SHAB E BARAAT KE QURAN WA AHAADEES SE DALAAIL AUR AITRAAZAAT KA JAWAAB

 

Shab-E-Baraat (شب برات ) Ka Suboot Quran Se Bhi Milta Hai Aur Ahaadees Se Bhi Aur Shab-E-Baraat (شب برات)Ko Kaseer Ahaadees-E-Mubaarikah Me "لَيْلَةُ النِّصْفِ مِنْ شَعْبَانَ" Ya'ani Sha'baan Al-Muazzam Ki 15th Raat Ko Shab-E-Baraat Qarar Diya Gaya Hai. Is Raat Ko Baraat(برات) Se Is Wajah Se Taabeer Kiya Jaata Hai Ke Is Raat Ibaadat Karne Se Allah  سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى   Insaan Ko Apni Rahmat Se Jahannam Ke Azaab Se Chhutkara Aur Nijaat Ataa Kar Deta Hai.

Aage Badhne Se Pahle Chand Usooli Baatein:-

Ikhtilaafi Masla Me Quran Aur Sunnat Ki Taraf Rujoo Ka Hukum :

Shariat-E-Islamia(Islamic Law) Ka Yeh Musalammah Usool (Ya'ani Accepted Principle) Hai Ke Deen Ke Jis Maamle Me Bhi Ikhtilaaf Ho Jaaye To Usse Quran Aur Sunnat-E-Rasool صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Ki Taraf Loautaya Jaayen Phir Agar Dono Ka Ya Kisi Ek Ka Is Masla Ke Jawaaz Mein Hukm Saabit Ho Jaaye To Shara'ee Taur Par Is Ki Ittibaa Karna Waajib Hai Aur Mukhaalif Hone Ki Soorat Me Chhodna Zaruri Hai .

 

 

(1)

یٰۤاَیُّهَا الَّذِیْنَ اٰمَنُوْۤا اَطِیْعُوا اللّٰهَ وَ اَطِیْعُوا الرَّسُوْلَ وَ اُولِی الْاَمْرِ مِنْكُمْۚ-فَاِنْ تَنَازَعْتُمْ فِیْ شَیْءٍ فَرُدُّوْهُ اِلَى اللّٰهِ وَ الرَّسُوْلِ اِنْ كُنْتُمْ تُؤْمِنُوْنَ بِاللّٰهِ وَ الْیَوْمِ الْاٰخِرِؕ-ذٰلِكَ خَیْرٌ وَّ اَحْسَنُ تَاْوِیْلًا۠(59)

Tarjama-E-Kanzul Imaan:-

اے ایمان والو حکم مانو اللہ کا اور حکم مانو رسول کا اور ان کا جو تم میں حکومت والے ہیں پھر اگر تم میں کسی بات کا جھگڑا اٹھے تو اُسے اللہ و رسول کے حضور رجوع کرو اگر اللہ و قیامت پر ایمان رکھتے ہو یہ بہتر ہے اور اس کا انجام سب سے اچھا

Aye Imaan Waalon Hukm Maanon Allah Ka Aur Hukm Maanon Rasool Ka Aur Un Ka Jo Tummein Hukumat Waale Hai Phir Agar Tum Me Kisi Baat Ka Jhagda Uthe To Usein Allah Wa Rasool Ke Huzoor Ruju Karo Agar Allah Wa Qayaamat Par Imaan Rakhte Ho Yeh Behtar Hai Aur Uska Anjaam Sab Se Achha.

(Surah Nisaa', Aayat No:- 59)


(2)

فَلَا وَ رَبِّكَ لَا یُؤْمِنُوْنَ حَتّٰى یُحَكِّمُوْكَ فِیْمَا شَجَرَ بَیْنَهُمْ ثُمَّ لَا یَجِدُوْا فِیْۤ اَنْفُسِهِمْ حَرَجًا مِّمَّا قَضَیْتَ وَ یُسَلِّمُوْا تَسْلِیْمًا(65)

ترجمہ: کنزالایمان

تو اے محبوب تمہارے رب کی قسم وہ مسلمان نہ ہوں گے جب تک اپنے آپس کے جھگڑے میں تمہیں حاکم نہ بنائیں پھر جو کچھ تم حکم فرمادو اپنے دلوں میں اس سے رکاوٹ نہ پائیں اور جی سے مان لیں

 

Tarjama-E-Kanzul Imaan:-

To Aye Mehboob Tumhaare Rab Ki Qasam Woh Musalmaan Na Honge Jab Tak Apne Aapas Ke Jhagde Me Tumhe Haakim Na Banaaye Phir Jo Kuchh Tum Hukm Farma Do Apne Dilon Me Ussein Rukaawat Na Paaye Aur Ji Se Maan Le.

(Surah Nisaa', Aayat No- 65)

 

(3)

یٰۤاَیُّهَا الَّذِیْنَ اٰمَنُوْۤا اَطِیْعُوا اللّٰهَ وَ رَسُوْلَهٗ وَ لَا تَوَلَّوْا عَنْهُ وَ اَنْتُمْ تَسْمَعُوْنَۚۖ  (20)

(21)وَ لَا تَكُوْنُوْا كَالَّذِیْنَ قَالُوْا سَمِعْنَا وَ هُمْ لَا یَسْمَعُوْنَ

ترجمہ: کنزالایمان

اے ایمان والو اللہ اور اس کے رسول کا حکم مانو اور سن سنا کر اسے نہ پھرواور ان جیسے نہ ہونا جنہوں نے کہا ہم نے سنا اور وہ نہیں سنتے

Tarjama-E-Kanzul Imaan:-

Aye Imaan Waalon Allah Aur Uskein Rasool Ka Hukm Maanon Aur Sun Suna Kar Usein Na Phiron Aur Un Jaise Na Hona Jinhon Ne Kaha Hamnein Suna Aur Woh Nahi Suntein.

(Surah Anfaal, Ayat No-20,21)

 

 

(4)

یٰۤاَیُّهَا الَّذِیْنَ اٰمَنُوْۤا اَطِیْعُوا اللّٰهَ وَ اَطِیْعُوا الرَّسُوْلَ وَ لَا تُبْطِلُوْۤا اَعْمَالَكُمْ(۳۳)

ترجمہ: کنزالایمان

اے ایمان والو اللہ کا حکم مانو اور رسول کا حکم مانو اور اپنے عمل باطل نہ کرو

Tarjama-E-Kanzul Imaan:-

Aye Imaan Waalon Allah Ka Hukm Maanon Aur Rasool Ka Hukm Maanon Aur Apne Amal Baatil Na Karo.

 

 

Allah  سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى  Aur Uske Rasool صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Ki Itaa'at Par Ba-Kasrat Aayaat Hain Jo Is Baat Par Dalaalat Karti Hain Ke Nazaa'ee(نزاعی) Aur Ikhtilaafi Masaail Sirf Unhi Do Bargaahon Se Hal Ho Sakte Hain Aur Bandon Ki Dunya Ki Aur Aakhirat Ki Bhalaayi Sirf Unhi Se Waabasta Hain,Lihaza Shab-E-Baraat Ki Shara'ee Haisiyat Jaanne Ke Liye Hum Unhi Ki Taraf Rujoo Karte Hain Aur Is Hawaale Se Marwi Ahaadees-E-Mubarikah Ki Hujjiyat (حجیت) Aur Saqaahat (ثقاہت) Ka Jaaiza Lete Hain .


Lihaaza Aaiye Ab Sabse Pahle Quran Shareef Se Shab-E-Baraat (شب برات ) Ke Dalaail Dekhte Hai:-

حٰم وَالْکِتٰبِ الْمُبِيْنِ اِنَّـآ اَنْزَلْنٰـهُ فِیْ لَيْلَةٍ مُّبٰـرَکَةٍ اِنَّا کُنَّا مُنْذِرِيْنَ فِيْهَا يُفْرَقُ کُلُّ اَمْرٍ حَکِيْمٍ

Tarjama-E-Kanzul Imaan Shareef:

"Qasam Us Raushan Kitaab Ki ,Beshak Hamnein Usein Barkat Waali Raat Me Utaara Beshak Hum Dar Sunaane Waale Hai, Ismein Baant Diya Jaata Hai Har Hikmat Wala Kaam.

(Surah Dakhaan ,Ayat ,1 To 4)

 

 

 

Syyedina Imam Baghwi رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ne Huzoor Nabi-E-Kareem Sarwar-E-Qaunain صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Se Marfoo'(مرفوع) Riwaayat Naql Ki Hai Ke Aap صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Ne Irshaad Farmaaya:-

 "Sha'abaan Se Sha'abaan Tak Amwaat(Mautein/Deaths) Likhi Jaati Hai Yaha Tak Ke Aadmi Nikah Karta Hai Aur Uske Ghar Aulaad Paida Hoti Hai Haalaanke Uska Naam Murdon Me Likha Jaa Chuka Hota Hai.

