KYA HAZRAT SYYEDINA AMIR MUAWIYA رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ NE AMIR-UL-MOMINEEN SYYEDINA MAULA ALI AL-MURTAZA رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ KO GAALIYA DI YA DILWAAYI ??

 

Shia Logon Ne Awaam Ko Haqeeqat-E-Haal Se Be'khabar Paa Kar Unhein Gumraah Karne Ki Khaatir Ek Chaal Chali, Ke Hazrat Syyedina Amir Muawiya رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ke Daur-E-Khilaafat Me Unke Hukm Se Khateeb Amir-Ul-Momineen Asadullaahil Ghaalib Syyedul Arab Wal Ajam Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Aur Tamaam Ahlebait-E-At'haar Par Mimbar Par Khade Ho Kar Tabarra'baazi Aur La'an-Ta'an Kiya Karte The (Ma'azallah,Summa Ma'azallah),Aur Isko Saabit Karne Ke Liye Shia Aur Rafzi Aur Tafzeeli Log Suboot Ke Taur Par Ahle Sunnat Wal Jamaat Ki Jo Kitaabein Pesh Karne Ki Jasaarat Karte Hai Unke Saamne Is Maamle Me "4 Kitaabein" Hai.

(1) Tabqaat Ibne Sa'ad

(2) Taareekh-E-Tabari

(3)Al-Bidaaya Wan Nihaaya

(4) Kaamil Ibne Aseer .

Main Inka Woh Maqaam Likhta Hu Jisko Shia Rafzi Daleel Banaate Hai,Aur Aakhir Me  اِنْ شَآءَ اللہ عَزَّ وَجَلَّ Inke Jawabaat Arz Karunga.

……………………………………………

✍️KAAMIL IBNE ASEER:-

وقداردتُ إيصاءک باشياء كثيرة انا تاركها اعتماد على بصرك ولست تاركا إيصاءک بخصلة لاتترك شتم علی وذمه والترحم على عثمان والاستغفار له والعيب لاصحاب علی والاقصاء لهم

(Kaamil Ibne Aseer,Jild-3, Page- 476, ذکر قتل حجر بن عدی داروین الحمق واصحابها )

 

Tarjama:- "Hazrat Syyedina Amir Muawiya رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Jab "Mugheera Bin Sho'aba رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ" Ko Kufa Ka Waali (Governor) Bana Kar Bheja To Kaha Main Chahta Hu Ke Tujhe Bahot Si Baaton Ki Wasiyat Karu,Lekin Unko Teri Sawaab'deed (صوابدید Ya'ani Teri Marzi Ya Mashwarah Ya Salaah) Par Chhodta Hu,Lekin Ek Wasiyyat Laazim Hai Ke Hazrat Syyedina Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Par "SABB-WA-SHITAM" Tark Na Karna (Ya'ani Unpar "SABB-WA-SHITAM" Karna Na Chhodna), Aur Hazrat Syyedina Osmaan رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ke Liye Dua-E-Rahmat Wa Astaghfaar  Karna Aur As'haab-E-Ali Ke Aib Bayaan Karna Aur Unsein Kinarah'kash Hona.

Reference:-

(Kaamil Ibne Aseer,Jild-3, Page- 476, ذکر قتل حجر بن عدی داروین الحمق واصحابها )

 

✍️Tabqaat Ibne Sa'ad:-

اخبرنا علی بن محمد عن لوط بن یحییٰ الغامدی قال کان الولاة من بنى امية قبل عمر بن عبد العزیز یشتمون علیا رحم اللہ فلما ولی عمر امسک عن ذالک

Tarjama:- "Loot Bin Yahya Ghaamdi Ne Kaha Ke Bani Umaiyyah Ke Waaliyaan-E-Hukumat (والیان حکومت) Hazrat Syyedina Omar Bin Abdul Aziz رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Se Qabl Hazrat Syyedina Ali رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ko Gaali Galoch Diya Karte The, Phir Jab Hazrat Syyedina Omar Bin Abdul Aziz رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ   Khalifa Bane, To Aap  رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ne Isse Mana Kar Diya"

Reference:-

(Tabqaat Ibne Sa'ad,Jild- 5, Page:- 393, Publishing- Beirut)

 

✍️ Taareekh-E-Tabari:-

ان معاوية بن أبي سفيان لما ولى المغيرة بن شعبة الكوفة في جمادی س٤١ ، ودعاه وقال أردت إيصاءك بأشياء كثيرة فأنا تاركها اعتمادا على بصرك بمايرضيني ويسعد سلطانى و يصلح به رعيتي ولست تاركاً ایصاءك بخصلة لا تتحم عن شتم علي وذمه والترحم على عثمان والاستغفار له والعيب على اصحاب علي والإقصاء لهم وترك الإستماع لهم.

