SHIA RAWAAFIZ KE DHOKEBAAZI AUR FAREB AUR ILM-E-HADEES KE SAATH CHHED CHHAAD
SHIA RAWAAFIZ KE DHOKEBAAZI AUR FAREB
AUR ILM-E-HADEES KE SAATH CHHED CHHAAD
Shia Rawaafiz ,Syyedina Hazrat Ammar Bin Yaasir Radiallaho
Ta’ala Anho Ki Shaahadt Waali Hadees Ke Saath Chhed Chad Aur Tod Marod Kar
Awaam Ke Saamne Pesh Karke Amirul Momineen Syyedina Hazrat Amir Muawiya
Ibn-E-Abu Sufyaan Radiallaho Ta’ala Anhuma Ko Ma’azallah Baaghi Saabit Karne Me
Lage Rahte Hai Aur Bholi Bhaali Awaam Jinhey Na Hadees Ka Usool Maaloom Na
Qawaneen Unko Yeh Shia Rafzi Gumraah Karne Ki Koshish Karte Hai, Aur Daleel Ke
Taur Par Bukhari Shareef Ki Yeh Hadees Pesh Karte Hai :-
🔻🔻🔻🔻🔻🔻🔻🔻🔻🔻🔻🔻🔻🔻
Huzoorﷺ Ne Hazrat Ammaar Bin Yaasir Radiallaho Ta’ala
Anho Ko
Dekha Ke Masjid-E-Nabawi Ki Taameer Ke
Dauran Baaki Log 1 Eent (Brick) Uthakar Rakh
Rahe Hain, Jab Ke Hazrat Ammaar 2 Eentey (Bricks)
Utha Rahe Hain... Ye Manzar Dekh'kar
Huzoorﷺ Ne Hazrat Ammaar Radiallaho Ta’ala Anho
Ke Jism Se Mitti Jhaadi Aur Farmaya ::
" Aye Ammaar Allah Ki Rehmat Ho Tujh Par..
Tujhe Ek Baaghi Giroh Qatl Karega...
Tu Unhey Jannat Ki Taraf Bula Raha
Hoga Or Woh Tujhe Jahunnum Ki Taraf."
_
Reference :: (Shahi Bukhari , Hadees No. 2812)
Phir Yeh Shia Rawaafiz Dhoka Dete Huwe Kahtey Hai Ki Yeh
Riwaayat Bukhari Shareef Ki Hai Aur
Ismein Do- Tokk Andaaz Me Is Baat Ki Saraahat Hai Ki Syyedina Hazrat Amir
Muawiya Radiallaho Ta’ala Anho Aur Aapke
Tamam Lashkari Baaghi Hai (Ma’azallah) ,Kyunke Huzoorﷺ
Ki Peshangoyi Unhi Par Saadiq Aayi,Lihaaza Syyedina Hazrat Ammaar Bin Yaasir
Radiallaho Ta’ala Anho Ke Qatl Ke Jurm Wajah Se Yeh Hazraat Baaghi Qaraar Paaye
,Isliye Unhe Baaghi Qaraar Na Dena Huzoorﷺ
Ke Irshaad Ko Jhuthlaana Hai.