 Reference:-

(Tafseer Ibne Abi Haatim, 3287:10, Raqm- 18531)

 

Syyedina Imam Ibne Haatim رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ne Hazrat Syyedina Ibne Omar رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـھُمَا  Se Allah  سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى  Ke Is Qaul "فِيْهَا يُفْرَقُ کُلُّ اَمْرٍ حَکِيْمٍ (Ismein Baant Diya Jaata Hai Har Hikmat Wala Kaam.) Ke Tahat Riwaayat Ki Hai , Aap رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ne Farmaaya:

Ek Saal Se Dusre Saal Ke Umoor (امور) Yeh Sab Kuchh Allah  سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى  Ke Paas Kitaab Me Tehreer Hai Ismein Koi Taghayyur Wa Tabdeel (Ya'ani Changes) Nahi Hota.

Reference:-

(Tafseer Ibne Abi Haatim, 3287:10, Raqm -18531)

 

Jalaalat-E-Ilm Syyedina Imam Jalaluddin Suyuti رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ki Tafseer "Durr-E-Mansoor" Me Likhte Hai Ke Khateeb Baghdaadi Aur Ibne Najjaar Ne Ummul Momineen Syyedah Tayyiba Taahirah Ayesha Siddiqua رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهَـا Se Riwaayat Ki Hai Ke:

Huzoor Nabi-E-Kareem Sarwar-E-Qaunain صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Tamaam Sha'abaan-Ul-Muazzam Ke Roze Rakh Kar Usko Ramzaan Ke Saath Mila Dete The Aur Aap Kisi Bhi Maah (Mahine) Ke Tamaam Dinon Ke Roze Na Rakhte The Siwaaye Sha'abaan-Ul-Muazzam Ke ,

Main Ne Arz Ki: Ya Rasoolallah صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Sha'abaan Ka Mahina Aap Ko Bada Pasand Hai Ke Aap Iske Roze Rakhte Hai ? Aap صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ  Ne Farmaaya: Haa.

Aye Ayesha (رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهَـا) Koi Nafs Bhi Purein Saal Me Faut Nahi Hota Magar Uski Ajal Sha'abaan Me Likh Di Jaati Hai ,To Main Pasand Karta Hu Ke Jab Meri Ajal Likhi Jaaye To Main Allah  سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى  Ki Ibaadat Aur Amal-E-Saalih Me Masroof Rahu.

Reference:-

(Tafseer Durr-E-Mansoor,26:6.)


LIHAZA YAHA QURAN SE SAABIT HUA SHAB-E-BARAAT.



Ab Aate Hai Hadees Ke Dalaail Ki Taraf:-

Allah  سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى  Aur Uske Rasool صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Ki Itaa'at Par Ba-Kasrat Aayaat Hain Jo Is Baat Par Dalaalat Karti Hain Ke Nazaa'ee(نزاعی) Aur Ikhtilaafi Masaail Sirf Unhi Do Bargaahon Se Hal Ho Sakte Hain Aur Bandon Ki Dunya Ki Aur Aakhirat Ki Bhalaayi Sirf Unhi Se Waabasta Hain,Lihaza Shab-E-Baraat Ki Shara'ee Haisiyat Jaanne Ke Liye Hum Unhi Ki Taraf Rujoo Karte Hain Aur Is Hawaale Se Marwi Ahaadees-E-Mubarikah Ki Hujjiyat (حجیت) Aur Saqaahat (ثقاہت) Ka Jaaiza Lete Hain .

 

Shab-E-Baraat Ki Fazeelat Aur Is Me Ihtimaam Ibaadaat Par Ahaadees-E-Mubarikah Ka Tehqeeqi Muta'ala :

 

Ummat-E-Muslimah Ke Tamam Makatab-E-Fikr Ke Fuqaha Wa Olama Ka Is Baat Par Ijmaa Hai Ke Jo Masla Bhi Quran Wa Sunnat Dono Ya Sirf Quran Ya Sunnat Se Saabit Ho Jaaye Us Par Amal Waajib Hota Hai. Woh Ahaadees Jo Is Raat Ki Fazeelat Ko Ujaagar Karti Hain Bohat Se Sahaba Karaam رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہُم اَجْمَعِیْن  Se Marwi Hain Un Me

(1) Afzalul Bashar Baad-Al-Ambiya Amir-Ul-Momineen Hazrat Syyedina Abu Bakr Siddique رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ.

 

(2) Khalifa-E-Chaharum Amir-Ul-Momineen Asadullaahil Ghaalib Syyedul Arab Wal Ajam Syyedina  Maula Ali Al-Murtaza  کَـرَّمَ الـلّٰـهُ تَـعَـالٰی وَجۡـھَـهُ الۡـکَـرِیۡم.

 

(3) Ummul Momineen Syyedah Tayyiba Taahirah Ayesha Siddiqua رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهَـا .

 

(4) Hazrat Syyedina Abdullah Bin Amro Bin Al-Aas رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ.

 

(5) Hazrat Syyedina Muaazz Bin Jabl رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ .

 

(6) Hazrat Syyedina Abu Hurairah رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ .

 

(7) Hazrat Syyedina Abu Sa'alba Al-Khashni  رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ.

 

(8) Hazrat Syyedina Auf Bin Maalik رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ

 

(9) Hazrat Syyedina Abu Moosa Ash'ari رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ.

 

(10) Hazrat Syyedina Osmaan Bin Abil Aas رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Jaise Bade Bade Sahaba Karaam رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہُم اَجْمَعِیْن  Ke Naam Shaamil Hain.

  Salf-E-Saaliheen Aur Akaabir Olama'a Ke Ahwaal Se Pata Chalta Hai Ke Is Raat Ko Ibaadat Karna Un Ke Maa'moolaat Mein Se Tha, Lekin Kuchh Log Is Raat Ibaadat, Zikr Aur Wa'az Wa Naseehat Par Mushtamil Mahaafil Munaqqid Karne Ko Gumrahi Waali Bidat Kehne Se Bhi Nahi Hichkichaate Jo Saraa-Sar Ahadees-E-Nabwi صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Ki Ta'alemaat Ke Khilaaf Hai. Aage Shab-E-Baraat Ki Fazeelat Aur Usmein Ihtimaam Ibaadaat Ka Ahaadees-E-Mubarikah Ki Raushni Me Jaaiza Liya Jaata Hai, Is Ke Sath Un Ahaadees-E-Mubaarikah Ki Asaanid (اسانید) Ka Muta'ala Karte Huwe Unki Saqaahat(Authenticity) Bhi Wazeh Ki Jaayegi (Ya'ani Neeche Ahaadees Shaareef Se Shab-E-Baraat Ki Fazeelat Aur Us Raat Jag Kar Ibaadaat Wagairah Saabit Kiya Jaayega, Aur Har Ek Riwaayat Ki Sanad Ke Raawiyon Ki Authenticity Par Baat Ki Jaayegi).

 

AHAADEES SHAREEF:-

(1)

Afzalul Bashar Baad-Al-Ambiya Amir-Ul-Momineen Hazrat Syyedina Abu Bakr Siddique رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Se Marwi Hadees Shareef.

 Hazrat Syyedina Abu Bakr Siddique رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Farmaate Hai Ke Huzoor Nabi-E-Kareem Sarwar-E-Qaunain صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Ne Farmaaya:-

 حدثنا عمرو بن مالک، قال: حدثنا عبد ﷲ بن وهب، قال: حدثنا عمرو بن الحارث، قال: حدثني عبد الملک بن عبد الملک، عن مصعب بن أبی ذئب، عن القاسم بن محمد، عن أبيه أو عمه، عن أبی بکر رضی الله عنه قال: قال رسول ﷲ صلی الله عليه وآله وسلم : إِذَا کَانَ لَيْلَةُ النِّصْفِ مِنْ شَعْبَانَ يَنْزِلُ ﷲُ تَبَارَکَ وَتَعَالَی إِلَی سَمَاءِ الدُّنْيَا فَيَغْفِرُ لِعِبَادِهِ إِلَّا مَا کَانَ مِنْ مُشْرِکٍ أَوْ مُشَاحِنٍ لِأَخِيْهِ.

Tarjama :-

"Jab Maah-E-Sha'abaan (Sha'abaan-Ul-Muazzam) Ki 15weeh (15th) Raat Hoti Hai To Allah  سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى  Aasmaan-E-Duniya Par (Apne Hasab-E-Haal) Nuzool Farmaata Hai Pas Woh Mushrik Aur Apne Bhaayi Se Adaawat Rakhne Waale Ke Siwa Apne Saare Bandon Ki Bakhshish Farma Deta Hai."