Tarjama:-

Hazrat Syyedina Amir Muawiya رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ne Jab "Mugheera Bin Sho'aba رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ" Ko 41 Sann-E-Hijri Maah-E-Jamadi Al-Awwal Me Kufa Ka Waali Muqarrar Farmaaya,To Unhein Bulaakar Kaha, Main Kayi Umoor (امور) Ki Tumhe Wasiyat Karna Chahta Tha, Lekin Un Ko Tumhari Sawaab'deed (صوابدید Ya'ani Tumhari Marzi Ya Mashwarah Ya Salaah) Par Chhodta Hu, Mujhe Aitimaad Hai Ke Tum Har Woh Baat Karoge, Jo Mujhe Pasand Hogi Aur Meri Hukumat Ke Liye Achhi Hogi,Aur Meri Ra'eeyat (رعيت) Ki Behtari Me Hogi,Lekin Ek Baat Tumhein Zaruru Wasiyat Kiye Deta Hu, Ke "ALI" Par "SABB-WA-SHITAM (سب و شتم) Aur Unki Mazammat Khatm Na Honi Chahiye,Aur Hazrat Osmaan Ke Liye Dua-E-Rahmat Wa Istaghfaar Karna "ALI" Ke Saathiyon Ki Aib'joyi Karna Aur Un Ki Koi Baat Na Sunna.

Reference:-

(Taareekh-E-Tabari, Jild -3, Juzz-6, Page:- 141 , ذکر سنہ حدی و خمسین)

 

✍️ Al-Bidaaya Wan Nihaaya:-

ولما كان متوالياعلى المدينة لمعاوية كان يسب عليا كل جمعة على المنبر وقال له الحسن بن علي لقد لعن الله اباك الحكم وانت في صلبه على لسان نبيه فقال لعن الله الحكم وماولد والله اعلم

 

Tarjama:-

Hazrat Syyedina Amir Muawiya رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ki Taraf Se Jab "Marwaan Bin Al-Hakam" Madinatul Munawwarah Shareef Ka Waali Muqarrar Hua, To Har Juma'a Bar'sar-E-Mimbar Hazrat Syyedina Maula Ali Al-Murtaza  کَـرَّمَ الـلّٰـهُ تَـعَـالٰی وَجۡـھَـهُ الۡـکَـرِیۡم Ko Gaali Galoch Kiya Karta Tha, Hazrat Syyedina Maula Imam Hasan Bin Ali رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ne Usko Kaha "Allah Ta'ala Ne Apne Paighambar Huzoor صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Ke Zariye Tere Baap "Hakam" Par La'anat Bheji, Us Waqt Tu Apne Baap Ke Pusht Me Tha, Chunancha Huzoor صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Ne Yu Kaha "Allah Ta'ala Laanat Bheje "Hakam" Aur Uski Aulaad Par.

Reference:-

Al-Bidaaya Wan Nihaaya,Jild-4,Juzz-8, Page - 259, Publishing - Beirut,Riyadh ذکر ترجمہ مروان بن الحکم)

 

Note:-

Aap Tamami Hazraat Upar Zikr Kiye In Riwaayaat Ko Dekh Chukein Honge Jisko Dikha Dikha Kar Shia Rafzi Hazrat Syyedina Amir Muawiya رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Par Yeh Ilzaam Lagaate Hai Ke Woh Amir-Ul-Momineen Asadullaahil Ghaalib Syyedul Arab Wal Ajam Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ko Gaali Dilwaya Karte The,Aur Jaha Kahi Bhi Gaali Waali Riwaayat Hai Un Sabki Jad Yeh Riwaayaat Hai Jisko Dikha Dikha Kar Shia Razfi Jaise Badmazhab Logon Ke Iman Aur Aqeedeh Ke Saath Khelte Aur Unhein Jahannam Ki Aag Me Dhakel Dete Hai, Lihaza

 🌹✍️Ab Aate Hai Jawab Ki Taraf ,Aur Khud Faisla Karein,Haq Kya Hai, Baatil Kya Hai ?.

