EK AUR HAR CHEEZ SE PAK KHUDA KI IBAADAT VED SE
Chaaro Ved (Rig, Saam,Yajur,Aur Atharva Ved) Ko Hindu Sanatan
Dharm Ki Buniyaad Maani Jaati Hai, Aur Sanatan Dharm Ke Mutaabiq Jo Isko Na
Maane Woh Adharmi Hai Aur Woh Hindu Nahi.
To Hindu Sanatan Dharm Ko Maanne Waalo Se Sawal Hai Ke Thande Dil Se Sochein Ke Kya
Woh Bhagwan Aur Sabka Maalik Ho Sakta Hai Jisein Apne Haatho Se Banaaya Jaata
Ho ?
Jab Ki Haqeeqat Me Sabka Khaaliq Wa Maalik Allah Hai Jo ,
Jism Se Pak Hai, Jagah Se Paak Hai, Aur Allah
عَزَّ وَجَلَّ Bhi Qur'an Shareef Me
Farmata Hai Ke
بِسۡمِ اللّٰہِ الرَّحۡمٰنِ الرَّحِیۡمِ
Allah Ke Naam Se Shuru Jo Bahot Meherbaan Rahmat Wala.
قُلْ هُوَ اللّٰهُ اَحَدٌ(1)اَللّٰهُ الصَّمَدُ(2)لَمْ یَلِدْ
وَ لَمْ یُوْلَدْ(3)وَ لَمْ یَكُنْ لَّهٗ كُفُوًا اَحَدٌ(4)
Tum Farmaao Woh Allah Ek Hai.Allah Be'niyaaz Hai. Na Uski
Koi Aulaad Aur Na Woh Kisi Se Paida Hua.Aur Na Uske Jod Ka Koi.
(Surah Ikhlaas )
Aur Ved Me Bhi Allah Hi Ki Ibaadat Taraf Ishara Kiya Gaya
Hai.
Aur Yaha Tak Ke Yajur Ved Jo Ke Sanatan Dharm Ki Chaar Badi
Kitaabo Me Se Ek Hai , Yajurved Ke Adhyay - 40,Mantra-8,9. Par Saaf Taur Pe
Likha
स पर्यगाच्छक्रमका यभव्रणमस्नाविरं शुद्धमपापविद्धम्।
कविर्मनीणी परिभू: स्वयम्भूर्याताथ थ्यतोर्थान व्यदधाच्छाश्वती भ्य: समाभ्य:॥८॥
भावार्थ : वह (परमात्मा) सर्वव्यापी है,
तेजस्वी है। वह देह रहित है स्नायु रहित एवं छिद्र (व्रण) रहित है। वह शुध्द और निष्पाप है। वह कवि (क्रान्तदर्शी), मनीषी (मन पर शासन करने वाला) सर्वजयी और स्वयं ही उत्पन्न होने वाला है। उसने अनादि काल से ही सबके लिए यथा-योग्य अर्थोँ (साधनोँ) की व्यवस्था बनाई है॥८॥
सर्वव्यापी = Jo Chaaro Taraf Ki Khabr Rakhta
Hai,Sabpe Nazr Rakhne Wala.
तेजस्वी = Tajalliyo Wala.
देह रहित= Bina Jism Wala ,Jism Se Paak
स्नायु रहित= Tissue Less, Jiske Andar Koi Bhi
Nass (Nerve Ya Tissue) Na Ho.
छिद्र (व्रण) रहित = Chhed (Hole) , Aasmaan Se Paak
शुध्द और निष्पाप = Jo Har Cheez Aur Har Aib Se Paak Ho.
कवि (क्रान्तदर्शी)= Yaha कवि Ya'ani Poet/Shayar Jiska Kaam Hota
Hai Kalam Padhna Aur Us Ko Inqilaab Laane Wala Ya Inqilaab Paida Karne Wala (क्रान्तदर्शी) Kaha Gaya Hai , Aur Beshaq Jab Allah
Ne Qur'an Shareef Jab Naazil Kiya To Charo Taraf Se Inqilaab Paida Ho Gaye
Baatil Ke Khilaaf.
मनीषी (मन पर शासन करने वाला) = Sabke Man Par,Dil Par Hukumat Karne Wala.
सर्वजयी = Ya'ani
Sab Par Qudrat Rakhne Wala, Sab Par Fateh Haasil Karne Wala Aur Yeh Shaan Bhi Allah
Hi Ke Hai, Warna Hindu Hazraat Ke Devi Devtaao Ki Hoto To Kyun Apne Bhakto Ko
Vardan Dene Ke Baad Unke Haatho Haar Jaate Hai Jaise Indr Devta Hokar Bhi Ravan
Ke Bete Meghdoot Se Haar Gaya, Magar Allah Ki Woh Shaan Hai Ke Usein Koi Hara
Nahi Sakta.
