Namaaz-e-Ghausiya Ka Suboot
بِسْمِ
اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ
اَلْحَمْدُ لِلہِ رَبِّ الْعَالَمِیْنَ وَالصَّلٰوۃُ وَالسَّلَامُ عَلٰی سَیِّدِ الْمُرْسَلِیْنَ
اَمَّا بَعْدُ! فَاَعُوْذُ بِاللہِ مِنَ الشَّیْطٰنِ الرَّجِیْمِ
بِسْمِ اللہِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْمِ
اَلصَّلٰوۃُ وَالسَّلَامُ عَلَیْکَ یَارَسُوْلَ اللہ
وَعَلٰی آلِکَ
وَاَصْحٰبِکَ یَاحَبِیْبَ اللہ
اَلصَّلٰوۃُ وَالسَّلَامُ عَلَیْکَ یَانَبِیَّ اللہ
وَعَلٰی آلِکَ وَاَصْحٰبِکَ یَانُوْرَ اللہ
اَللّٰھُمَّ صَلِّ وَ
سَلِّم وَ باَرِک عَلٰی سَیِّدِناَ وَ مَولٰيناَ مُحَمَّدٍ مَّعَدِنِ الجُودِ وَ
الکَرَمِ وَ آلِهِ الکِراَمِ اَجمَعِین.
اَللّٰھُمَّ صَلِّ وَ
سَلِّم وَ باَرِک عَلَیهِ وَ عَلَیهِم وَ عَلَی المَولَی السَّیِّدِ الکَرِیمِ
غَوثِ الثَّقَلَینِ وَ غَیثِ الکَونَینِ الاِمَامِ اَبِی مُحَمَّدٍ عَبدِ
القَادِرِ الحَسَنِیِّ الحُسَینِیِّ الجِیلَانِیِّ صَلَّی اللّٰهُ تَعَالٰی عَلَی
جَدِّہِ الکَرِیمِ وَ عَلَیهِ وَ عَلَی مَشَٓائِخِهِ العِظَامِ وَ اصُوُلِهِ
الکِرَامِ وَ فُرُوعِهِ الفِخَامِ وَ مُحِبِّیهِ وَ المُنتَمِینَ اِلَيهِ اِلٰى
یَومِ القِیَامِ وَ بَارِک وَ سَلِّم اَبَدًا.
Sahaabi-E-Rasool Hazrat Syyedina Abu Hurairah Abdur Rahman Ibne
Sakhr Al-Dausi Az-Zahraani رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى
عَـنْـهُ Ke Hawaale Se Marwi Hai Ke Unhonne "Basrah" Ki Ek
Bastii "Abla" Se Aaye Huwe Haajiyon Se Farmaaya Tha Ke Tumme Se Koi
Shakhs "Masjid-E-Ashhar" Me 2 Ya 4 Rak'at Nafl Namaz Padh Kar Meri
Taraf Mansoob Karein, Riwaayat Ke Alfaaz Yeh Hain:-
عَنْ اِبْرَاهِيْمَ بْنِ صَالِحِ بْنِ
دِرْهَمٍ، قَالَ : سَمِعْتُ أَبِيْ يَقُوْلُ: انْطَلَقْنَا حَاجِّيْنَ فَاِذَا
رَجُلٌ فَقَالَ لَنَا اِلَی جَنْبِکُمْ قَرْيَةٌ يُقَالُ لَهَا الأُبُلَّةُ ؟
فَقُلْنَا: نَعَمْ. قَالَ مَنْ يَضْمَنُ لِيْ مِنکُمْ اَن يُصَلِّيَ لِيْ فِي
مَسْجِدِ الْعَشَّارِ رَکْعَتَيْنِ أَوْ اَرْبَعًا وَ يَقُوْلُ هَذِهِ لِأبِيْ
هُرَيْرَةَ: سَمِعْتُ خَلِيْلِيْ أَبَا الْقَاسِمِ صلی الله عليه وآله وسلم
يَقُوْلُ: إِنَّ اللہَ يَبْعَثُ مِنْ مَسْجِدِ الْعَشَّارِ يَوْمَ الْقِيَامَةِ
شُهْدَاءَ لَا يَقُومُ مَعَ شُهَدَاءِ بَدْرٍ غَيْرُهُم ۔
Tarjama:-