Reference:-

(Musnad Bazzaar, 206:1, Hadees- 80)

 

Imam Bazzaar رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Is Hadees Ko Naql Karne Ke Baad Likhte Hai:-

Hum Is Hadees Ko Hazrat Syyedina Abu Bakr Siddique رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Se Marwi Sirf Isi Tareeq Se Jaante Hai Aur Yeh Hadees Hazrat Syyedina Abu Bakr Siddique رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ  Ke Alaawah Deegar Sahaba Karaam رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہُم اَجْمَعِیْن  Se Bhi Marwi Hai, Sab Se Aala Isnaad (Strong Chain) Se Hazrat Syyedina Abu Bakr Siddique رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Riwaayat Karte Hai Agarche Is Isnaad Me Kuchh Ho, Pass Hazrat Syyedina Abu Bakr Siddique رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ki Jalaalat Ne Usein Haseen Bana Diya Hai, Agarche Abdul Malik Bin Abdul Malik Ma'aroof Raawi Nahi Hai.

Mazeed Farmaate Hai:-

"وقد روی هذا الحديث أهل العلم ونقلوه و احتملوه فذکرنا لذالک"

Ya'ani Ahle-Ilm Ne Is Hadees Ko Riwaayat Kiya Hai Naal Kiya Hai Uspar Aitimaad (Ya'ani Yaqeen) Kiya Hai Lihaaza Hamnein Is Ko Zikr Kiya.

Syyedina Imam Abu Bakr Ahmed Bin Amr'o Al-Ma'aroof Bazzaar رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ki Taareekh-E-Wafaat  282 Hijri Hai, Inke Is Qaul Se Ma'aloom Hua Ke Sha'abaan-Ul-Muazzam Ki 15weeh (15th) Raat (Shab-E-Baraat) Ki Fazeelat Wa Khusoosiyat Tasleem Karna Aur Usko Bayaan Karna Ahle-Ilm Ka Ibtidaayi Adwaar (Ya'ani Shuruaati Zamaanon Se Chalta Aa Raha Hai) Raha Hai, Lihaza Maujoodah Daur Me Koi Shakhs Bhi Agar Shab-E-Baraat Ki Ghair-Maamooli Fazeelat Ka Inkaar Karta Hai To Dar'haqeeqat Woh Ahaadees-E-Mubaarikah Aur Salf-E-Saaliheen Ke Amal Se Naa'waaqfiyat Ki Bena (Basis) Par Aisa Kar Raha Hota Hai.

 

Imam Haisami رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ne Majma-Uz-Zawaaid  65:8 Me Kaha Hai Ke "Abdul Malik Bin Abdul Malik" Ko Ibne Haatim Ne Apni Kitaab "Al-Jarah Wat Ta'adeel" Me Zikr Kiya Hai Aur Usko Za'eef Nahi Kaha (Jo Iske Hujjat Hone Par Dalaalat Karta Hai) Jabke Iske Baaqi Ruwaat (Ya'ani Riwaayat Karne Waale) Siqah Hai (Ya'ani Authentic Hai).

 

 

(2)

Khalifa-E-Chaharum Asadullaahil Ghaalib Amir-Ul-Momineen Syyedina Maula Ali Al-Murtaza  کَـرَّمَ الـلّٰـهُ تَـعَـالٰی وَجۡـھَـهُ الۡـکَـرِیۡم Se Marwi Hadees.

 

Khalifa-E-Chaharum Asadullaahil Ghaalib Amir-Ul-Momineen Syyedina Maula Ali Al-Murtaza  کَـرَّمَ الـلّٰـهُ تَـعَـالٰی وَجۡـھَـهُ الۡـکَـرِیۡم Farmaate Hai Ke Huzoor Nabi-E-Kareem Sarwar-E-Qaunain صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Ne Irshaad Farmaaya :

 إِذَا کَانَتْ لَيْلَةُ النِّصْفِ مِنْ شَعْبَانَ، فَقُومُوا لَيْلَهَا وَصُومُوا نَهَارَهَا فَإِنَّ اﷲَ يَنْزِلُ فِيهَا لِغُرُوبِ الشَّمْسِ إِلَی سَمَاءِ الدُّنْيَا فَيَقُولُ: أَلَا مِنْ مُسْتَغْفِرٍ لِي فَأَغْفِرَ لَهُ؟ أَلَا مُسْتَرْزِقٌ فَأَرْزُقَهُ؟ أَلَا مُبْتَلًی فَأُعَافِيَهُ؟ أَلَا کَذَا؟ أَلَا کَذَا؟ حَتَّی يَطْلُعَ الْفَجْرُ.

Tarjama:-

Jab Sha'baan-Ul-Muazzam Ki 15weeh Raat (15th) Ho To Tum Uski Raat Ko Qayaam Kiya Karo Aur Iske Din Roza Rakha Karo, Beshak  Allah  سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى  Is Raat Apne Hasb-E-Haal Ghuroob-E-Aftaab Ke Waqt (Sooraj Doobte Waqt ) Aasman-E-Duniya Par Nuzool Farmaata Hai To Woh Kehta Hai : Kya Koi Mujh Se Maghfirat Talab Karne Wala (Gunaahon Se Maafi Maangne Wala,Apni Bakhshish Maangne Wala) Nahi Hai Ke Main Usein Bakhsh Dun ? Koi Rizq Talab Karne Wala Nahi Hai Ke Main Usein Rizq Dun ? Koi Bimaari Me Mubtala To Nahi Hai Ke Main Usein Aafiyat Dun ? Kya Koi Aisa Nahi? Kya Koi Waisa Nahi? Yahan Tak Ke Tulu Fajar Ho Jati Hai .

Reference:-

ابن ماجه، السنن، 1: 444، کتاب إقامة الصلاة والسنة فيها، باب ما جاء فی ليلة النصف من شعبان، رقم: 1388

 

Is Hadees Shareef Me "Ibn Abi Subrah" Ke Alawah Tamam Raawi (Narrators) Siqah Hai (Ya'ani Mazboot Hai, Authentic Hai).

 

 

(3)

Ummul Momineen Syyedah Tayyiba Taahirah Ayesha Siddiqua رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهَـا Se Marwi Hadees.

 

Ummul Momineen Syyedah Tayyiba Taahirah Ayesha Siddiqua رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهَـا Farmaati Hai Ke Ek Raat Maine Huzoor Nabi-E-Kareem Sarwar-E-Qaunain صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Ko (Bistar-E-Mubaarak Par) Na Paaya Pass Main Aapki Talaash Me Baahar Nikli To Dekha Ke Aap Aasmaan Ki Taraf Apna Sar Uthaaye Huwe Jannatul Baqi Shareef Me  Tashreef-Farma Hai , Aap صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Ne Farmaaya: Kya Tujhe Darr Hua Ke Allah عَزَّ وَجَلَّ Aur Uska Rasool صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Tujh Par Karega ? Maine Arz Kiya : Ya Rasoolallah ! Mujhe Ghumaan Hua Ke Aap Kisi Dusri Zauja Ke Haa (Ke Paas) Tashreef Le Gaye Hai, To Aap صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Ne Farmaaya :

إِنَّ ﷲَ عَزَّ وَجَلَّ يَنْزِلُ لَيْلَةَ النِّصْفِ مِنْ شَعْبَانَ إِلَی السَّمَاءِ الدُّنْيَا فَيَغْفِرُ لِأَکْثَرَ مِنْ عَدَدِ شَعَرِ غَنَمِ کَلْبٍ.

Ya'ani  Yaqeenan Allah  عَزَّ وَجَلَّ (Apne Shaan Ke Laayek) Sha'abaan-Ul-Muazzam Ki 15weeh (15th) Raat Aasmaan-E-Duniya Par Nuzool Farmaata Hai, Pass Woh Banu Kalb Ki Bakriyon Ke Baalon Se Bhi Zyadah Logon Ko Bakhsh Deta Hai.

 Reference:-

 (Ahmed Bin Hanbal,Al-Musnad, 238:6)

 

 

Hujjaaj Bin Artaat Ko Mohaddiseen Ne "Mudallis" Kaha Hai Lekin Is Se Hadees Lena Jaaiz Qaraar Diya Hai.

Reference:-

(Ma'arifatis Siqaat, 284:1)

 

Jalaalat-E-Ilm Syyedina Imam Jalaluddin Suyuti رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ne Isko "Hujjaaj Bin Artaat" Ko Ba'az (Baaqi Dusre) Raawiyon Se Ahaadees Lene Ke Bena Par (Dusre Raawiyon Se Hadees Lene Ki Basis Par) Haafiz Shumaar Kiya Hai.

