Imam-ul-Aadileen Amir-ul-Momineen Hazrat Syyedina Omar Faarooq-e-Aazam Al-Adiyi Al-Qarashi رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ

 Imam-ul-Aadileen Amir-ul-Momineen Hazrat Syyedina Omar Faarooq-e-Aazam Al-Adiyi Al-Qarashi رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ

👑👑👑👑👑👑👑👑👑

Wilaadat Mubarak:-

🌹Aap Aam-Ul-Fil Ke 13 Saal Baad 583 Iswi Me Paida Huwe.

Reference:-(اسد الغابه في معرفة الصحابه)


👑Naam-O-Nasab👑

Naam:- Hazrat Syyedina Omar رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ

👑Kunniyat:- "Abu Hafs"

👑Laqab:- "Faaroooq-E-Aazam"


"👑 Amir-Ul-Momineen Hazrat Syyedina Omar Faarooq-E-Aazam رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ke Waalid Ka Naam "Khattaab Bin Amr'o Bin Nufail" Hai

Aur Aapki Waalidah Ka Naam "Hantamah Binte Haashim Bin Mugheerah Bin Abdullah Bin Umr'a Makhzoom"


👑🌹Nasab-Nama:🌹👑:-

Baap Ki Taraf Se Nasab-Nama:-

👑Hazrat Syyedina Omar رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Bin Khattaab Bin Amr'o Bin Nufail Bin Abdul Uzza Bin Rayaah Bin Abdullah Bin Qart Bin Razaah Bin Adi Bin Ka'ab Bin Lu'ee Bin Ghaalib Bin Fihr (Quraish) Bin Maalik Bin Nizaar Bin Kinaanah Bin Khuzaimah Bin Mudrikah Bin Ilyaas Bin Muzir Bin Nizaar Bin Ma'ad Bin Adnan.


Maa Ki Taraf Se Nasab-Nama:-

👑 Hazrat Syyedina Omar رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Bin Hantamah Binte Haashim Bin Mugheerah Bin Abdullah Bin Umar Bin Makhzoom Bin Yuqzah Bin Kilaab Bin Murrah Bin Ka'ab Bin Lu'ee Bin Ghaalib Bin Fihr (Quraish) Bin Maalik Bin Nizaar Bin Kinaanah Bin Khuzaimah Bin Mudrikah Bin Ilyaas Bin Muzir Bin Nizaar Bin Ma'ad Bin Adnan.

..........................................................................

🌹👑Azwaaj-Wa-Aulaad👑🌹

Amir-Ul-Momineen Hazrat Syyedina Omar Faarooq-E-Aazam رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ki 10 Biwiyaan Hai, Aapki Puri Aulaad Ki Taadaad 14 Hai Jinmein Se 10 Bete ,Aur 4 Betiyaan Hai.


👑🌹 Biwiyon Ke Naam👑🌹

(1) Amir-Ul-Momineen Hazrat Syyedina Omar Faarooq-E-Aazam رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ne Pehla Nikah "Hazrat Syyedah Zainab Binte Maz'oon رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهَـا"  Se Hua Jo As'haab-E-Rasool Hazrat Syyedina Osmaan Bin Maz'oon, Hazrat Syyedina Abdullah Bin Maz'oon Aur Hazrat Syyedina Abu Amr'o Qudaama Bin Maz'oon  رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہُم اَجْمَعِیْن Ki Saggi Bahen Hai Inki Kunniyat "Umm-E-Abdullah Ibne Omar" Hai.

 Syyedah Zainab Binte Maz'oon رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهَـا   Se Amir-Ul-Momineen Hazrat Syyedina Omar Faarooq-E-Aazam رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ki Laadli Shehzaadi Aur Tamaam Musalmaanon Ki Jaan Se Azeez Pyaari Maa (1) Ummul Momineen Hazrat Syyedah Hafsah Binte Omar Faarooq-E-Aazam رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهَـا

 (2) Hazrat Syyedina Abdullah Ibne Omar Faarooq-E-Aazam رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـھُمَا

Aur 

 (3) Hazrat Syyedina Abdur Rahman Al-Akbar Ibne Omar Faarooq-E-Aazam رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـھُمَا  Paida Huwe.