JAWAB:-
Sabse Pehli Baat Ki In Shia Rawaafiz Ne Aadhi Hadees Pesh
Ki Q Dhoke Se Kaam Lena Inki Puraani
Aadat Hai Lihaaza Aaiye Sabse Pehle Puri Hadees Sanad Ke Saath Dekh Lijiye, Q
Ki Koi Bhi Hadees Ki Sehat Wa Mazbooti Uske Raawiyo Ke Ahwaal Ke Zariye Pata
Lagaya Jata Hai Lihaza Puri Hadees Dekhiye :-
BAAB:- باب مَسْحِ الْغُبَارِ عَنِ النَّاسِ،
فِي السَّبِيلِ
حَدَّثَنَا إِبْرَاهِيمُ بْنُ مُوسَى ،
أَخْبَرَنَا عَبْدُ الْوَهَّابِ ، حَدَّثَنَا خَالِدٌ ، عَنْ عِكْرِمَةَ ، أَنَّ
ابْنَ عَبَّاسٍ قَالَ لَهُ ، وَلِعَلِيِّ بْنِ عَبْدِ اللَّهِ : ائْتِيَا أَبَا
سَعِيدٍفَاسْمَعَا مِنْ حَدِيثِهِ فَأَتَيْنَاهُ ، وَهُوَ وَأَخُوهُ فِي حَائِطٍ
لَهُمَا يَسْقِيَانِهِ فَلَمَّا رَآنَا جَاءَ فَاحْتَبَى وَجَلَسَ ، فَقَالَ :
كُنَّا نَنْقُلُ لَبِنَ الْمَسْجِدِ لَبِنَةً لَبِنَةً ، وَكَانَ عَمَّارٌ
يَنْقُلُ لَبِنَتَيْنِ لَبِنَتَيْنِ ، فمر بِهِ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ
عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ، وَمَسَحَ عَنْ رَأْسِهِ الْغُبَارَ ، وَقَالَ : "
وَيْحَ عَمَّارٍ تَقْتُلُهُ الْفِئَةُ الْبَاغِيَةُ عَمَّارٌ يَدْعُوهُمْ إِلَى
اللَّهِ ، وَيَدْعُونَهُ إِلَى النَّارِ " .
TARJAMA:-
Hamsein Ibraahim Bin Musaa Ne Bayaan Kiya ,Kaha Humko Abdul Wahaab Ne Khabar Di, Kaha
Hamsein Khalid Ne Bayan Kiya Ikrama Se Ke “Syyedina Hazrat Ibne Abbaas
Radiallaho Ta’ala Anho Ne “Ikrama” Aur
“Ali Bin Abdullah “ Se Farmaaya
Ke Tum Dono Syyedina Hazrat Abu Saeed
Khudri Al-Khazraji Al-Ansari
Radiallaho Ta’ala Anho Ke Paas Jaao
Aur Unsein Hadees Ka Sama’a Karo ,Pass
Hum Dono (Ikrama Aur Ali Bin Abdullah)
Unki Khidmat Me Haazir Huwe Jabki Woh Apne Bhai Ke Saath Baagh Ko Paani
De Rahe The ,Jab Unhone Hamein Dekha To Hamaare Paas Tashreef Le Aaye Aur
(Chaadr Odh Kar) Got Maar Kar Baith Gaye , Phir Farmaaya Ke
Jab Masjid-E-Nabwi Ki Taameer Ho Rahi Thi To Hum Ek Ek Eent Uthaakar Laate The Lekin Syyedina Hazrat Ammaar Bin Yaasir
Radiallaho Ta’ala Anho Do Do Eent Uthaakar Laate The Jab Nabi-E-Kareem ﷺ
Unke Paas Se Guzrey To Unke Sar Ka Ghoobaar Jhaadte Huwe Farmaaya :- Ammaar Ki Us Haalat Par Afsos Hai
Ke Unko Bbaaghiyo Ka Giroh Qatl Karega Yeh To Unhe Allah Ki Taraf Bulaayenge
Aur Woh Unko Jahannam Ki Taraf.
(Sahih Bukhari,Hadees No:-2812)
Aapne Dekh Li Hogi Puri Hadees Magar Shia Rafzi Puri Hadees
Nahi Dikhaayega kyun Ki Ussein Unka Jhooth Saamne Aa Jaayega Lihaza Unka Yeh
Hadees Pesh Karke Syyedina Hazrat Amir Muawiya Radiallaho Ta’ala Anho Aur Unke
Lashkariyo Ko Baaghi Saabit Karna Yeh Mahaz Ek Ilzaam Hai.
Pehli Baat Ke Yeh Ilzaam Us Waqt Sahih Hoga Jab Iski Koi
Taaweel Na Ki Jaa Sakti Ho Lekin Yeh Agar Sahih Na Ho To Phir Usse Istadlaal
Durust Na Hoga.