Ibraahim Bin Saalih Bin Dirham Ka Bayaan Hai Ke Mere
Waalid-E-Mohtaram Ne Farmaaya: Hum Hajj Karne Haram-E-Kaaba Gaye To Ek Aadmi Ne
Hum Se Daryaaft Kiya (Ya'ani Puchha): Kya Tumhaare Ilaaqe Me "Abla"
Naam Ki Koi Bastii Hai ? Hum Ne Jawab Diya: Haan, Uss Ne Kaha : Tummein Se Kaun
Hai Jo Mujhe Is Baat Ki Zamaanat Deta Hai Ke Woh "Masjid-E-Ashhar" Me
Mere Liye 2 Ya 4 Rak'atein Padhe Aur Kahein: Un Raka'ato Ka Sawaab Abu Hurairah
Ke Liye Hai, Maine Apne Khalil Syyedina Abul Qaasim Rasoolallah صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ
وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Ko
Farmaate Huwe Suna Hai Ke Allah Ta'ala Qayaamat Ke Din "Masjid-E-Ashhar"
Se Aise Shaheedon Ko Uthaayega Ke Shohda-E-Badr (Ghazwa-E-Badr Ke Shaheed
Sahaba Karaam) Ke Siwa Koi Unke Saath Khada Nahi Hoga.
Reference:-
(1) (سنن
ابوداؤد کتاب الملاحم، باب فی ذکر البصرۃ، 4: 113، رقم: 4308)۔
(2)(شعب
الإیمان، 3: 479، رقم: 4115)
(3) (سنن ابي داود كِتَاب الْمَلَاحِمِ باب
فِي ذِكْرِ الْبَصْرَةِ حدیث نمبر 4308)
Mishkaat-Shareef Me Abu-Dawood Shareef Ke Hawaale Se Sahaabi-E-Rasool
Hazrat Syyedina Abu Hurairah Abdur Rahman Ibne Sakhr Al-Dausi Az-Zahraani رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ
Ka Mubaarak Farmaan Darj Hai :
مَنْ يَضْمَنُ لِي مِنْكُمْ أَنْ يُصَلِّيَ لِي فِي مَسْجِدِ
الْعَشَّارِ رَكْعَتَيْنِ أَوْ أَرْبَعًا ۔ وَ يَقُولُ هَذِهِ لِأَبِي هُرَيْرَةَ
؟ ,
Tummein Se Kaun Hai
Jo Mujhe Zamaanat De Ke "Masjid-E-Ashhar" Me 2,4 Rak'atein Namaaz
Padh Kar Kahe Ke Yeh ( Namaaz ) Abu Hurairah رَضِـیْ
اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ke Liye Hai. ( Ya'ani Iska Sawaab Abu
Hurairah رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى
عَـنْـهُ Ke Liye Hai ).
.......................................................................................................
✍️Kisi Buzurg Ki Qabr Ki Taraf
Chand Qadam Chalne Se Udhar Ki Rooh Mutawajjah Ho Jaati Hai Chunancha Mash'hoor
Hai Ke Aurat Jab Najaaiz Ziyaarat-E-Quboor Ko Jaati Hai To Woh Ghar Se Nikalti
Hai Ke Maiyat Us Par Laanat Shuru Kardeti Hai.