 

 

✍️(1) Jawab:-

La'an-Ta'an (لعن تعن)  Ke Suboot Me Upar Zikr Kiye Gaye Riwaayaat Qaabil-E-Istidlaal Nahi Hai (Ya'ani Yeh Riwaayaat Daleel Banaane Ke Qaabil Aur Laayek Nahi Hai) , Jiski Wajah Yeh Hai Ke Ahle Sunnat Wal Jamaat Aur Shia Rafzi Dono Ke Nazdeek Kisi Musalmaan Ka Naam Lekar La'an-Ta'an (لعن تعن) Karna Jaaiz Nahi, Aur Is Qism Ki مفروضہ Harkat Ke Musalmaan Ka Naam Lekar La'an-Ta'an (لعن تعن) Karna Jo Ke Najaaiz Hai ,Huzoor صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Ke Tarbiyat'yafta Sahaba Karaam رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہُم اَجْمَعِیْن  Ke Liye Kehna Ya Maanna Kaise Sahih Ho Sakta Hai ?.

Hazrat Syyedina Amir-Ul-Momineen Asadullaahil Ghaalib Syyedul Arab Wal Ajam Abu Toraab Maula Ali Al-Murtaza Al-Qarashi Al-Hashmi رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ke Kaamil-Ul-Imaan (كامل الایمان) Aur Manba-E-Wilaayat(منبع ولایت) Hone Me Kisein Ikhtilaaf Hai ? To Ba'farz-E-Mohaal (Ya'ani Jiska Hona Mohaal Hai Ya Ek Dum Na'mumkin Hai) Agar Hazrat Syyedina Amir Muawiya Al-Umawwi Al-Qarashi رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ne Apne Kisi Waali Ya Governer Maslan "Marwaan Bin Al-Hakam" Ko Amir-Ul-Momineen Asadullaahil Ghaalib Syyedul Arab Wal Ajam Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Par SABB-WA-SHITAM (سب و شتم) Ka Kaha Ho , To Sahaba Karaam رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہُم اَجْمَعِیْن Iski Ta'eed Kab Kar Sakte Hai ?

Kyunke Allah  سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى  Ne Surah Maidah Ke Ayat No 2 Me

  "وَ لَا تَعَاوَنُوْا عَلَى الْاِثْمِ وَ الْعُدْوَانِ۪"

  (Aur Gunaah Aur Ziyaadti Par Baa'hum Madad Na Do)

 Farma Kar Us Amr (امر Ya'ani Kaam Ya Amal ) Ki Muma'niat (ممانعت) Kar Di.

 Ab Agar Un Sahaba Karaam رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہُم اَجْمَعِیْن  Ke Hote Huwe Koi Shakhs Bar'sar-E-Mimbar Amir-Ul-Momineen Asadullaahil Ghaalib Syyedul Arab Wal Ajam Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ki Shaan Me "SABB-WA-SHITAM (سب و شتم)"  Karta Hai ,To Sahaba Karaam رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہُم اَجْمَعِیْن  Ka Aise Shakhs Ke Peechhe Namaazein Ada Karna Kyun Kar Mumkin Hai ??

 Aur Amir-Ul-Momineen Asadullaahil Ghaalib Syyedul Arab Wal Ajam Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ki Shaan Me "SABB-WA-SHITAM (سب و شتم)" Hote Huwe Dekhna Aur Khamosh Rehna Yeh "SABB-WA-SHITAM (سب و شتم)"Karne Waale Ki Madad Hui , Aur Allah  سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى  Quran Shareef Ke Surah Maidah Ke Ayat No:-2 Me Farma Raha "Aur Gunaah Aur Ziyaadti Par Baa'hum Madad Na Do" To    ( Ma'azallah, Summa Ma'azallah) ,Kya Yeh Mumkin Ho Sakta Hai Ke Sahaba Karaam رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہُم اَجْمَعِیْن Ne Allah Ke Hukm Ke Khilaaf Amal Kiya Ho ???.