 Reference:- (الاصابه)

 

🌹(2) Amir-Ul-Momineen Hazrat Syyedina Omar Faarooq-E-Aazam رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ne Dusra Nikah Hazrat Syyedah Jameela Binte Saabit Bin Iqlah رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهَـا  Se Farmaaya,

 Zamana-E-Jaahiliyat Me Aapka Naam "Aasiya" Tha Lihaza Huzoor Shahenshah-E-Ambiya ﷺ Ne Naam Badal Kar "Jameela" Rakh Diya , Aapko Sahaabiyat Ka Sharf Bhi Haasil Hai, Aur Insein Amir-Ul-Momineen Hazrat Syyedina Omar Faarooq-E-Aazam رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ke Sirf Ek Bete Paida Huwe Jinka Mubarak Naam "Hazrat Syyedina Aasim Ibne Omar رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـھُمَا " Hai Isi Wajah Se Hazrat Syyedah Jameela Binte Saabit Bin Iqlah رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهَـا Ko "Umm-E-Aasim" Bhi Kaha Jata Hai Jo Ke Aapki Kunniyat Hai.

Reference:- (طبقات الكبرى)


🌹(3) Amir-Ul-Momineen Hazrat Syyedina Omar Faarooq-E-Aazam رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ne Teesra Nikah Shehzaadi-E-Rasool Syyedah Tayyibah Taahirah Fatima Zahra Aur Amir-Ul-Momineen Asadullaahil Ghaalib Syyedul Arab Wal Ajam Maula Ali Al-Murtaza  رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہُم اَجْمَعِیْن  Ki  Laadli Shehzaadi Syyedah Umm-E-Kulsoom Binte Syyedah Fatima Zahra  سلام اللہ علیہا (Zauja-E-Amir-Ul-Momineen Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ) Binte Syyedina Wa Maulana Rasoolallah ﷺ Se Farmaaya. 

Amir-Ul-Momineen Hazrat Syyedina Omar Faarooq-E-Aazam رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ne Haq Mahar Me 40,000 Dirham Ada Kiye.

Insein 1 Bete "Hazrat Syyedina Zaid Al-Akbar Bin Omar Faarooq-E-Aazam رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـھُمَا " Aur 1 Beti "Hazrat Syyedah Ruqaiiyah Binte Omar Faarooq-E-Aazam رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهَـا  Paida Hui.

Reference:- (الاستيعاب)


🌹(4) Amir-Ul-Momineen Hazrat Syyedina Omar Faarooq-E-Aazam رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ne Chautha Nikah "Mulaiikah Binte Jazool Bin Khuza'eeyah" Se Farmaaya, Inki Kunniyat "Umm-E-Kulsoom" Hai, Hazrat Syyedina Omar Faarooq-E-Aazam رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ki Yeh Zauja ("Mulaiikah Binte Jazool Bin Khuza'eeyah") Mushrikah Thi, Isi Wajah Se Aap رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ne Inhein Ghazwa-E-Hudaibiyah Ke Saal Talaaq De Di, Insein Aap رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ke 2 Bete Paida Huwe.

(1) Hazrat Syyedina Ubaidullah Bin Omar Faarooq-E-Aazam رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـھُمَا 

(2) Hazrat Syyedina Zaid Al-Asghar Bin Omar Faarooq-E-Aazam رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـھُمَا 

Reference:- (الاصابه)


🌹(5) Amir-Ul-Momineen Hazrat Syyedina Omar Faarooq-E-Aazam رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ne Paanchwa (5th) Nikah "Quraiba Binte Abu Umaiyyah" Se Farmaaya, Yeh Mushrika Thi Isliye Aap رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ne Inhein Talaaq De Di , Sulah-E-Huadibiyah Ke Baad Yahi "Quraibah Binte Abu Umaiyyah" Islam Le Aayi Thi (Syyedah Quraibah Binte Abu Umaiyyah رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهَـا).