Reference:-
(اربعین شاہ اسحاق دہلوی)
Iske Baad Tawassul Ki Darkhwast Hai Jissein Koi Wahabi ,
Deobandi Inkaar Nahi Kar Sakta , Salaatul-Ghausiya (Namaaz-E-Ghausiya) Ke Yahi
3 Parts Hai.
✍️ Syyedina Imam Abul Hasan Ali Bin
Jareer Lakhmi Shattanaufi "Bahjatul Asraar" Me Aur Shaikh-Ul-Islam
Wal Muslimeen Syyedina Imam Mulla Nooruddin Abul Hasan Ali Bin Sultan Mohammad
Al-Qari Al-Hanfi Al-Harwi (Mulla Ali Qaari) رَضِـیْ
اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Aur
Shehzada-E-Amir-Ul-Momineen Faaroooq-E-Aazam Shaikh-E-Muhaqqiq Syyedina
Abdul Haq Farooqui Muhaddis Dehalvi رَضِـیْ
اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Huzoor Sultanul Auliya Wal Mohaddiseeen
Ghaus-E-Aazam Shaikh Abdul Qaadir Jilaani Al-Hasani Wal Hussaini Al-Hashmi رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ
Se Riwaayat Karte Hain Is Ki Tarkeeb Yeh Hai Ke" Baad Namaz-E-Maghrib
Sunnatein Padh Kar Do Rak'at Namaaz Nafl Padhein Aur Behtar Yeh Hai Ke Al-Hamd (Surah
Fateha) Ke Baad Har Rak'at Me 11-11 Baar قل
ھو اللہ الخ (Ya'ani Puri Surah Ikhlaas ) Padhe Salaam Ke Baad Allah عَزَّ وَجَلَّ Ki Hamd-O-Sana Karein Phir Nabi ﷺ Par 11 Baar Duroood-O-Salaam Arz Karein
Aur 11 Baar Yeh Kahe
"یا رسول یا نبی اللہ اغثنی و امددنی فی قضاء
حاجتی یا قاضی الحاجات "
Phir Iraq Ki Jaanib
11 Qadam Chalein Har Qadam Par Yeh Kahe
" یا غوث الثقلین و یا کریم الطرفین اغثنی و
امددنی فی قضاء حاجتی یا قاضی الحاجات "
Phir Huzoor صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ
وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Ke Tawassul
Se Allah عَزَّ
وَجَلَّ Se Dua Karein.
Reference:-
(بھجة الأسرار ذکر فضل أصحابه و بشراھم صفحہ ۱۹۷ ،
بحوالہ بہار شریعت حصہ چہارم صفحہ نمبر ۶۸۹)
✍️
Shaikh-Ul-Islam Mujaddid-E-Alam-E-Islam Imam-Ul-Asr Naasir-Ul-Hadees Faqih-E-Millat
Imam-E-Qabila-E-Quraish Syyedina Imam Abu Abdullah Mohammad Bin Idrees Bin
Abbaas Ash-Shafa'ee Al-Muttalabi Al-Qarashi (Imam Shafa'ee)رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Farmaate Hain Ke Jab Mujhe
Koi Haajat Hoti Hai Main "Faqih-E-Aazam Mujaddid-E-Aazam Imam-E-Aazam
Faqeeh-Ul-Ummat Aalim-Ul-Ummat Imam-Ul-Aaimma-Tul-Fuq'haa Syyedina Imam-E-Aazam
Abu Hanifa Nomaan Bin Saabit Bin Marzoobaan Al-Kufi At-Taba'ee رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ"
Ke Mazaar Pe Aata Hu, Un Ki Barkat Se Mera Kaam Ho Jaata Hai.