Reference:-

(Tabqaatul Huffaaz,88:1)

 

 

Yahya Bin Abi Kaseer Ko Ajali (عجلى)  Aur Ibne Habbaan  Ne Siqah (Ya'ani Sacha,Mazboot, Authentic) Aur Ayub Ne Zuhri Ke Baad Ahle-Madina Me Se Hadees Ko Sabse Zyada Jaanne Wala Yahya Ko Qaraar Diya Hai, Urwah Bin Zubair Se Iski Samaa'at (سماعت) Par Ikhtilaaf Kiya Gaya Hai, Yahya Bin Moin  Ne Iski Samaa'at (سماعت)  Ko Urwaah Se Saabit Kiya Hai.

Reference:-

(Jaame-Ut-Tahseel, 299:1)

 

Ahle Usool (Ya'ani Jo Hadees Ke Usool Ke Maahireen) Aur Fuqaha-E-Karaam Ne Ek Muttafiqa Qaaidah (Ya'ani Jis Usool Ya Tareeqa Par Ahle Usool Aur Fuqaha-E-Karaam Ka Ittifaaq Hai) Bayaan Kiya Hai Ke:

المثبت مقدم علی النافی

Ya'ani Musabbat (مثبت) , Manfi (منفی) Par Muqaddam (مقدم) Hota Hai.

Reference:-

(1) Ibne Daqeeq-Ul-Eed,Sharah Umdatul Ahkaam, 230:1.

(2) Imam Ibne Hajr Al-Asqalaani, Fatahul Baari Fi Sharah Sahih Al-Bukhaari,27:1)

 

Lihaaza Ibne Moin Ke Qaul Par Amal Karte Huwe Yahya Ki Samaa'at (سماعت) Ko Urwah Se Durust Kaha Jaayega. Is Hadees-E-Pak Ki Raushni Me Huzoor Nabi-E-Kareem Sarwar-E-Qaunain صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Ke Amal-E-Mubarak Se Shab-E-Baraat Me Ibaadat Karna Aur Qabristan Jaana Saabit Hua.

 

(4)

Hazrat Syyedina Abdullah Bin Amr'o رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Se Marwi Hadees Shareef.

حَدَّثَنَا حَسَنٌ حَدَّثَنَا ابْنُ لَهِيعَةَ حَدَّثَنَا حُيَيُّ بْنُ عَبْدِ ﷲِ عَنْ أَبِي عَبْدِ الرَّحْمَنِ الْحُبُلِيِّ عَنْ عَبْدِ ﷲِ بْنِ عَمْرٍو رضی الله عنه أَنَّ رَسُولَ اﷲِ صلی الله عليه وآله وسلم قَالَ: يَطَّلِعُ ﷲُ عَزَّوَجَلَّ إِلَی خَلْقِهِ لَيْلَةَ النِّصْفِ مِنْ شَعْبَانَ، فَيَغْفِرُ لِعِبَادِهِ إِلَّا لِاثْنَيْنِ: مُشَاحِنٍ وَقَاتِلِ نَفْسٍ.

Ya'ani Hazrat Syyedina Abdullah Bin Amr'o رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Se Riwaayat Hai Ke Huzoor Nabi-E-Kareem Sarwar-E-Qaunain صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Ne Farmaaya: Maah-E-Sha'abaan (Sha'abaan-Ul-Muazzam Ka Mahina) Ke Nisf (Ya'ani Sha'abaan-Ul-Muazzam Ki 15weeh Raat) Ko Allah  سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى  Apni Makhlooq Ki Taraf Mutwajjah Hota Hai, Pass Woh Apne Bandon Ko Maaf Kar Deta Hai Siwaaye Do (2) Logon Ke: Sakht Keena Rakhne Wala Aur Qaatil.

Reference:-

(Ahmed Bin Hanbal, Al-Musnad,176:2,Hadees: 63533)

 

Imam Munzari Ne "At-Targheeb Wat Tarheeb, 308:3 " Me Kaha Hai Ke Is Hadees Ko Imam Ahmed Bin Hanbal Ne Layeen(لَیِّن سے مراد قلیل ضعف) Se Riwaayat Kiya Hai.

 

Imam Haisami Ne "Majma-Uz-Zawaaid,65:8" Me Kaha Hai Ke Is Riwaayat Me Ibne Lahiya'a (ابن لہیعۃ) Hai Jo Ke "Lain-Ul-Hadees (لین الحدیث) Hai.

 

Abdullah Bin Lahiya'a Bin Uqba Al-Misri Ko Imam Jalaluddin Suyuti Ne "Tabqaatul Huffaaz,107:1" Me Zikr Kiya Hai Aur Kaha Hai Ke Imam Ahmed Wagairah Ne Isein Siqah (Ya'ani Sacha, Mazboot, Authentic) Aur Yahya Bin Sa'eed Al-Qittaan Wagairah Ne Za'eef Kaha Hai.

 

 MOHADDISEEN-E-KARAAM IS HADEES KO BAAQI RAAWIYON KE BAARE ME FARMAATE HAI:

 

(1) Hasan Bin Musa Taaba'ee Hai, Yahya Bun Moin ,Alk Bin Madeeni Aur Ibne Habbaan Ne Inhein Siqah (Ya'ani Sacha, Mazboot, Authentic) Shumaar Kiya Hai.

Reference:-

(Imam Ibne Hajr Al-Asqalaani,Tahzeebut Tahzeeb, 279:2)

 

 

(2) Hayyi Bin Abdullah Siqah (Ya'ani Sacha, Mazboot, Authentic) Hai.

Reference:

(Ibne Habbaan ,As-Siqaat, 236:6)

 

(3) Abu Abdur Rahman Abdullah Bin Yazeed Al-Habli Shaami Taaba'ee Siqah (Ya'ani Sach, Mazboot, Authentic) Hai

Reference:-

(Ajali (عجلی), Ma'arifatus Siqaat,66:2)

 

 

(5)

  Asadullah Fil Arz Sahabi-E-Rasool Hazrat Syyedina Muaaz Bin Jabal Al-Azdi Al-Khazraji Al-Ansari رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Se Marwi Hadees.

أخبرنا محمد بن المعافی العابد بصيدا وابن قتيبة وغيره قالوا: حدثنا هشام بن خالد الأزرق قال حدثنا أبو خليد عتبة بن حماد عن الأوزاعی وابن ثوبان عن أبيه عن مکحول عن مالک بن يخامر عن معاذ بن جبل عن النبي صلی الله عليه وآله وسلم قال: يَطَّلِعُ ﷲُ إِلٰی خَلْقِهِ فِی لَيْلَةِ النِّصْفِ مِنْ شَعْبَانَ، فَيَغْفِرُ لِجَمِيْعِ خَلْقِهِ إلَّا لِمُشْرِکٍ أَوْ مُشَاحِنٍ.

 

 

Sahabi-E-Rasool Hazrat Syyedina Muaaz Bin Jabl رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Se Riwaayat Hai Ke Huzoor Nabi-E-Kareem Sarwar-E-Qaunain صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Ne Irshaad Farmaaya:-

Maah-E-Sha'abaan (Sha'abaan-Ul-Muazzam Ke Mahine)  Ki Nisf Shab (15weeh Raat) Ko Allah Ta'ala Apni Makhlooq Ki Taraf Mutwajjah Hota Hai, Pass Woh Mushrik Aur Bughz Rakhne Waale Ke Siwa Apni Tamaam Makhlooq Ko Bakhsh Deta Hai.

Reference:-

(1) Ibne Habbaan , As-Saheeh, 481:12,Hadees- 5665.

(2) Tabraani, Mu'ajjam Al-Ausat, 36:7 , Hadees - 6776.

(3) Tabraani , Mu'ajjam Al-Kabeer,108:20, Hadees - 215.

 

Imam Haisami رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ne "Majma-Uz-Zawaaid,65:8" Me Kaha Hai Ke Is Riwaayat Ko Tabraani Ne Mu'ajjam Al-Kabeer Aur Mu'ajjam Al-Ausat Me Riwaayat Kiya Hai Aur In Ke Rijaal (Raawi ,Narrators) Siqah (Ya'ani Sache, Mazboot, Authentic) Hai.

 

(1) Maalik Bin Yakhaamir As-Saksaki Taba'ee Siqah (Ya'ani Sache, Mazboot, Authentic) Hai,Unhone Hazrat Syyedina Abdur Rahman Bin Auf, Hazrat Syyedina Muaaz Bin Jabl,Aur Hazrat Syyedina Amir Muawiya رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہُم اَجْمَعِیْن  Se Riwaayat Kiya Hai Aur Insein Mak-Hool Shaami Ne Riwaayat Kiya Hai.

Reference:-

(Murzi, Tahzeeb-Ul-Kamaal, 167:27)

 

 

(2) Abu Abdullah Mak-Hool Shaami Siqah (Ya'ani Sach, Mazboot, Authentic) Hai

Reference:-

(Imam Ibne Hajr Al-Asqalaani, Taqreebut Tahzeeb,545:1)

Is Hadees-E-Pak Ki Siqaahat (Ya'ani Mazbooti, Authenticity) Se Pahli Hadees Bhi Qawi (Ya'ani Mazboot) Ho Gayi Hai Aur Uska Za'af (Ya'ani Kamzori,Weakness) Khatm Ho Gaya Hai.