Tamaam Musalmaano Ki Har Cheez Se Azeez Pyari Maa Ummul Momineen Hazrat Syyedah Umm-E-Salama رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهَـا  Ki Bahan Hai.

Reference:- (بخاري شريف، فتح الباري)


🌹(6) Amir-Ul-Momineen Hazrat Syyedina Omar Faarooq-E-Aazam Al-Adiyi Al-Qarashi رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ne Chhatta (6th) Nikah "Hazrat Syyedah Umm-E-Hakeem Binte Haaris Bin Hishaam رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهَـا " Se Farmaaya,

Aapki Waalidah Ka Naam "Hazrat Syyedah Fatima Binte Waleed رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهَـا " Hai Jo Ke Sipah-Saalaar-E-Sahaba Sahabi-E-Rasool Saifillah Hazrat Syyedina Khalid Bin Waleed Al-Makhzoomi Al-Qarashi رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ki Saggi Bahan Hai ,Lihaza Is Rishte Se Hazrat Umm-E-Hakeem Binte Haaris Bin Hishaam رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهَـا  Hazrat Syyedina Khalid Bin Waleed Al-Makhzoomi Al-Qarashi رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ki Saggi Bhaanji Hui Aur Yeh Aapke Mamu Huwe.

Amir-Ul-Momineen Hazrat Syyedina Omar Faarooq-E-Aazam رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ki Aap رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهَـا  Se 1 Beti Paida Hui Jinka Naam "Syyedah Fatima Binte Omar Faarooq-E-Aazam رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهَـا  Hai.

Reference:-

 (العصابه،اسد الغابة،طبقات الكبرى،البدايه والنهاية)

 

  🌹(7) Amir-Ul-Momineen Hazrat Syyedina Omar Faarooq-E-Aazam رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ne Saatwa (7th) Nikah "Hazrat Syyedah Aatika Binte Zaid Bin Amr'o Bin Nufail رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهَـا " Se Farmaaya, Kuchh Riwaayaat Me Aap رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهَـا  Ka Naam "Aisha" Bhi Aaya Hai, Pahle Aap Hazrat Syyedina Abdullah Bin Amir-Ul-Momineen Abu Bakr As-Siddiq رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـھُمَا  Ki Nikaah Me Thi ,Unki Shahaadat Ke Baad Amir-Ul-Momineen Hazrat Syyedina Omar Faarooq-E-Aazam رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Se Aapka Nikah Hua,

  Insein Ek Bete Paida Huwe Jinka Naam

  "Hazrat Syyedina Ayaaz Ibne Omar Faarooq-E-Aazam رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـھُمَا " Hai.

  Reference:- (طبقات الكبرى،الاصابه)


🌹(8) Amir-Ul-Momineen Hazrat Syyedina Omar Faarooq-E-Aazam رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ne Aanthwa (8th) Nikah "Hazrat Syyedah Sa'eedah Binte Raaf'e Ibne Ubaidullah رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهَـا " Se Farmaaya.

Insein Ek Bete Paida Huwe Jinka Naam

"Hazrat Syyedina Abdullah Al-Asghar Bin Omar Faarooq-E-Aazam رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـھُمَا  Hai".

Reference:- (معرفة الصحابه)


🌹(9) Amir-Ul-Momineen Hazrat Syyedina Omar Faarooq-E-Aazam رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ki Nauwi (9th) Biwi "Hazrat Syyedah Fakeeha رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهَـا " Hai , Insein Ek Bete Paida Huwe Jinka Naam "Hazrat Syyedina Abdur Rahman Al-Asghar Bin Omar Faarooq-E-Aazam رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـھُمَا " Hai, Aur Ek  Beti Paida Hui Jinka Naam "Hazrat Syyedah Zainab Binte Omar Faarooq-E-Aazam رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهَـا" Hai.

Reference:- (الاصابه)


🌹(10) Amir-Ul-Momineen Hazrat Syyedina Omar Faarooq-E-Aazam رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ki Daswee (10th) Biwi Ka Naam "Hazrat Syyedah La'hee'a (لَہِیعَہ) رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهَـا " Hai, Insein Ek Bete Paida Huwe Jinka Naam "Hazrat Syyedina Abu Shahmah Abdur Rahman Al-Ausat Bin Omar Faarooq-E-Aazam رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـھُمَا " Hai Aur Aapki Kunniyat "Abu Shahmah" Hai.