“والامر
کذلک فان فی سنده ضعفا ليسقط الاستدلال به “
Tarjama- Aur Chunke Uski Sanad Me Za’af (ضعف) Hai Isliye Is Riwaayat Se Istadlaal Saaqit (ساقط) Ho Gaya , Rahi Yeh Baat Ki Ibn-E-Hannaan Ne Riwaayat-E-Bukhari Ki Tauseeq (توثيق) Ki Hai To Hum Kahtey Hai Ke Unki Tauseeq (توثيق) ,Uski Taz’eef(تضعيف) Karne Waale Hazraat Ke Hum’palla Nahi Ho Sakti, Kyunki Ibn-E-Hannaan Tauseeq (توثيق) Me Bahot Sust Shumaar Hotey Hai.
(Tatheer Al-Jinaan,Page-35)
Is Hadees Ki Sanad Me Mandarja-Zel Raawi Hai :-
Musaddad,Abdul Azeez Bin Mukhtar, Khaalid Al-Khalda’a, Aur
Ikrama ,Aur Ab Inpar Olama-E-Hadees Ka Tabsara Mulaahiza Kijiye:-
(1) Musaddad-
Syyedina Imam Zahbi Radiallaho Ta’ala Anho Iske Mutaalliq Likhte Hai Ke
“قال
القطانی فيه تساهل” Ya’ani Qattaani Ne Kaha ,Musaddad Me
Tasaahil(تساهل) Paaya Jaata
Hai.(Mizaanul Aitedaal,Vol-3,Page-162)
Aur Mohaddiseen Ke Nazdeek Tasaahil(تساهل) Ki Sifat Riwaayat Ko Na-Qaabil-E-Aitbaar
Thehraati Hai .
(2) Abdul
Azeez Bin Mukhtar:- Syyedina Imam Zahbi Radiallaho Ta’ala Anho Likhte Hai ,
Ahmad Bin Zuhair Kahtey Hai “انه ليس بشىء” Ya’ani Woh Kuchh Bhi
Nahi.
Shaikh-Ul-Islam Syyedina Hazrat Imam Ibne Hajr Al-Asqalaani
Radiallaho Ta’ala Anho Likhte Hai Ki
Ibne Abi Khaseema, Ibne Mo’een Se Riwaayat Karte Hai Ke ليس بشىء Ya’ani Yeh Kuchh Bhi Nahi .
(Tahzeeb At-Tahzeeb,Vol-6,Page-356)
(Mizaanul Aitedaal,Vol-2,Page-139)
(3) Khaalid
Al-Khalda’a :- Syyedina Imam Zahbi Radiallaho Ta’ala Anho Likhte Hai Ki
Abu Haatim Ne Kaha “لا یحتج به” Ya’ani “Yeh
Qaabil-E-Ihtijaaj Nahi Hai “
Syyedina Hazrat Imam Ahmad Bin Hanbal Radiallaho Ta’ala Anho
Kahtey Hai Ki Ibne Aliyaa Se Is Hadees Ke Muta’alliq Daryaaft Kiya Ke Khaalid
Uski Riwaayat Karta Raha Aur Hamnein Uski Taraf Koi Tawajjo Nahi Di . “ضعف ابن علية امر خالد” Ya’ani “Ibne Aliyaa Ne Khalid Ko Za’eef Kaha Hai .
(Mizaanul Aitedaal,Vol-1,Page-301)
(4) Ikrama :-
Syyedina Hazrat Ibne Abbas Radiallaho Ta’ala Anho Ka Yeh Ghulam Tha, Iska Naam
“Ikrama Al-Bariri Abu Abdullah Al-Madani”
Hai.