 

(6) 

Hazrat Syyedina Abu Hurairah رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Se Marwi Hadees, Inhi Alfaaz Se Hazrat Syyedina Abu Hurairah رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Se Riwaayat Marwi Hai Ke Huzoor Nabi-E-Kareem Sarwar-E-Qaunain صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Ne Farmaaya:-

إِذَا کَانَ لَيْلَةُ النِّصْفِ مِنْ شَعْبَانَ، يَغْفِرُ ﷲُ لعباده إلَّا لِمُشْرِکٍ أَوْ مُشَاحِنٍ.

Ya'ani Jab Maah-E-Sha'abaan (Sha'abaan-Ul-Muazzam Ke Mahine) Ki Nisf Shab (Ya'ani 15weeh Raat) Hoti Hai To Allah عَزَّ وَجَلَّ Shirk Karne Waale Aur Bughz Rakhne Waale Ke Siwa Apne Tamam Bandon Ki Bakhshish Farma Deta Hai.

Bazzaar, Al-Musnad, 435,436:2, Imam Haisami Ne Majma-Uz-Zawaaid ,65:8 Me Kaha Hai Ke Isein Bazzaar Ne Riwaayat Kiya Hai Aur Ismein Ek Raawi Hishaam Bin Abdur Rahman Ko Main Nahi Jaanta, Is Ke Baaqi Ruwaat(Ya'ani Baaqi Riwaayat Karne Waale) Siqah (Ya'ani Sache, Mazboot, Authentic) Hai.


(7)

 Hazrat Syyedina Abu Sa'alba Al-Khashni رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Se Marwi Hadees.

حدثنا أحمد بن نضر العسکری ثنا محمد بن آدم المصيصی ثنا المحاربي عن الأحوص بن حکيم عن حبيب بن صهيب عن مکحول عن أبي ثعلبة أن النبي صلی الله عليه وآله وسلم قال: يَطْلُعُ ﷲُ عَلٰی عِبَادِهِ لَيْلَةَ النِّصْفِ مِنْ شَعْبَانَ، فَيَغْفِرُ لِلْمُؤْمِنِيْنَ وَيُمْهِلُ الْکَافِرِيْنَ، وَيَدَعُ أهْلَ الْحِقْدِ بِحِقْدِهِمْ حَتَّی يَدَعُوْهُ.

Ya'ani Hazrat Syyedina Abu Sa'alba Al-Khashni رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Se Riwaayat Hai Ke Huzoor Nabi-E-Ghaibdaan Sarwar-E-Qaunain صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ  Ne Farmaaya:

"Allah Rabbul Izzat Sha'abaan-Ul-Muazzam Ki 15weeh Raat Ko Apne Bandon Par Matla (مطلع)  Hota Hai, Pass Woh Mominon Ki Maghfirat Farmaata Hai Aur Kaafiron Ko Mohlat Deta Hai Aur Woh Ahle Hasad Ko Un Ke Hasad Me Chhod Deta Hai Yaha Tak Ke Woh Usein Tark Kar De.

References:-

(1) Tabraani, Mu'ajjam Al-Kabeer,223:22, Raqm- 590.

(2) Ibne Abi Aasim , As-Sunnah, 223:1,Raqm- 511.

 

Haisami Ne Majma-Uz-Zawaaid 65:8 Me Iske Ek Raawi "Ahwas Bin Hakeem (احوص بن حکیم) Ko Za'eef Kaha Hai, Aur Ghair Muqallideen Ka Imam Naasiruddin Al-Baani Ne Apni Kitaab "223:1,ظلال الجنۃ فی تخریج السنۃ لابن ابی عاصم" Me Is Hadees Ke Baare Me Kaha Hai Ke Yeh Hadees Sahih Hai, Aur Ahwas Bin Hakeem Jo Ke Za'eef-Ul-Hifz Hai Ke Siwa  Tamaam Ruwaat (Ya'ani Tamam Riwaayat Karne Waale) Siqah (Ya'ani Sacha, Mazboot, Authentic) Hai Jaisa Ke "At-Taqreeb" Me Hai.

Pass Iski Misl (مثل) Se Suboot Wa Dalaail Ko Qaayem Kiya Jaayega Kyunke Woh Apne Baad Wagairaha Ke Tareeq Ke Sabab Qawi (Ya'ani Mazboot ) Ho Jaata Hai.

"Daar-Qatani" Ne "Ahwas Bin Hakeem" Ke Baare Me Kaha Hai Ke "Uspar Is Soorat Me Aitbaar Kiya Jaayega Jab Koi Siqah (Ya'ani Sacha, Mazboot, Authentic) Raawi Ussein Riwaayat Karein."

Aur Ibne Adi Ne Kaha Hai Ke "Issein Bahot Si Riwaayaat Marwi Hai Aur Un Ruwaat( Riwaayat Karne Waalon) Me Se Hai Jinki Ahaadees Likhi Jaati Hai Aur Siqah (Ya'ani Sacha, Mazboot, Authentic) Ruwaat(Ya'ani Riwaayat Karne Waalon) Ki Ek Jamaat Ne Isse Hadees Li Hai Aur Ismein Koi Munkir Cheez Nahi Hai Jiska Woh Radd Karte Magar Yeh Ke Woh Aisi Asaaneed (Chain Of Hadees) Bayaan Karein Jin Ki Ittibaa Nahi Ki Jaa Sakti.

Reference:-

(Muzi(مزی), Tahzeeb-Ul-Kamaal,293,294:2)

 

 

(8) 

Sahabi-E-Rasool Hazrat Syyedina Auf Bin Maalik رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Se Marwi Hadees.

 

Hazrat Syyedina Auf Bin Maalik رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Farmaate Hai Ke Huzoor Nabi-E-Ghaibdaan Sarwar-E-Qaunain صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Ne Farmaaya:

يَطْلُعُ ﷲُ عَلَی خَلْقِهِ لَيْلَةَ النِّصْفِ مِنْ شَعْبَانَ فَيَغْفِرُ لَهُمْ کُلَّهُمْ إِلَّا لِمُشْرِکٍ أوْ مُشَاحِنٍ.

Ya'ani Maah-E-Sha'abaan (Sha'abaan-Ul-Muazzam Ke Mahine) Ki Nisf Shab (Ya'ani 15weeh Raat) Ko Allah  سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى  Apni Makhlooq Ki Taraf Tawajja Farmaata Hai, Pass Woh Shirk Karne Waale Aur Keena Rakhne Waale Ke Siwa Har Ek Ki Maghfirat Farma Deta Hai

Reference:

(1) Bazzaar, Al-Musnad,186:7, Hadees- 2754.

 Haisami Ne "Majma-Uz-Zawaaid, 65:8" Me Kaha Hai Ke Isein Bazzaar Ne Riwaayat Kiya Hai Aur Ismein "Abdur Rahman Bun Ziyaad Bin An'am" Hai, Ahmad Bin Saalih Ne Isein Siqah (Ya'ani Sacha, Mazboot, Authentic) Aur Jamhoor Aaimma Ne Za'eef Kaha Hai Aur Ibne Lahiya'a Kamzor Raawi Hai Baaqi Iske Rijaal Siqah (Ya'ani Sacha, Mazboot, Authentic) Hai.

 

(2) Ibne Shaaheen Ne "Taareekh-E-Asma'a Was Siqaat, 147:1" Me Abdur Rahman Bin Ziyaad Bin An'am Ka Zikr Kiya Hau Aur Yahya Bin Moin Ne Kaha Hai Ke Issein Riwaayat Lene Me Koi Harj Nahi Agarche Ismein Za'af (ضعف) Hai.

 

 

(9)

 Sahabi-E-Rasool Hazrat Syyedina Abu Musa Ash'ari رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Se Marwi Hadees.

Sahabi-E-Rasool Hazrat Syyedina Abu Musa Ash'ari رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Riwaayat Karte Hai Ke Huzoor Nabi-E-Kareem Sarwar-E-Qaunain صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Ne Farmaaya:

إِنَّ ﷲَ لَيَطَّلِعُ فِي لَيْلَةِ النِّصْفِ مِنْ شَعْبَانَ فَيَغْفِرُ لِجَمِيعِ خَلْقِهِ إِلَّا لِمُشْرِکٍ أوْ مُشَاحِنٍ.

Ya'ani Beshak Allah سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى Maah-E-Sha'abaan (Sha'abaan-Ul-Muazzam Ke Mahine) Ki Nisf Shab (Ya'ani 15weeh Raat) Ko (Apni Makhlooq Ki Taraf) Mutawajjah Hota Hai , So Woh Mushrik Aur Keena-Parwar (Ya'ani Bughz,Hasad,Keena Rakhne Wala)  Ke Siwa Apni Tamaam Makhlooq Ko Maaf Kar Deta Hai.