Reference:- (الاصابه)

............................................................

👑🌹 Amir-ul-Momineen Hazrat Syyedina Omar Faarooq-e-Aazam رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ka Huliya Mubaarak:-

Amir-Ul-Momineen Syyedina Omar Faarooq-E-Aazam Al-Adiyi Al-Qarashi رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ki Rangat Bahot Safed Thi (Ya'ani Bahot Gorey The ),Balki Aisi Safedi Thi Jaise Choona Hota Hai Aur Lagta Tha Ke Aap رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ke Jism-E-Aqdas Me Khoon Hi Nahi Hai.

Reference:-

(معرفۃ الصحابہ ، ریاض النضرۃ)

........................................................

👑🌹Qad-Mubaarak (Blessed Height):-

Hazrat Syyedina Zarr Bin Hubaish رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Aur Aksar Logon Ne Yahi Bayaan Kiya Hai Ke "کاَنَ عُمَرُ طَوِیلاً جَسِیماً" Ya'ani Amir-Ul-Momineen Hazrat Syyedina Omar Faarooq-E-Aazam Al-Adiyi Al-Qarashi رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Lambe Qadd Waale The Aur Bhaari Jism Waale The". 

Kuchh Logon Me Jab Amir-Ul-Momineen Hazrat Syyedina Omar Faarooq-E-Aazam Al-Adiyi Al-Qarashi رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Khade Hote To Yu Ma'aloom Tha Ke Aap رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Deegar Logon (Ya'ani Baaqi Logon) Ko Upar Se Dekh Rahe Hai.

Reference:-

(معارفۃ الصحابہ ، ریاض النظرة، تاريخ الخلفاء)


👑🌹 Amir-ul-Momineen Syyedina Omar Faarooq-E-Aazam رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ki Mubaarak Aaankhein Aur Rukhsaar:-

Hazrat Syyedina Zarr Bin Hubaish رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Farmaate Hai Ke Amir-Ul-Momineen Hazrat Syyedina Omar Faarooq-E-Aazam رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ki Mubaarak Aankhein Laal Surkh Aur Rukhsaar Bahot Hi Patle Aur Kamzor The.

(Kamzor Se Muraad Phool Ki Tarah Naazook Khubsurat)

Reference:- (معرفة الصحابه)

...................................................

👑🌹 Amir-ul-Momineen Hazrat Syyedina Omar Faarooq-E-Aazam رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ki Daadhi Mubaarak:-

Hazrat Syyedina Abu Omar رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Farmaate Hai Ke :-

"کَانَ کَثَّ اللِّحیَةِ"

Ya'ani Amir-Ul-Momineen Hazrat Syyedina Omar Faarooq-E-Aazam رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ki Dadhi Mubaarak (Blessed Beard) Ghani Aur Ghunghriyaali (Curly) Thi.

Reference:- ( الاستيعاب)

.................................................

👑🌹 Amir-Ul-Momineen Hazrat Syyedina Omar Faarooq-E-Aazam رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ki Mubaarak Moochhein (Blessed Moustache)

Amir-Ul-Momineen Hazrat Syyedina Omar Faarooq-E-Aazam رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ki Moochhein (Blessed Moustache) Darmayaan Se Past (Ya'ani Beech Me Kam) Aur Daaye Baaye Se Badhi Hui Thi. Hazrat Syyedina Zarr Bin Hubaish رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Farmaate Hai:-

"سَبَلَتُهُ کَثِیرَةُ الشَّعرِ اَطرَافُهَا صَهبَةٌ"

Ya'ani Amir-Ul-Momineen Hazrat Syyedina Omar Faarooq-E-Aazam رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ki Moochhon (Blessed Moustache) Ke Baal Daaye Baaye Se Kaafi Badhe Huwe The Aur Unmein Bhoorapan (Brownish) Bhi Tha .