Reference:-
(بہ روایت فتاویٰ شامی)
🌹Namaaz-E-Ghausiya Bahot Saare
Akaabir Olama'a Wa Buzurgo Se Mukhtalif Tareeqon Se Manqool Hai:-
Reference:-
(بہجۃ الاسرارومعدن الانوار،ص۱۹۴۔۱۹۷، دارالکتب العلمیۃ بیروت،چشتی)
✍️Awwal 2 Rak'at Namaaz-E-Nafl Ada
Karein, Har Rak'at Me Surah Fateha Ke Baad 11-11 Martaba Surah Ikhlaas Padhein,
Salaam Pherne Ke Baad Uska Sawaab Huzoor Ghaus-Us-Samdaani Syyedina Sheikh
Abdul Qaadir Jilaani رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى
عَـنْـهُ Ke Huzoor Pesh Karein Uske Baad Baghdad Shareef Ki Taraf Mooh
Kar Ke 11 Qadam Le, Har Qadam Pe Sarkar Ghaus-E-Paak رَضِـیْ
اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ke 11 Asmaa-E-Graami (Ya'ani Ghausul Aazam
رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ
Ke 11 Mubarak Naam), Har Har Qadam Pe Un Ka A
Ism-E-Giraami (Mubarak Naam) Le .
11 Qadam Ke Baad Apni Haajat Unke (Huzoor Syyedina Ghausul
Aazam رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى
عَـنْـهُ Ke ) Huzoor Pesh Karein.
Reference:-
(بحوالہ اسررِ مخفی)
✍️ نزہہ الخاطر الفاتر Me Shaikh-Ul-Islam Wal Muslimeen Syyedina Imam Mulla Nooruddin Abul Hasan Ali Bin Sultan Mohammad Al-Qari Al-Hanfi Al-Harwi (Mulla Ali Qaari) رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Page Number 61 Par Huzoor Ghaus-E-Aazam رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ka Yeh Qaul-E-Mubaarak Naql Kiya Hai, Jo Koi Ranj-O-Gham Me Mujhse Madad Maange To Uska Ranj-O-Gham Door Hoga Aur Jo Sakhti Ke Waqt Mera Naam Lekar Mujhe Pukaarein To Shiddat Dafa Hogi Aur Jo Kisi Haajat Me Rab-E-Kareem عَزَّ وَجَلَّ Ke Huzoor Mujhe Waseela Banaaye To Uski Haajat Puri Hogi.
Phir Usi Jagah Huzoor Ghaus-E-Paak Namaz-E Ghausiya Ki
Tarkeeb Bataate Hain Ke Do Rak'at Namaaz Nafl Padhein, Har Rak'at Mein 11-11
Baar Surah Ikhlaas Padhein Salaam Pher Kar 11 Baar Salaat-O-Salaam ( Durood Shareef
) Padhein Phir Baghdad Shareef Ki Taraf (Shumaal Ya'ani North Ki Jaanib) 11
Qadam Chalein, Har Qadam Par Mera Naam Le Kar Apni Haajat Arz Karein Aur Yeh 2
Sher Padhei:
"ایدرکنی ضیم و انت ذخیرتی
و اظلم فی الدنیا و انت نصیری
و عار علیٰ حامی الحمیٰ و ھو منجدی
اذا ضاع فی البیداء عقال بعیری"
Yeh Kehkar Shaikh-Ul-Islam Wal Muslimeen Syyedina Imam Mulla
Nooruddin Abul Hasan Ali Bin Sultan Mohammad Al-Qari Al-Hanfi Al-Harwi (Mulla
Ali Qaari) رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى
عَـنْـهُ Farmaate Hai:-
"و قد جرب ذالک"
Ya'ani Baar'ha Is Namaaz-E-Ghausiya Ka Tajurba Kiya Gaya,
Durust Nikla
سبحان اللہ عما یشرکون ، والحمد للہ رب
العالمین و الصلوات والسلام علیٰ سید الانبیاء و المرسلین ۔
✍️Asaatzaa
Karaam Farmaate Hain ,Ke Namaaz-E-Ghausiya Ke Fazaail Me Hai Ke Huzoor Ghaus-E-Paak
رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ
Ko Pukaarney Waale Ki Madad Ke Liye Ablaq Ghodon Pe Sawaar Nikalte Hain Jo
Fauran Se Pehle Us Bande Ki Madad Ko Pahonchtein Hain, Waazeh Rahei Ke Yahan
Hamaarein Hindustan Se Baghdad Shareef Taqreeban West Side Me Hai Yaani West
Side Ke Thode Right Side, Ya'ani Qibla Rukh Se Halka Sa Rukh Daayen Jaanib Ko
Hai.