Reference:-

(Ibne Maajah)

(ابن ماجه، کتاب اقامة الصلاة والسنة فيها، باب ماجاء فی ليلة النصف من شعبان، 1 : 445، رقم : 1390)

 

(1)  Imam Ibne Maajah رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ  Ki Bayaan Kardah Yeh Riwaayat "Marfoo Munqata (مرفوع منقطع) " Hai Kyunke Ismein "Zahaak Bin Abdullah Bin Abdur Rahman" Bila'waasta (Ya'ani Beghair Kisi Waaste Ke) Sahabi-E-Rasool Hazrat Syyedina Abu Musa Ash'ari رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Se Hadees Nahi Lete ,Lekin Yahi Hadees Ibne Maajah Ne Aur Hibatullah Bin Hasan Laalkaayi (ہبۃ ﷲ بن حسن لالکائی) Ne "Sharah Usool-E-Aitiqaad Ahlus Sunnah,447:3, Raqm- 763" Me Zikr Ki Hai Jiske Mutaabiq:

Ibne Lahiya'a Ne Zubair Bin Muslim, Unhone Zahaak, Unhone Apne Waalid Abdur Rahman  Bin Azrab Aur Unhone Sahabi-E-Rasool Hazrat Syyedina Abu Musa Ash'ari رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ  Se Marfoo'an (مرفوعاً) Riwaayat Ki Hai.

 

(2) Mizzi (مزی) Ne "Tahzeeb-Ul-Kamaal,308:9, Raqm- 1964" Me Yahi Hadees Ek Bahot Aala Sanad (Ya'ani Bahot Hi Zyada Mazboot, Authentic Chain Of Hadess) "Sa'eed Bin Ufair Se Ibne Lahiya'a" Unhone "Zubair Bin Saleem" Ke Waaste Se Bayaan Ki Hai.

Lihaaza Is Hadees Ke Sahih Marfoo Muttasil (صحیح مرفوع متصل) Hone Me Koi Shak Nahi Hai.

(Ya'ani Aasaan Zaban Me Kaha Jaaye To Riwayat Sahih Hai).

 

(10)

Hazrat Syyedina Osmaan Bin Abil Aas رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Se Marwi Hadees.

 

Hazrat Syyedina Osmaan Bin Abil Aas رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Se Marwi Hai Ke Huzoor Nabi-E-Kareem Sarwar-E-Qaunain صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Ne Farmaaya:

إِذَا کَانَ لَيْلَةُ النِّصْفِ مِنْ شَعْبَانَ فَإِذَا مُنَادٍ : هَلْ مِنْ مُسْتَغْفِرٍ فَأغْفِرَ لَهُ؟ هَلْ مِنْ سَائِلٍ فَأعْطِيَهُ؟ فَـلَا يَسْألُ أحَدٌ إَلَّا أعْطِيَ إِلَّا زَانِيَةٌ بِفَرْجِهَا أوْ مُشْرِکٌ.

Ya'ani Jab Sha'abaan-Ul-Muazzam Ki 15weeh Raat Hoti Hai To Munaadi Nida Deta Hai:

Kya Koi Maghfirat Talab Karne Wala Hai Ke Main Usein Bakhsh Du ? Kya Koi Sawaal Karne Wala Hai Ke Main Usein Ata Kar Du ? Pass Zaaniya (Ya'ani Zana Karne Wala /Wali) Aur Mushrik Ke Siwa Har Sawal Karne Waale Ko Ata Kar Diya Jaata Hai.

Reference:-

(Baihaqi , Shoab-Ul-Imaan,383:3, Raqm- 3836)

 

IS DISCUSSION ME KAYI SAARE IMPORTANT POINTS HAI :-

(1) Tamaam Ahaadees-E-Mubaarikah Se Shab-E-Baraat Ki Fazeelat Aur Khusoosiyat Saabit Hoti Hai Aur Firqa-E-Baatila Wahabi Ahle Hadees Wa Deobandi Jo Is Shak Me Mubtala Rehte Hai Ke Yeh Riwaayaat Za'eef Hai Woh Shak Bhi Door Ho Gaya.

Har Hadees Ke Za'eef Raawi Par Dalaail Ki Raushni Me Discussion Karne Par Yeh Natija Nikla Ke Tamaam Ahaadees Ek Dusre Se Taqwiyat Paa Kar "Hasan" Ke Darje Par Faaiz Hai.

 

(2) Sabse Aham Baat Yeh Hai Ke Shab-E-Baraat Par Ahaadees Ko Riwaayat Karne Waale Kayi Sahaba Karaam رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہُم اَجْمَعِیْن   Hai, Lihaza Itne Sahaba Karaam رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہُم اَجْمَعِیْن Ka Kisi Masle Par Ahaadees Riwaayat Karna Un Ki Hujjiyat Aur Qata'iyat Ko Saabit Karta Hai.

 

(3) Agar Kuchh Ahaadees Za'eef Bhi Ho To Mohaddiseen Karaam Ne Khud Is Baat Ko Clear Kiya Hai Ke Za'eef Ahaadees Muta'addad Tarq Se Taqwiyat Yaani Kayi Tareeqo Se Raawiyon Se Marwi Hone Ke Baad Mazbooti Paakar Hasan Ke Darje Par Faaiz Hoti Hai.

 

(4) Teesra Aham Qaaidah (Usool) Mohaddiseen Ne Apni Kitaabon Me Yeh Darj Kiya Hai Ke Fazaail Me Za'eef Riwaayaat Bhi Qaabil-E-Qubool Ho Jaati Hai , Jabke Shab-E-Baraat Par Ahaadees-E-Hasana Marwi Hai.

 

SHAB-E-BARAAT ME IBAADAAT KA IHTIMAAM KARNE KE TAALUQ SE SALF-E-SAALIHEEN KI RAAI AUR MA'AMOOL:-

 

(1) 

Hazrat Syyedina Nooruddin Abul Hasan Bin Sultan Mohammad Al-Harwi Al-Qari Al-Ma'aroof Mulla Ali Qari رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Farmaate Hai Ke Shab-E-Baraat Ke 4 Naam Hai :-

(1)Lailatul Mubarakah (لَیْلَـۃُ الْمُبَارَکۃ Ya'ani Barkat Waali Raat)

(2) Lailatul Baraat (لَیْلَـۃُ الْبَراءَۃ Ya'ani Nijaat Waali Raat)

(3) Lailatul Sak (لَیْلَـۃُ الصَّک Ya'ani Dastaawez Waali Raat)

(4) Lailatur Rahmat (لَیْلَـۃُ الرَّحْمَۃ Ya'ani Rahmat Waali Raat)

Mazeed Farmaate Hai:-

Isein "Lailatul Baraat (لَیْلَـۃُ الْبَراءَۃ Ya'ani Nijaat Waali Raat)" Aur "Lailatul Sak (لَیْلَـۃُ الصَّک Ya'ani Dastaawez Waali Raat)" Isliye Kehte Hai Ke Taajir Jab Anaaj Uske Maalik Se Wasool Kar Leta Hai To Uske Liye Baraa'at-Naama (براءت نامہ) Likh Deta Hai, Isi Tarah Allah  سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى  Is Raat Apne Momin Bandon Ke Liye Jahannam Se Aazaadi Ka Baraa'at-Naama (براءت نامہ) Likh Deta Hai.

Reference:-

(Majmoo Rasaail Allamah Mulla Ali Qari, Ar-Risaalah: At-Tibyaan Fi Bayaan Maa Fi Lailatin Nisf Min Sha'abaan,41:3,ملخصا )

 

(2) 

Ek Martabah Amir-Ul-Momineen Syyedina Omar Bin Abdul Aziz رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Sha'abaan-Ul-Muazzam Ki 15weeh Raat (Ya'ani Shab-E-Baraat Ki Raat) Ibaadat Me Masroof The, Sar Uthaaya To Ek "Sabz Rang (Green Color) Ka Parcha Mila Jis Ka Noor Aasmaan Tak Phaila Hua Tha, Uspar Likha Tha "ہٰذِہٖ بَرَاءَۃٌ مِّنَ النَّارِ مِنَ الْمَلِکِ الْعَزِیْزِ لِعَبْدِہٖ عُمَرَ بْنِ عَبْدِالْعَزِیْز Ya'ani "Khuda-E-Maalik Wa Ghaalib Ki Taraf Se Yeh Jahannam Ki Aag Se Aazaadi Ka Parwaanah Hai Jo Uske Bande Omar Bin Abdul Aziz Ko Ata Hua Hai".