Reference:- (معرفة الصحابه)


🌹👑 Hazrat Syyedina Abdullah Bin Zubair رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـھُمَا  Se Riwaayat Hai , Farmaate Hai :-

"کَانَ عُمَرُ اِذَا غَضَبَ فَتَلَ شَارِبَهُ"

Ya'ani Imam-Ul-Aadileen Amir-Ul-Momineen Hazrat Syyedina Omar Faarooq-E-Aazam رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ko Jalaal Aata To Apni Moochho (Moustaches) Ko Taaw Dete The.

Reference:-  (معجم الكبير)


🌹👑 Hazrat Syyedina Aslam رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Farmaate Hai Ke "Amir-Ul-Momineen Hazrat Syyedina Omar Faarooq-E-Aazam رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ko Jab Jalaal Aata To Apni Moochho (Moustaches) Ko Apni Mubaarak Mooh Ki Taraf Karte Aur Unmein Phook Maarte"

Reference:- (طبقات الكبرى)

.................................................

"👑🌹✍️ Sahabi-E-Rasool Hazrat Saifullah Syyedina Khalid Bin Waleed Al-Makhzoomi Al-Qarashi رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Zaahiri Shakl-O-Soorat  Me Amir-Ul-Momineen Hazrat Syyedina Omar Faarooq-E-Aazam رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Se Kaafi Milte Julte The.

Reference:- (الاصابة)*

......................................................

👑 Amir-Ul-Momineen Hazrat Syyedina Omar Faarooq-E-Aazam رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ke Chalne Ka Mubaarak Andaaz👑

🌹hazrat Syyedina Simaak Bin Harb رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Se Riwaayat Hai Farmaate Hai:-

"کَانَ عُمَرُبنُ الخَطَّابِ اَروَحَ کَاَنَّهُ رَاکِبٌ وَالنَّاسُ یَمشُونَ"

Ya'ani  "Amir-Ul-Momineen Hazrat Syyedina Omar Faarooq-E-Aazam رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Kashaadah Qadmon (Ya'ani Lambe) Qadmon Ke Saath Chala Karte The Aur Chalte Huwe Aisa Lagta Goya Aap رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Kisi Sawaari Par Sawaar Hai Aur Deegar Log (Ya'ani Baaqi Log) Paidal Chal Rahe"

Reference:-  (ریاض النظرة)


👑👑 Maz'har-e-Jalaal-e-Ilaahi Amir-Ul-Momineen Hazrat Syyedina Omar Faarooq-E-Aazam رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ke Guftugu Karne Ka Nihaayat Hi Mubaarak Andaaz Hota Tha, Aam Mu'amlaat Me Aap رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ki Guftugu Ka Andaaz Bahot Narm Tha Lekin Chehra-E-Mubaarak Ki Wajaahat Aur Roab Aur Dabdabey Ki Wajah Se Usmein Shiddat Mehsoos Hoti , Aap رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ki Khilaafat Me Logon Ko Sabse Zyadah Haq Baat Kehne Ka Haunsla Mila, Lekin Jaha Kahi Shara'ee Mu'amle Ki Khilaaf-Warzi Hoti Waha Aap رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Sakhti Farmaate Aur Yaqeenan Yeh Aap رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ki Ghairat-E-Imaani Ka Mooh Bolta Suboot Tha,Kayi Saare Aise Waaqyaat Milte Hai Ke Jaha Kahi Islaami Ghairat Ka, Rasoolallah ﷺ Ki Shaan O Azmat Me Zarra Baraabar Ki Be-Adabi Ka Mu'amla Aata Waha Aap Fauran Jalaal Me Aa Jaate.👑

................................................

👑🌹 Amir-ul-Momineen Hazrat Syyedina Omar Faarooq-E-Aazam رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Kushti Me Zabardast Jarri Pehalwaan Aur Shah-Sawaar The, Aur Jungi Mu'amlaat Me Bahot Maahir The.