स्वयं ही उत्पन्न होने वाला = Jisein Kisi Ne Na Paida Kiya Ho Aur
Yeh Shaan Bhi Allah Hi Ki Hai Warna Hindu Dharm Ke Tamam Devi Devta Kisi Na
Kisi Zariye Se Paida Huwe Hai.
अनादि काल = Jo Shuru Se Hai Aur Yeh Shaan Bhi Allah
Hi Ki Hai Warna Hindu Hazraat Ke Tamam Devi Devta Ko Kisi Na Kisi Ne Paida Kiya
Hai Ba'qaul Sanaatan Dharm Maslan Bramha,Vishnu ,Mahesh (Shankar),Ram, Kartik,Ganesh
Shuru Se Nahi The Balki Kisi Na Kisi Zariye Paida Huwe Hai.
सबके लिए यथा-योग्य अर्थोँ (साधनोँ) की व्यवस्था बनाई है = Ya'ani
Sabke Liye Jo Cheez Jaisi Honi Chahiye Usi Hisaab Se Banayi Hai Yeh Shaan Bhi Allah
Ki Hi Hai.
....................................
अन्धं तम: प्र विशन्ति यंसंभूतिमुपासते।
ततो भुयऽ इव ते तमोँ यऽ उ सम्भूत्यायां॥९॥
भावार्थ : जो लोग केवल असम्भूति (बिखराव-विनाश) की उपासना करते हैँ (उन्ही प्रवृत्तियोँ मे रमे रहते हैँ) वे घोर अन्धकार मेँ घिर जाते हैँ। और जो केवल सम्भूति (संगठन-सृजन) की उपासना करते हैँ, वे भी उसी प्रकार के अन्धकार मेँ फंस जाते हैँ॥९॥
Mushkil Alfaaz Ke Ma'ani:-
असम्भूति (बिखराव-विनाश) Aur सम्भूति (संगठन-सृजन) = Aasaan Alfaaz Me Samjhaya Jaaye To Khuda Jo Ke
Jism Se Pak,Jagah Se Pak, Jo Shuru Se Hai,Jo Sabki Khabr Rakhta Hai Us Ke Alawa
Kisi Bhi Cheez Aag,Hawa,Paani,Wagaira Ki Puja Karne Wala Woh Andhere Me Hai
Yaha Saaf Yajur Ved Me Kaha Jaa Raha Ke Uski Puja Uski Karo
Jo Jism Se Paak (Bodyless/Formless) Hai, Jo Aasmaan Se Paak Hai, Jo Jagah Se
Pak Hai, Jo Shuru Se Hai ,Aur Yeh Shaan Sirf Allah Hi Ki Hai .
Lihaza Hindu Sanatan Dharm Ke Maanne Waalo Ko Chahiye Ke Ved
Ko Thik Se Padhein Aur Jaane Ke Puja Jism Rakhne Waale Devi Devtaao Ki Nahi
Balki Allah Ki Ki Jaati Hai.
Warna Sawal Hai Ke :-
Agar Yeh Yajur Ved Ka Yeh Mantr Kisi Aur Ke Baare Me Hai To
Tamam Hindu Sanaatan DharmKo Maanne Waale Bataaye Ke Hindu Sanaatan Dharm Me Woh Kaun Hai Jo Jism Se Pak
Hai, Jo Jagah Se Pak Hai, Jo Shuru Se Hai Aur Usein Kisi Ne Nahi Jana ?
Agar Yeh Hinduo Ke Mahadev Shiv Ke Baare Me Hai To Uska Jism
Hai Aur Yaha Saaf Likha Hai Ke Khuda (Parmatma) Woh Hai Jo Jism Se Pak,Jagah Se
Pak Ho Lihaza Shiv Nhi Hoga ,To Phir Yeh Kiski Taraf Ishara Hai ?
Agar Yajur Ved Me Koi Her Pher Ki Gayi Hai To Phir Is Kitaab
Ko Hindu Sanaatan Hazraat Kyun Maante Hai, Aur Jis Kitaab Me Her Pher Ho Us
Base Par Jo Dharm Sanaatan Hai Woh Kaise Sahih Ho Gaya ?
Tamam Hindu Sanaatan Dharm Waalon Se Guzaarish Hai Ke Kiye Gaye Sawaalo Ka Jawaab
De Aur Woh Apne Haatho Se Banaaye Devi Devtaao Ko Chhod Kar Us Khuda Ki Ibaadat
Ki Taraf Aaye Jo Jism Se Pak, Jagah Se Pak ,Jo Shuru Se Hai Ya'ani Allah عَزَّ وَجَلَّ.
Taalib-E-Dua:-
Mir Mohammad Tausif Raza Qadri Razvi Al-Ayyubi
(الازدی الخزرجی النجّاری)
Comments
Post a Comment