Reference:-

(Tafseer Roohul Bayaan, Paarah -25, Surah Dakhaan, Tahat-Ul-Aayat- 2, 402/8)

 

(3) Hazrat Syyedina Maula Ali Al-Murtaza  کَـرَّمَ الـلّٰـهُ تَـعَـالٰی وَجۡـھَـهُ الۡـکَـرِیۡم, Hazrat Ummul Momineen Syyedah Tayyiba Taahirah Ayesha Siddiqua رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهَـا , Aur Hazrat Syyedina Osmaan Bin Abil Aas رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Se Marwi Ahaadees Jiska Upar Zikr Kiya Gaya Hai Usmein Huzoor Nabi-E-Kareem Sarwar-E-Qaunain صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Ki Sunnat Aur Amr(امر) Se Uski Hujjiyat Saabit Hai.

 

(4) Huzoor Nabi-E-Kareem Sarwar-E-Qaunain صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Sha'abaan-Ul-Muazzam Ke Mahine Me Ramzaan Ke Alaawah Baaqi Tamaam Mahinon Se Badh Kar Ibaadat Karte The,Lihaaza Shab-E-Baraat Ko Issein Kis Tarah Khaarij Kiya Jaa Sakta Hai ????

Balke Yeh Raat Dusri Raaton Ki Nisbat Ibaadat Ki Zyadah Mustahiq Hai.

 

(5) 

Hazrat Syyedina Abdullah Bin Omar رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـھُمَا  Farmaate Hai:-

خمس ليال لا ترد فيهن الدعاء: ليلة الجمعة، و أول ليلة من رجب، و ليلة النصف من شعبان، و ليلتی العيدين

Ya'ani 5 Raatein Aisi Hai Jinmein Dua Radd Nahi Ki Jaati, Juma Ki Raat, Rajab Ki Pehli Raat, Sha'abaan-Ul-Muazzam Ki 15weeh Raat, Donon Eidon (Eid-Ul-Fitr Aur Eid-Ul-Azha) Ki Raatein.

Reference:-

(Abdur Razzaque,Al-Musannaf,317:4, Raqm- 7927)

 

 

(6) 

Wahaabi Deobandi Ghair Muqallidon Ka Sabse Pasandida Aalim Aur Peshwa ,Us  Ibne Taimiya Ne Is Raat Me Ibaadat Aur Qayaam Par Likhta Hai Ke:-

سئل ابن تيمية عن صلاة نصف شعبان؟ فأجاب : إذا صلی الانسان ليلة النصف وحده أو فی جماعة خاصة کما کان يفعل طوائف من السلف فهو أحسن.

Ya'ani Ibne Taimiya Se Nisf Sha'abaan (Ya'ani Shab-E-Baraat/15weeh Shaabaan) Me Nafli Namaaz Ada Karne Ke Baare Me Sawaal Kiya Gaya To Usnein (Ibne Taimiya Ne) Kaha : Jab Koi Bhi Insaan Nisf Sha'abaan (15 Weeh Sha'abaan/Shab-E-Baraat) Ko Akela Ya Jamaat Ke Saath Namaz Padhe Jaisa Ke Salf Me Se Bahot Saare Giroh Iska Ihtimaam Karte The To Yeh Bahot Khoob Hai.

(Majmoo Fatawa Ibne Taimiya 131:23)

Shab-E-Baraat Ki Raat Me Ibaadat Karne Ko Bidat Kehne Waale Wahabi Deobandi Tableeghi Ab Ibne Taimiyah Ko Kab Gumrah Ya Bid'ati Bolenge ??

 

(7)

 Haafiz Ibne Rajab Hanbali Likhte Hai: Sha'abaan-Ul-Muazzam Ki 15weeh Shab (Shab-E-Baraat) Ko Ahle Shaam (Syria Ke Rahne Waale)  Taaba'een Khaalid Bin Ma'adaan ,Luqmaan Bin Aamir Aur Unke Alaawah Deegar Is Raat Ki Ta'azeem Karte Aur Ismein Behad Ibaadat Karte, Woh Is Raat Masjid Me Qayaam Karte, Is Par Imam Is'haaq Bin Raahwiya(اسحاق بن راہویہ) Ne Unki Mawaafiqat Ki Hai Aur Kaha Hai Ke Is Raat (Shab-E-Baraat Ki Raat) Ko Masaajid (Masjidon) Me Qayaam Karna Bid'at Nahi Hai.

Reference:-

(Lataaif-Ul-Ma'arif, Page- 263)

(8)

Shehzada-e-Farooq-e-Aazam Shaikh-e-Muhaqqiq Sheikh Abdul Haq Mohaddis Dehlavi Farooqui رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ farmaate hai "Taaba'een Me Se Jaleel-ul-Qadr Hazraat Maslan Hazrat Syyedina Khaalid Bin Ma'adaan, Hazrat Syyedina Mak'hool, Hazrat Syyedina Luqmaan Bin Aamir  aur Hazrat Syyedina Is'haaq Bin Raahwiya رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہُم اَجْمَعِیْن  Masjid Me Jama Ho Kar Sha'abaan Ki 15weeh shab (Shab-e-Baraat) Me Shab-e-Bedaari Karte The Aur Raat Bhar Masjid Me Ibaadaat Me Masroof Rehte The.

Reference:-

(1) ماثبت من السنہ، صفحہ - 202

(2) لطائف المعارف، صفحہ - 144



Allama Ibn Al-Haaj Maaliki رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ  Shab-e-baraat Ke Muta'aliq Likhte Hai "Aur Koi Shak Nahi Ke Yeh Raat Badi Baa'barkat Aur Allah  سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى  Ke Nazdeek Badi Azmat Waali Hai, Hamaare Aslaaf رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہُم اَجْمَعِیْن  Uski Bahot Ta'azeem Karte Aur Uske Aane Se Qabl (Ya'ani Aane Se Pahle) Uske Liye Taiyyari Karte The, Phir Jab Yeh Raat Aati To Woh Khushi Wa Jazba Se Iska Istaqbaal Karte Aur Musta'di (مستعدی)Ke Saath Is Raat Me Ibaadat Kiya Karte The Kyunke Yeh Baat Saabit Ho Chuki Hai Ke Hamaare Aslaaf Sha'air-Allah (Allah  سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى  Ki Nishaaniyon) Ka Bahot Ihtiraam Karte The.

Reference:-

(المدخل ، Jild-1, Page -392)


In Ibaaraton Se Yeh Masla Saabit Hua Ke Is Muqaddas Raat Me Masjid Me Jama Ho Kar Ibaadaat Me Mashgool Rehna Aur Is Raat Shab-bedaari Ka Ihtimaam Karna Taaba'een Karaam Ka Tareeqa Raha Hai.


✍🏻Shehzada-e-Farooq-e-Aazam Shaikh-e-Muhaqqiq Sheikh Abdul Haq Mohaddis Dehlavi Farooqui رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Farmaate Hai:

"Ab Jo Shakhs Jo Sha'abaan Ki 15weeh Raat Me Shab-bedaari Karein To Yeh Fa'al (Amal/Kaam) Ahaadees Ki Mutaabiq Me Bilkul Mustahab Hai, Rasool-e-Kareem صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Ka Yeh Amal Bhi Ahaadees Se Saabit Hai Ke Shab-e-Baraat Me Aap Musalmaanon ki Dua-e-Maghfirat Ke Liye Qabristaan Tashreef Le Gaye The 

Reference:

(ماثبت من السنہ، Page- 205)


✍🏻Hazrat Syyedina Imam Hasan Basari رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ke Taaluq Se Ek Imaan'afroz Waqya Hai Ke:-

Jab Aap Shab-e-Baraat (15weeh Sha'abaan-ul-Muazzam) Me Ghar Se Baahar Tashreef Laaye To Aap Ka Chehrah Yun Dikhaayi Deta Tha Jis Tarah Kisi Ko Qabr Me Dafn Karne Ke Baad Baahar Nikaala Gaya Ho, Aap رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Se Iska Sabab Puchha Gaya To Aap رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ne Farmaaya Allah عَزَّ وَجَلَّ Ki Qasam Meri Misaal Aisi Hai Jaise Kisi Ki Kashti Samandar Me Toot Chuki Ho Aur Woh Doob Raha Ho Aur Bachne Ki Koi Umeed Na Ho, Puchha Gaya Aap Ki Aisi Haalat Kyun Hai ? Farmaaya Mere Gunaah Yaqeeni Hai ,Lekin Apni Nekiyon Ke Muta'aliq Main Nahi Jaanta Ke Woh Mujhsein Qubool Ki Jaayengi Ya Phir Radd Kar Di Jaayengi.