 Ek Jahil Se Jahil Shakhs Ka Iman Kahega Ke Bilkul Nahi , Kyun Ke Yahi Sahaba Karaam رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہُم اَجْمَعِیْن  Allah Aur Uske Rasool Ke Hukm Par Apna Sab Kuchh Qurbaan Kar Diya To Yeh Kaise Mumkin Ho Sakta Hai Ke Allah  سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى  Me Mana Karne Ke Bawajood Unke Saamne Amir-Ul-Momineen Asadullaahil Ghaalib Syyedul Arab Wal Ajam Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Par "SABB-WA-SHITAM (سب و شتم)" Kiya Jaaye Aur Woh Khamoshi Se Dekhte Ho ?

 Lihaza Pata Chala Ke Shia (Rawaafiz) Ki Taraf Se Is Tarah Ki Riwaayaat Pesh Karna Aqlan Istidlaal Ke Qaabil Nahi Hai (Ya'ani Daleel Banaane Ke Qaabil Nahi Hai).

 

 

✍️(2) Jawab:-

 In Riwaayaat Ko Agar Fann-E-Riwaayat Ke Aitbaar Se Dekha Jaaye To Bhi Qaabil-E-Istidlaal Nahi (Ya'ani Daleel Banaane Ke Qaabil Nahi ), Kyunke "KAAMIL IBNE ASEER" Ki Zikr Kardah Riwaayat Me Agarche Uski Sanad Ka Zikr Nahi Hai, Lekin Khud "IBNE ASEER"  Ne "MUQADDAMA (مقدّمہ)" Me Likh Chukein Hai Ke Meri Kitaab Ka Maakhaz (ماخذ) "TAAREEKH-E-TABARI" Hai (Ya'ani Ibne Aseer Ne Jo Kuchh Apni Kitaab "Kaamil Ibne Aseer" Me Likha Hai Woh Sab "Taareekh-E-Tabari" Se Liya Gaya Hai), Aur Yeh Baat Kaafi Had Tak Sahih Ma'aloom Hoti Hai Kyunke Zikr Kiye Gaye Riwaayat Ke Alfaaz Jo "Tabari" Ke Andar Zikr Kiye Huwe Hai,Unmein Ma'amooli Kami Beshi Ke Saath "IBNE ASEER" Ne Naql Kiye Hai, LIHAZA DONO KITAABON KI RIWAAYAT KI "SANAD" EK HI HOGI,AUR "TABARI" KI RIWAAYAT ME "HISHAAM BIN MUHAMMAD KALBI" AUR "LOOT BIN YAHYA ABU MUKHANNAF" AISE "RAAWI" HAI ,JO DONO FANN-E-RIWAAYAT ME "MAJROOH" HAI ,(Ya'ani Yeh Dono "HISHAAM BIN MUHAMMAD KALBI" Aur "LOOT BIN YAHYA ABU MUKHANNAF" Dono Ki Riwaayaat Qaabil-E-Qubool Nahi Aur Sahih Nahi, Lihaza Ab Aate Hai Inke Baare Me Asma'ur'rijaal Ke Aaimma Aur Deegar Mohaddiseen Kya Farmaate Hai :-

 

✍️"LOOT BIN YAHYA" Ki Aur Uski Riwaayat Ki Haisiyat:-

❤️LISAANUL MIZAAN❤️

لوط بن يحيى ابو مخنف إخباري تالف لا يوثق به تركه ابوحاتم وغيرہ وقال الدار قطني ضعيف وقال يحيى بن معين ليس بثقة وقال مرة ليس بشیء و قال ابن عدی شيعي محرق صاحب اخبارهم

Tarjama:-

"Loot Bin Yahya Abu Mukhannaf" AKHBAARI Aadmi Hai, Na'qaabil-E-Wasooq (ناقابلِ وثوق Ya'ani Bharose Ke Laayek Nahi, Sahih Nahi), Abu Haatim Wagairah Ne Uski Riwaayat Kk Chhod Diya , Aur Daar-Qatani Ne "ZA"EEF" Kaha , Yahya Bin Moin Ne "لیس بثقة" Aur Murrah Ne "ليس بشیء" Kaha , Ibne Adi Ka Kehna Hai Ke "YEH SHI'EE (شيعى) JALNE WALA HAI, QISSE KAHAANIYAN KEHNE WALA HAI".

Reference:- Lisaanul Mizaan,Jild-4, Page:- 492,Published From- بیروت حرف اللام

 

 

✍️Aur Ek Dum Aise Hi Alfaaz  "LOOT BIN YAHYA" Ke Baare Me "MIZAAN-UL-AITIDAAL,JILD-2, PAGE:-360, Published From- بیروت حرف اللام" Me Aaye Hai.