Aap رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ko Shah-Sawaari Me Zabardast Mahaarat Haasil Thi,

Hazrat Syyedina Allama Ibne Hajr Al-Asqalaani رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Farmaate Hai:-

"یَثِبُّ عَلَی فَرَسِهٖ فَکَاَنَّمَا خُلِقَ عَلَی ظَهرِہٖ"

Ya'ani "Amir-Ul-Momineen Hazrat Syyedina Maula Omar Faarooq-E-Aazam Al-Adiyi Al-Qarashi رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ghode Par Uchhal Kar Sawaar Hote To Aisa Lagta Tha Ke Aap Paida Hi Ghode Ke Pith Par Huwe Hai"

Reference:- (الاصابة)

.........................................................

👑Amir-ul-Momineen Hazrat Syyedina Omar Faarooq-e-Aazam رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ke Zindagi Mubaarak Ke Kuchh Imaan Afroz Waaqyaat

👑🌹Ek Azeem Saltanat Ke Azeem Amir-Ul-Momineen Hone Ke Bawajood Aajizi Ka Yeh Aalam Tha Ke Ek Baar Kandhe Par Paani Se Bhara Huwa Mashkizah (مَشْکِیزہ) Uthaaya Huwa Tha, Kisi Ne Arz Ki : Ya Amir-Ul-Momineen ! Yeh Kaam Aapke Liye Munaasib Nahi Hai,Farmaaya : Mere Paas Logon Ke Wafd-Dar-Wafd Aate Hain Jis Ki Wajah Se Mujhe Apne Dil Mein Fakhr-O-Badaayi Ki Lahar Mehsoos Hui Lihaza Mashkizah (مَشْکِیزہ) Utha Kar Is Lahar Ko Paash-Paash Kar Dena Chaahta Hu, Phir Ansari Sahabia رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهَـا  Ke Ghar Ke Qareeb Tashreef Laaye Aur Un Ke Bartano Ko Paani Se Bhar Diya.

Reference:-  (رسالہ قشیریہ، ص 185) 


🌹Sahra-E-Arab (Arab Ke Registan/Desert) Ki Chilcholaati Aur Sakht Dhoop Mein 1 Shakhs Apne Sar Par Chaadar Daaley Madinatul Munawwarah Shareef Ki Jaanib Badh Raha Tha, Raaste Mein Gadhe Par Sawaar 1 Ghulaam Ko Dekha To Usse Kaha :-

Garmi Bahot Hai Mujhe Apne Peechhe Sawaar Kar Lo, Ghulaam Ne Us Shakhs Ko Pehchaan Liya, Fauran Utar Kar Arz Ki :

Aap Is Par Sawaar Ho Jaaiye, Magar Us Shakhs Ne Kaha: Tum Sawaar Ho Jaao Aur Main Tumhaare Peechhe Baithunga, Ghulaam Ne Phir Arz Ki: Aap Sawaar Ho Jaaiye Aur Main Paidal Chalta Hu, Magar Woh Shakhs Nah Maqna Bil'aakhir Ghulaam Ne Us Shakhs Ko Apne Peechhe Sawaar Kar Liya. Dono Sawaar Jab Madinatul Munawwarah Shareef Ki Hudood (Border) Me Daakhil Huwe To Log Us Shakhs Ko Hairat Se Tak Rahe The. 

Reference:- (تاریخِ ابنِ عساکر، ج44،ص318 ملخصاً)


Aur Woh Azeem Hastee Jo Ghulam Ko Bhi Apne Baraabar Bithata Ho, Jo Munaafiqeen Aur Kuffaar Par Jalal-E-Ilaahi Ki Soorat Me Naazil Hua, Jisnein Roman Aur Persian Empires Ke Ghuroor Ko Khaaq Me Mila Ke Rakh Diya, Woh Zaat Imam-Ul-Aadileen Amir-Ul-Momineen Syyedina Omar Al-Faarooque Al-Adiyi Al-Qarashi رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ki Zaat-E-Aqdas Hai.



