ISLAM AUR SANATAN DHARM ME AURAT KA MAQAAM
.jpeg)
Auraton Ka Maqaam Islam Aur Sanaatan Dharm Me:- Har Aurat Pahle Ek Beti Hoti Hai Lihaza Aaiye Pahle Islam Me Betiyon Ki Kya Shaan Hai Dekh Lete Hai Phir Ahle Hunood Ki Kitaab Se Dekhenge Ke Unke Yaha Kya Maqaam Hai Auraton Ka:- 🌹H uzoor Nabi-E-Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya:- "Betiyon Ko Bura Mat Samjho, Beshak Woh Mohabbat Karne Waaliyan Hai." Reference:- (Musnad Imam Ahmed, 6/134, Hadees- 17378) 🌹H adees Shareef Me Hai Ke:- "Jis Ke Yaha Betiyaan Paida Ho Aur Woh Na To Usein Taqleef Pahonchaaye ,Na Hi Usein Bura Jaane Aur Na Bete Ko Beti Pe Fazilat De To Allah سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى Usein Jannat Me Daakhil Farmaayega" Reference:- (Mustadrak,5/248, Hadees- 7428) 🌹H adees Shareef:- "Jis Shakhs Par Betiyon Ki Parwarish Ka Bojh (Bojh Se Muraad Zimmedaari) Aa Pade Aur Woh Unkein Saath Achha Bartaao Karein To Yeh Betiyaan Uske Liye (Ya'ani Baap Ke Liye) Jahannam Se Rukaawat Ban Jaayengi." Reference:- (Muslim...