Shaikh-Ul-Islam Syyedina Hazrat Imam Ibne Hajr Al-Asqalaani
Radiallaho Ta’ala Anho Likhte Hai :-
Yahya Baka’a Kahtey Hai Maine Syyedina Hazrat Ibne Omar
Radiallaho Ta’ala Anho Apne Shaagird “Naa’fe” Se Yeh Kahtey Huwe Suna:-
“Aye Naa’fe ! Tujhpar Afsos , Allah
Se Daro , “لا تکذب علی کما کذب عکرمة علی ابن
عباس’ Ya,Ani
“Mujh Par Jhuth Na Baandhna Jaisa Ke Ikrama Ne Syyedina Hazrat Ibne Abbaas Radiallaho Ta’ala Anho Par Baandha Hai.”
(Tahzeeb At-Tahzeeb,Vol-7,Page-260)
Syyedina Hazrat Imam Zahbi Radiallaho Ta’ala Anho Likhte Hai Ki “Abdullah Bin Haaris” , “Ali Bin Abdullah Ibne Abbaas” Ke Paas Gaye To Dekha Ke Ikrama Darwaaze Par Bandha Hua Hai, To Main(Abdullah Bin Haaris) Ne Un(Ali Bin Abdullah Ibne Abbaas) Se Kaha Allah Ka Khauff Karein To Unhone Kaha “ان هذالخبیث یکذب علی ابی” Ya’ani “Yeh (Ikrama) Khabees Mere Waalid ( Syyedina Hazrat Ibne Abbaas Radiallaho Ta’ala Anho) Par Jhooth Baandhta Hai , Mas’ab Bin Zubair Ne Kaha Ke “کان عكرمة يرى راى الخوارج” Ya’ani “Ikrama Khawaarij Ka Nazariya (Aqeedah) Rakhta Tha.
(Mizaanul Aitedaal,Page-308)
Is Tafseel Se Zer-E-Bahas Hadees Ki Riwaayat Ki Asliyat Aur
Haqeeqat Aur Seerat Wa Kirdaar Waazeh Ho
Gaya Hai Jo Raawi Na-Qaabil-E-Aitbaar , ليس
بشىء, Na-Qaabil-E-Ihtijaaj,Ghair Siqah,Jhoothey Aur Khaarji Ho To
Unki Riwaayat Se Amirul Momineen Syyedina Hazrat Amir Muawiya Radiallaho Ta’ala
Anho Ke Khilaaf Istadlaal Kaise Kiya Jaa Sakta Hai ?
Lihaza Yaha Dalaail Ki Raushni Me Saaf Ho Gayi Baat Ki Yeh
Riwaayat Qaabil-E-Aitbaar Nahi Lihaza Ilzaam Jhootha Saabit Hua Rafziyo Ka ,
Lihaaza Bholi Bhaali Awaam Inke Fareb Se Bache Warna Deen-O-Duniya Dono Barbaad
Ho Jaayega.
Allah Rabbul Izzat Panjetan Pak,Khulfa-E-Raashideen,
Ahlebait-E-Athaar Wa Ansaar,Syyedina Hazrat Amir Muawiya Radiallaho Ta’ala Anho
Aur Tamam Sahaba Karaam Radiallaho Ta’ala Anhum Ajmaeen Ka Adab Aur Mohabbat
Karne Ki, Maslak-E-Alahazrat Par Qaayem-O-Daayem Rahne Ki Taufeeq Ata Farmaaye.
Aameen Ba-Tufail
Sultanul Auliya Ghausul Aazam Sheikh Abdul Qadir Jilaani Radiallaho Ta’ala Anho
Wa Ba-Tufail Jaddi Syyedina Pir-E-Herat Shaikhul Islam Khwaja Abdullah Al-Harwi
Al-Ayyubi Radiallaho Ta’ala Anho Wa Aba-Tufail Syyedina Wa Murshidina Wa Sanadina
Hazrat Tajushhariah Ash-Shah Imam Akhter Raza Khan Qadri Azhari Radiallaho
Ta’ala Anho.
Taalib-E-Dua:- Mir Md Tausif Raza Qadri Razvi Al-Ayyubi
Comments
Post a Comment