Reference:-

(Ghuniyatut Taalibeen, Page-250)

✍🏻Ahle Makkah ke Maa'moolaat:

Teesri Sadi Hijri (3rd Century Hijri) Ke Buzurg Hazrat Syyedina Abu Abdullah Muhammad Bin Is'haaq Faa'kihi رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Farmaate Hai (Ya'ani Aaj Se 1100 Saal Pahle Ke Buzurg Jin Ka Zamaana Huzoor Sarwar-e-Qaunain صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Aur Sahaba Karaam رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہُم اَجْمَعِیْن  Se Qareeb ThaWoh Farmaate Hai):

"Jab Shab-e-Baraat Aati Hai To Ahle Makkah Ka Aaj Tak Yeh Tareeqa Chala Aa Raha Hai Ke Masjid-e-Haraam Shareef Me Aa Jaate Aur Namaaz Ada Karte, Tawaaf Karte Aur Saari Raat Ibaadat Aur Qur'an Shareef Ki Tilaawat Me Mashgool Rehte Hai, Unmein Se Kuchh Log 100 Rakat (Nafl Namaaz) Is Tarah Ada Karte Ke Har Rakat Me Surah Fateha Ke Baad 10 Martaba (10 Times) Surah Ikhlaas Padhte, Zam Zam Shareef Peete, Ussein Ghusl Karte Aur Usein Apne Mareezon Ke Liye Mehfooz Kar Lete Aur Is Raat Me In A'amaal Ke Zariye Khub Barkatein Samet'te Hai.

Reference:-

(Akhbaar-e-Makkah, Juzz- 3, Vol- 84,2, ملخصاً)

Lamha-e-Fikriya:-

Hazrat Syyedina Imam Hasan Basari رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Jo Huzoor ﷺ Ke Razaayi Bete Hai,jo Apne Waqt Ke Imam Hai Unki Allah عَزَّ وَجَلَّ Ki Baargaah Me Aajizi Wa Inkisaari Dekhiye Magar Hum Jo Ek Waqt Ki Bhi Namaaz Sahih Se Nahi Padh Paate Aur Agar Padh Lete Hai To Samjhte Hai Ke Bahot Neki Kar Li, Afsos Sadd Afsos , Isiliye Har Haal Me Apne Nek A'amaal Par Takabbur Nahi Karna Chahiye Aur Allah Ki Baargaah Me Aajizi Wa Inkisaari Ke Saath Sajda Rez Hote Rehna Chahiye.

Isi Tarah In Riwaayaton Se Yeh Baat Bhi Saabit Hoti Hai Ke Shab-e-Baraat Me Raat Ko Jagna ,Ibaadat Karna ,Zikr Karna Huzoor صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Ka ,Tamaam Sahaba Karaam wa Auliya Karaam رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہُم اَجْمَعِیْن  Ka Ma'amool Raha Hai.



Ek Sawaal Wahabiyon Deobandiyon Se Ke Shab-e-Baraat Ki Raat Ibaadaat Karna To 

Shehzada-e-Farooq-e-Aazam Shaikh-e-Muhaqqiq Sheikh Abdul Haq Mohaddis Dehlavi Farooqui رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Se Saabit Ho Gaya Aur Taaba'een Karaam Se Saabit Ho Gaya To Wahaabi Aur Deobandi Tableeghi Jamaat Waale Shehzada-e-Farooq-e-Aazam Shaikh-e-Muhaqqiq Sheikh Abdul Haq Mohaddis Dehlavi Farooqui رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Par aur Kubbaar Taaba'een Karaam رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہُم اَجْمَعِیْن  Par Kya Fatwa Lagaayenge???

Kya Sahaba Karaam رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہُم اَجْمَعِیْن  Ke Zamaane Ke Tamam Buzurg Jin Ka Is Par Amal Raha Hai Kya Unko Hadees Ka Ilm Ya Unhein Usool-e-Hadees Nahi Ma'aloom Tha Kya Jo Baraah-e-Raast Huzoor ﷺ,Sahaba Karaam Wa Taaba'een Karaam Wa Taba-Taaba'een Karaam رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہُم اَجْمَعِیْن Se Riwaayaat Lete The Aur Us Par Amal Karte The ?

Aaj Ke Dhokebaaz Wahabi Deobandi Tableeghi Jamaat Ahle Hadees Wagairah Aaj Se 1100 Saal Pahle Ke Makkatul Mukarramah Shareef Ke Olama'a wa Buzurgon Par Kya Fatwa Lagaayenge?

Lihaza Pata Yeh Chala Ke Wahabi Ahle Hadees Deobandi Tableeghi Jamaat Waale Bolte Hain Magar Samajhte Nahi, Aur Shab-e-Baraat Me Shab-e-Bedaari,Ibaadaat, wagairahum Ko Rokne Wala Allah Aur Uske Rasool ﷺ, Aur Auliya Karaam رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہُم اَجْمَعِیْن Ke Raaste Se Rokne Wala Badmazhab Jahannami Hua.


 

 

Shab-E-Baraat Par Itni Kaseer Taadaad Me Marwi Ahaadees Sirf Isliye Nahi Hai Ke Koi Bhi Banda-E-Momin Sirf Usko Padh Kar Ke Unhein Qisse ,Kahaaniyan Samajhte Huwe, Usko Nazar'andaaz Kar De ,Balke In Ahaadees Ke Bayaan Ka Maqsood Yeh Hai Ke

Insaan Apne Rab Allah  سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى  Ki Baargaah Me Ibaadat Karein ,Duaaye Maangein,Jaaiz Muraadein Maange, Isln Barkat Waali Raaton Me Allah عَزَّ وَجَلَّ Ki Rahmat Apne Purein Josh Me Hoti Hai Aur Apne Gunehgaar Bandon Ki Bakhshish Wa Maghfirat Ke Liye Aawaaz Deti Hai Lihaaza Is Raat Me Qayaam Karna ,Kasrat Se Qur'an Shareef Ki Tilaawat Karna,Durood Shareef Padhna,Zikr Karna,Ibaadat Aur Dua Karna Mustahab Hai Aur Yeh A'amaal Ahaadees-E-Mubaarikah Aur Salf-E-Saaliheen Ke Amal Se Saabit Hai, Isliye Jo Shakhs Bhi Ab Is Shab Ko Ya Ismein Ibaadat Ko Gumraahi Waali Bid'at Kehta Hai To Woh Quran Wa Sunnat Ka Inkaar Karta Hai Aur Quran Wa Sunnat Ka Inkaar Karna Kufr Hai.

Lihaza Apne Nafs Ko Maarte Huwe Allah عَزَّ وَجَلَّ Ki Ibaadat Karna Hai, Apne Gunaahon Se Tauba Karna Hai Ke Allah Ka Qurb Paane Ke Liye Sabse Pahle Tauba Ke Maidaan Me Utarna Padta Hai, Aur Haq Ki Raah , Ahle Sunnat Wal Jamaat Maslak-E-Aalahazrat Par Qaayem-O-Daayem Rehna Hai.

Allah عَزَّ وَجَلَّ Tamam Jahannami Firqe Wahabi Deobandi Tableeghi Wagairahum Ke Dhoke Se Sabke Imaan Aur Aqeedeh Ki Hifaazat Farmaaye, Maslak-E-Aalahazrat Par Qaayem-O-Daayem Rakhe, Ilm-E-Deen Haasik Karne Ka Jazba Paida Farmaaye,Namaz ,Shariat, Wa Sunnat Ka Paband Banaaye, Aur Khusoosan Bil Khusoos Huzoor Shaikh-Ul-Islam Wal Muslimeen Pir-E-Herat Khwaja Sheikh Abu Ismaeel Abdullah Al-Harwi Al-Ayyubi رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ, Huzoor Syyedina Sultanul Auliya Ghausul Aazam Sheikh Syed Shah Abdul Qaadir Jilaani رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ, Huzoor Syyedina Khwaja Ghareeb Nawaz رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ , Huzoor Syyedina Badiuddin Zindah Shah Madaar رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ, Huzoor Syyedina Alahazrat, Huzoor Syyedina Tajushhariah, Aur Silsila E Aaliya Qadriya Wa Deegar Salaasil-E-Tareeqat Ke Mashaaikh Ka Roohani Fuyooz Wa Uloom Se Faizyaab Farmaaye

اٰمِیْن بِجَاہِ النَّبِیِّ الْاَمِیْن صَلَّی اللہ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلہٖ وَسَلَّم

 

Taalib-E-Dua:-

Khaadim-E-Shaikh-Ul-Islam Pir-E-Herat Khwaja Abdullah Harwi Wa Mir Ali Ayyubi

 

 Mir Mohammad Tausif Raza Qadri Razvi Al-Ayyubi

 (الازدی الخزرجی النجّاری)


Comments

Popular posts from this blog

SHAJRAH-E-TAYYIBAH SILSILA-E-AALIYAH QADRIYAH BARKAATIYAH RAZVIYA NOORIYA

ISLAM AUR SANATAN DHARM ME AURAT KA MAQAAM