✍️ Shaikh-Ul-Islam Wal Muslimeen
Mujaddid-E-Alam-E-Islam Aalahazrat Imam Ahmed Raza Khan Qadri رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Farmaate Hain :
"Husn-E-Niyat Ho Khata Phir Kabhi Karta Hi Nahi
Aazmaaya Hai Yagaana Hai Du-Gana Tera.
Reference:- ( حدائقِ بخشش
)
Mushkil Alfaaz Ke Ma'ani:-
Husn-E-Niyat Ka Matlab Nek Niyat,Khuloos-E-Dil.
Du-Gana Matlab Namaaz Ki 2 Rak'atein.
Is Sher Ki Sharah Yu Hai Ke :-
Yeh Baat Tajurba-Shuda (Ya'ani Tajurba Kiya Hua Hai ) Ke
Ikhlaas Ke Saath Namaaz-E-Ghausiya Padhna Kabhi Raigaa (Ya'ani Be-Faidah) Nahi
Jata Balke Jis Maqsad Ke Liye Padhi Jaaye Woh Pura Ho Jaata Hai.
✍️Ahnaaf (Hanafiyon) Ke Bahot
Bade Imam Shaikh-Ul-Islam Wal Muslimeen Syyedina Imam Mulla Nooruddin Abul Hasan Ali Bin Sultan Mohammad Al-Qari Al-Hanfi Al-Harwi (Mulla Ali Qaari) رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Namaaz-E-Ghausiya Ki Tarkeeb Naql
Farmaate Hai Ke :-
2 Rak'at Nafl Yun Padhein Ke Har Rak'at Me Surah Fateha Ke
Baad 11 Baar Surah Ikhlaas Padhein, Salaam Pher Kar 11 Martaba Duroood-O-Salaam
Padhein, Phir Baghdad Shareef Ki Taraf (Pak-O-Hind Se Baghdad Shareef Ki Simt Maghrib-O-Shumal Ke Taqreeban Bichon Beech Hai [Ya'ani West
And North Ke Beechon Beech) ) 11 Qadam Chal Kar Ghaus-E-Paak رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ka Naam Pukaare Aur
Apni Haajat Bayaan Karein اِنْ شَآءَ اللہ Woh Haajat Puri Hogi.
Reference:- نزھۃ الخاطر صفحہ نبر67))
✍️Shaikh-Ul-Islam Wal Muslimeen
Syyedina Imam Mulla Nooruddin Abul Hasan Ali Bin Sultan Mohammad Al-Qari Al-Hanfi
Al-Harwi (Mulla Ali Qaari) رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى
عَـنْـهُ
Farmaate Hai :-
"وَقَدْ جُرِّبَ ذٰلِکَ مِرَاراً
فَصَحَّ "
Ya'ani Baar'ha Namaaz-E-Ghausiya Ka Tajurba Kiya Gaya,
Durust Nikla (Ya'ani Maqsad Pura Hua).
