se Ghatiya,Jism Farosh ,Bataya Gaya
To Phir Mahabharat Kaise Sahih Ho Sakta Hai ?
Ya'ani Mahabharata Ghalat Hai?
Ya Phir Yeh Shlok Ghalat Hai To Phir Mahabharat Ke
Characters Jhuthe Hai Ya Phir Likhne Wala Jhutha Hai Ab Agar Yeh Sab Jhuthein
Hai To Ispar Tika Sanatan Dharm Kaise Sacha Aur Sahih Ho Sakta Hai?)
Reference:-
(महाभारत,दानधर्म पर्व, एकोनचत्वारिंशो अध्याय,Page -5599(५५९९),5600 (५६००),
Geeta Press)
✍ Isi Tarah Aur Aagein Isi
Mahabharata Me Auraton Ke Baare Me Likha Hai Ke:-
👉🏻एवमेव महाबाहो नात्र मिथ्यास्ति किचन |
यथा त्रवीषि कौरव्य नारीं
प्रति जनाधिप। (1)
Hindi: भीष्म जी ने कहा
:– महाबाहो ! कुरुनन्दन ! ऐसी ही बात है ! नरेश्वर ! नारियों के संबन्ध में तुम जो
कुछ कह रहे हो, उसमें तनिक भी मिथ्या
नहीं है (1)
Note:- (Yaha Is Shlok Se Ek Baat To Clear Ho Gayi Auraton Ke
Baare Me Jo Likha Gaya Aur Abhi Jo Aage Aayega Woh "मिथ्या (Mitthya) Ya'ani Jhuth" Nahi, Ab Aage
Ka Shlok Dekhte Hai.)
👉🏻अत्र ते वर्तयिष्यामी इतिहासं पुरातनम् ।
यथा रक्षा कृता पुर्वे विपुलेन
महात्मना।। (2)
Hindi:- इस विषय में तुम्हें
एक प्राचीन इतिहास बताऊंगा कि पूर्वकाल में महात्मा विपुल ने किस प्रकार एक स्त्री
गुरु पत्नी की रक्षा की थी ।
Note:- (Yaha Ab Yeh Bataya Jaa Raha Ke Sanatan Dharm Ke Bahot
Bade Tapaswi Vipul Ne Apne Guru Ya'ani Ustaaz Ki Biwi Ki Kaise Hifaazat Ki Thi
Aur Kisse Ki Thi Yeh Bhi Aage Aayega.)
👉🏻प्रमदाश्च यथा सृष्टा ब्रह्मणा भरतर्षभ।
यदर्थं तच्च ते तात प्रवक्ष्यामि
नराधिप।। (3)
Hindi:- भरत श्रेष्ठ ! तात
! नरेश्वर ! ब्रह्मा जी ने जिस प्रकार और जिस उद्देश्य से युवतियों की सृष्टि की है
वह सब मैं तुम्हें बताऊंगा.
Note:- (Yaha Bhishm Auraton Ko Kaise Aur Kis Wajah Se Banaya
Woh Sab Bata Raha)
👉🏻न हि स्त्रीभ्यः परं पुत्र पापीयः कींचिदस्ति वै।
अग्निर्हिः प्रमदा दीप्तो
मायाश्च मयजा विभो। (4)
Hindi:- बेटा ! स्त्रियों
से बढ़कर पापिष्ठ दूसरा कोई नहीं है । यौवन–मद से उन्मत्त रहने वाली स्त्रियॉं वास्तव
में प्रज्वलित अग्नि के समान है । प्रभो ! वे मयदानव की रची हुई माया है.
Note:- ( Yaha Is Shlok Me Bataya Gaya Hai Ke Auraton Se Bada
Paapi Ya'ani Gunehgaar Koi Nahi, Jawani
Ke Nashe Me Choor Rahne Waali Yeh Auratein Haqeeqat Me Bhadakti Hui Aag Ki
Tarah Hai, Aur Yeh Maidaanav Naam Ke Rakshas (Monster) Ki Banayi Hui Ek Maya
Hai, Ab Aap Sab Yaha Khud Dekh Le Auraton Ka Kya Status Dikhaya Jaa Raha).
👉🏻क्षुरधारा विषं सर्पो वह्निरित्येकतः स्त्रियः।
प्रजा इमा महाबाहो धार्मिक्य
इति नः श्रुतम्। (5)
स्वयं गच्छन्ति देवत्वं ततो
देवानियाद् भयम्।
Hindi:- छुरे की धार,
विष, सर्प और आग – ये सब विनाश के हेतु एक ओर और तरुणी स्त्रियां एक ओर। महाबाहो ! पहले
यह सारी प्रजा धार्मिक थी । यह हमने सुन रक्खा है । वे प्रजाएँ स्वयं देवत्व को प्राप्त
हो जाती थी । इससे देवताओं को बड़ा भय हुआ ।
Note:- (Jawan Aurat Ki Baraabri Yaha Ek Khanjar Ki Dhaar,
Zahar, Saanp Aur Aag Se Ki Gayi , Kya Koi Feminist Ya Godi Media Is Par Baat
Nahi Karegi Ke Yaha Aurat Ko Saanp ,Zahar ,Aag, Khanjar Ki Dhaar Se Kyun
Compare Kiya Gaya ?)
Reference:
महाभारत,अनुशासन पर्व, दानधर्म पर्व, चत्वारिंशो अध्याय (40th
Adhyay), Page - 5601 (५६०१)
(Anushasan Parv Me Kul Milakar 168 Adhyay Hai. Anushasan
Parv Ke Shuruaat Me 166 Adhyay Daan-Dharm Parv Ke Hai Aur Wahi Daan-Dharm Parv
Ka Reference Yaha Upar Me Hai).
✍Auraton Ke Saath Har
Haal Me Bhalaayi, Unki Paidaaish Par Rahmaton Ka Naazil Hona, Farishton Ka
Aana, Unki Parwarish Se Jannat Milna,
Unki Parwarish Se Jahannam Se Nijaat Mil Jaana, Aise Azeemush Shaan Maqaam Dene
Wala Deen-E-Islam Sacha Hai Ya Un Auraton Ko Sabse Bada Paapi, Saanp,Zahar,
Khanjar,Wagairah Kehne Wala Sanatan Dharm Sahih Hai ?
Taalib-e-Dua:-
Mir Mohammad Tausif Raza Qadri Razvi Al-Ayyubi
(الازدی الخزرجی النجّاری)
Comments
Post a Comment