💔👑🌹Shahaadat:-

Taareekh-E-Aalam Ke Is Azeem Hukmaraan Ki Puri Zindagi Izzat-O-Sharaafat Aur Azmat Ke Karnqamon Ki Aala Misaal Thi, 26 Zulhijja Shareef Ki Subah Ek Majoosi Ghulam Abu Lulu Firoz Ne Aap Par Fajar Ki Namaaz Ke Douran Qatilana Hamla Kiya Aur Shadeed Zakhmi Kar Diya, Aap رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ne Hazrat Syyedina Abdur Rahman Ibne Auf رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ko Namaaz Padhaane Ka Hukm Diya, Jab Log Aap رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ko Utha Kar Aap Ke Ghar Me Laaye To Musalsal (Ya'ani Lagataar) Khoon Behne Ki Wajah Se Aap رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Par Ghashi (Behoshi) Taari Ho Chuki Thi Hosh Mein Aate Hi Aap رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ne Apne Bete Ka Haath Pakad Kar Unhein Apne Peechhe Bitha Liya Aur Wazu Karke Namaaz-E-Fajar Ada Ki Phir Chand (Kuchh) Din Shadeed Zakhmi Haalat Me Guzaar Kar Apni Jaan Allah  عَزَّ وَجَلَّ  Ke Supurd (Hawaale) Kar Di. Hazrat Syyedina Su'haib رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ne Aap Ki Namaaz-E-Janaazah Padhaayi. Aap رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ko 1 Muharram-Ul-Haraam Shareef, 24 Hijri Rauza-E-Rasool Me Khalifa-E-Awwal Afzal-Ul-Bashar Ba'ad Al-Ambiya Amir-Ul-Momineen Hazrat Syyedina Abu Bakr As-Siddiq Al-Taimi Al-Qarashi رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ  Ke Pehlu Me Dafan Kiya Gaya.

Reference:-

 (طبقات ابن سعد، ج3،ص266، 280، 281- تاریخ ابن عساکر،ج 44،ص422، 464)

 

 Amir-Ul-Momineen Hazrat Syyedina Omar Faarooq-E-Aazam Al-Adiyi Al-Qarashi رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ki Shahaadat Ke Waqt Umr Apne Aaqa علیہ الصَّلٰوۃ والسَّلام Ki Tarah 63 Saal Thi, Aur Aap رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Se "537 Ahaadees Marwi Hai.

 

Aapki Nasl-e-Pak Aaj Bhi Jaari  Hai Jinmein  Paida Hone Waale Kuchh Buzurgon Ke Naam:-

(1) Imam-e-Rabbani Mujaddid-e-Rabbani Syyedina Sheikh Ahmed Mujaddid Alf Saani رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ

(2) Shaikh-e-Muhaqqiq Hazrat Syyedina Shah Abdul Haq Mohaddis Dehalvi رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ

(3) Syyedina Sheikh Abdul Azeez Mohaddis Dehalvi رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ

(4) Hazrat Sheikh Mohammad Maah Gujrati رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ

(5) Sultanut Taarikeen Syyedina Sufi Hamiduddin Nagori رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ

(6) Shaikh-ul-Islam Wal Muslimeen Syyedina Hazrat Sheikh Baba Fariduddin Ganj-e-Shakkar رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ

(7) Hazrat Syyedina Makhdoom Sheikh Alauddin Chishti Burhan'nagari رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ 

(8) Hazrat Syyedina Sheikh Nizamuddin Bih'kaari Chishti BurhanPuri رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ

(9) Hazrat Syyedina Sheikh Sufi Sarmast رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ

(10) Syyedina Sheikh Yousuf (Shah Josi) رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ

(11) Shaikh-Ul-Islam Wal Muslimeen Syyedina Anwaarullah Farooqui Hyderabadi  رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ

Taalib-E-Dua:-

Mir Mohammad Tausif Raza Qadri Razvi Al-Ayyubi

(Al-Azdi Al-Khazraji Al-Najjari)

Comments

Popular posts from this blog

SHAJRAH-E-TAYYIBAH SILSILA-E-AALIYAH QADRIYAH BARKAATIYAH RAZVIYA NOORIYA

SHAB E BARAAT KE QURAN WA AHAADEES SE DALAAIL AUR AITRAAZAAT KA JAWAAB

ISLAM AUR SANATAN DHARM ME AURAT KA MAQAAM