Reference:- نزھۃ الخاطر صفحہ نبر67))
✍️ Shaikh-Ul-Islam Wal Muslimeen
Mujaddid-E-Alam-E-Islam Aalahazrat Imam Ahmed Raza Khan Qadri رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Farmaate Hain :
"Qasmein De De Kar Khilaata Hai Pilaata Hai Tujhe,
Pyara Allah Tera Chaahne Wala Tera"
Is Sher Ki Sharah (Explaination):-
Ya Sultanul Auliya Ghausul Aazam رَضِـیْ
اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ ! Allah Kareem Aap Se Itna Pyaar Karta Hai
Ke Ahad-O-Iqraar Le Le Kar Aap Ko Khilaata Aur Pilaata Hai, Pehley Misre (Sher
Ka Pehla Line) Me Dar-Asal Sultanul Auliya Imamul Olama'a Ghausul Aazam Hazrat Syyedina
Sheikh Abdul Qaadir Jilaani رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى
عَـنْـهُ Ke Ek Qaul Mubaarak Ki Taraf Ishaarah Hai.
✍️Farmaan-E-Imam-Ul-Olama Wal
Muhaddiseen Syyedina Ghausul Aazam Sheikh Abdul Qaadir Jilaani رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ:-
Syyedina Sheikh Nooruddin Ali Bin Yousuf Shattanaufi رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ
Naql Farmaate Hai Ke:-
یُقَالُ لِی یَاعَبْدَ الْقَادِرِ
بِحَقِّیْ عَلَیْکَ کُلْ، بِحَقِّی عَلَیْکَ اِشْرَب
Ya'ani ( Sultanul Auliya Ghausul Aazam Hazrat Syyedina Abdul
Qaadir Jilaani رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى
عَـنْـهُ Farmaate Hai ) Mujhe Kaha Jata Hai Ke Abdul Qaadir! Tujhe Mere
Haq Ki Qasam! Khaa Le, Tujhe Mere Haq Ki Qasam! Pi Le.
Reference:- (بھجۃ الاسرار صفحہ 49)
✍️Shaan-E-Mustafa Kareem ﷺ Ke Mazhar Sultanul Auliya Imam-Ul-Fuqaha
Ghausul Aazam Sheikh Abdul Qaadir Jilaani رَضِـیْ
اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Farmaate Hai Ke:-
"وَکُلُّ وَلِیٍّ لَہٗ قَدَمٌ وَاِنّی
عَلیٰ قَدَمِ النَّبِیِّ بَدْرِ الْکَمَالِ"
Ya'ani Har Wali Kisi Nabi علیہ
الصَّلٰوۃ والسَّلام Ke Qadam Par Hota Hai Aur Beshak Main
Nabi-E-Kareem صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ
وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Ke
Qadam-E-Aqdas Par Hu Jo Aasmaan-E-Kamaal Ke Badar-E-Kamaal ( Ya'ani Mukammal Chaand
) Hain.
Reference:- (شرح قصیدہ غوثیہ،
ص 278)
✍️ Shahenshah-E-Ambiya Sarwar-E-Qaunain
Huzoor ﷺ Apne Baare Me
Farmaate Hai Ke:-
"یُطْعِمُنِی رَبِّی وَ یُسْقِیْنِی"
Ya'ani Mera Rab عَزَّ وَجَلَّ Mujhe Khilaata Aur Pilaata Hai.
Reference:-
(صحیح مسلم صفحہ 429 حدیث نمبر 2566)
Beshak Hamaare Huzoor Ghaus-E-Paak رَضِـیْ
اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Huzoor Khatim-Un-Nabiyin صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Ke Jalaal-O-Jamaal Aur Kamaal Ke Maz'har Hai
Jaisa Ke Aap رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ
Bhi Farmaate Hain Ke Mujhe Kaha Jaata Hai Ke Abdul Qaadir ! Tujhe Mere Haq Ki
Qasam! Khaa Le, Tujhe Mere Haq Ki Qasam! Pi Le.
🌹Shaikh-Ul-Islam Wal
Muslimeen Mujaddid-E-Alam-E-Islam Aalahazrat Imam Ahmed Raza Khan Qadri رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ
, Huzoor ﷺ Ki Baargaah Me Arzi
Pesh Karte Huwe Farmaate Hain Ke :
"Teri Khaatir Me Lata Hai Raza Usko Shaf'ee
Jo Mera Ghaus Hai Ladla Beta Tera"
⭐Mazeed Tafseel:-
ازھار الأنوار من صبا صلوۃ الاسرار
1305 ھ
(Salaat-Ul-Asraar Ki Baad Saba Se Guncho Ke Phool)
Namaaz-E-Ghausiya Ke Taaluq Se Aham Points Aur Padhne Ka
Tareeqa Is Risaala Me Mulaahiza Farmaaye:-
رسائل فتاوی رضویه جلد نمبر 7 رساله
نمبر 6
:-------Shaikh-Ul-Islam Wal Muslimeen Mujaddid-E-Alam-E-Islam
Aalahazrat Imam Ahmed Raza Khan Qadri رَضِـیْ
اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ.
✍️Agar Namaaz-E-Ghausiya Padhna
Shirk Hai To Kya Fatwe Lagaane Waalon Ke Nazdeek "Jalaalat-E-Ilm Syyedina
Imam Jalaluddin Abdurrahman Bin Abu Bakr Bin Mohammad Bin Saabiquddin Al-Khuzairi
Ash'Shaafa'ee As-Suyuti (Imam Jalaluddin Suyuti)رَضِـیْ
اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ, Syyedina Sheikh Nooruddin Ali Bin Yousuf
Shattanaufi Shafa'ee رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى
عَـنْـهُ Bhi Mushriq Hain?
Kyun-Ke Unhonein Yahi Namaaz-E-Ghausiya Ki
Fazeelat Likhi Hai .
✍️ Shehzada-E-Amir-Ul-Momineen
Faaroooq-E-Aazam Shaikh-E-Muhaqqiq Syyedina Abdul Haq Farooqui Muhaddis Dehalvi
رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ
Ki Bhi Sun Lo Lekin Wahaabi Deobandiyo Ka Musalmaan Buzurgon Se Kya Ta'alluq
Yeh To Apne Wahaabi Deobandi Mullaaon Ki Andhi Taqleed Me Andhe Ho Chookey
Hain, Ek Deobandi Wahaabi Maulwi Ne Shaikh-E-Muhaqqiq Syyedina Abdul Haq
Farooqui Muhaddis Dehalvi رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى
عَـنْـهُ Ki Isi Kitaab "Akhbaar-Ul-Akhyaar" Ka Urdu Tarjama
Kiya, Lekin Tarjuma Me Yeh Khayaanat Aur Dhokebaazi Ki Ke Ibaarat Ka Tarjuma
Karte Huwe Likha "Ek Riwaayat Me Hai Ke 11 Qadam Iraq Ki Jaanib Chal Kar
Mera Naam Le Kar Dua Maange, Lekin Yeh Riwaayat Saabit Nahi Hai , Jabke Maine
Asal Farsi Nuskha Ka Aks Bhi Dekh Rakha Hai Saath Usmein Kahin Bhi Yeh Baat
Nahi Likhi Ke Yeh Riwaayat Saabit Nahi, Jis Kisi Ne Likha Hai To Deobandi Maulwi
Ko Chahiye Ke Is Ka Hawaala De-De To Bhi Hamaari Ma'aloomat Me Izaafah Ho
Jaayega. Agar Ahl-E-Sunnat-Wal-Jamaat (Maslak-E-Aalahazrat ) Waale Is Namaaz-E-Ghausiya Nafl Ko Likhne Me Mujrim
Hain To Kya Shaikh-E-Muhaqqiq Syyedina Abdul Haq Farooqui Muhaddis Dehalvi رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ
Aur Deobandi Maulwi Jo Deobandi Darul-Uloom Karachi Ka Ustaad Hai Woh Bhi
Mujrim Hai ?
Taalib-E-Dua:-
Mir Mohammad Tausif Raza Qadri Razvi Al-Ayyubi
(Al-Azdi Al-Khazraji Al-Najjari)
Comments
Post a Comment