..............................................................

 

✍️"HISHAAM BIN MUHAMMAD KALBI"  Ki Aur Uski Riwaayat Ki Haisiyat:-

❤️ Mizaanul Aitidaal❤️

ھشام بن محمد بن السائب الکلبی قال احمد بن حنبل انما کان صاحب سمر و نسب ماظننت ان احدا يحدث عنه و قال الدار قطنی وغیرہ متروک و قال ابن عساکر رافضی لیس بثقة

Tarjama:-

Hazrat Syyedina Imam Ahmad Bin Hanbal رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ne Farmaaya Ke "HISHAAM BIN MUHAMMAD BIN SAAIB KALBI" Qissa Kahaaniyan Aur Nasab Bayaan Karne Ka Maahir Tha ,MAIN NAHI GHUMAAN KARTA KE "KISI EK MOHADDIS NE BHI USSE RIWAAYAT KI HO" , "DAAR-QATANI" Waghairah Ne  (Hishaam Bin Muhammad Bin Saaib Kalbi) Ko "MATROOK (متروک)" Kaha, Aur "Ibne Asaakir" Ne "RAAFZI GHAIR MAUSOOQ (رافضی غیر موثوق)" Kaha.

Reference:-

Mizaanul Aitidaal,Jild-3, Page -256, حرف الہاء

,مطبوعہ مطبع سعادت مصر طبع قدیم)

 

✍️Aur Ek Dum Aise Hi Alfaaz  "HISHAAM BIN MUHAMMAD BIN SAAIB KALBI" Ke Baare Me "LISAANUL MIZAAN,JILD-6, PAGE:-196,

حرف الہاء

,مطبوعہ بیروت طبع جدید

Me Zikr Kiye Gaye Hai۔

 

🖊️Note:-

Yeh Thi Tehqeeq Un Do Raawiyaan "LOOT BIN YAHYA" Aur "HISHAAM BIN MUHAMMAD BIN SAAIB KALBI" Ke Baare Me Jinki Zaat Aur Riwaayaat Dalaail Ki Raushni Me , Qaabil-E-Istidlaal, Qaabil-E-Qubool,Qaabil-E-Bharosa Nahi, Jab Khud Inka Yeh Haal Hai To Unki Riwayaaat Ko Daleel Banaana Kaise Sahih Hua ???????

 

🖊️✍️"TABQAAT IBNE SA'AD" Ki Riwaayat To Saaf Taur Par "LOOT BIN YAHYA GHAAMDI" Se Marwi (Narrate) Hai , Aur Khud Uska Sann-E-Wafaat (Ya'ani Jis Saal Woh Mara) Woh Saal 170 Hijri Hai, Halanke Saabit Yeh Karna Chahta Hai Ke Hazrat Syyedina Amir Muawiya رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ke Baad Se Hazrat Syyedina Omar Bin Abdul Aziz Al-Umawwi Al-Qarashi رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Tak Tamaam Khulafa-E-Bani Umaiyya Amir-Ul-Momineen Asadullaahil Ghaalib Syyedul Arab Wal Ajam Abu Toraab Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ko Bura Bhala Kehte Rahe, To Yeh Raawi "LOOT BIN YAHYA" Khud Us Daur Ke Andar Tha Hi Nahi To Usein Kaise Ma'aloom Ho Gaya Ke Us Daur Ke Khutaba'a (خطباء) Aur Waaliyaan-E-Hukumat (Governors) Amir-Ul-Momineen Asadullaahil Ghaalib Syyedul Arab Wal Ajam Abu Toraab Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Par "SABB-WA-SHITAM (سب و شتم)" Kiya Karte The, Isi Se Aap Uski Riwaayaat Ki Aur Uski Sachaayi Ka Pata Laga Sakte Hai.

 

✍️🖊️AL'BIDAAYA WAN NIHAAYA Waali Riwaayat:-

"Al-BIDAAYA WAN NIHAAYA Me Jo Riwaayat Zikr Hai Uski Sanad Bilkul "GAAYAB" Hai Ya'ani Maujood Hi Nahi Hai, Uski Takhreej (تخریج) Ma'adoom (معدوم Ya'ani Gayab Hai ,Ghair Maujood Hai Wagairah), Jiski Wajah Se Us Riwaayat Ki Sehat (صحت Ya'ani Authenticity) Aur Adam-E-Sehat (عدم صحت Ya'ani Sahih Na Hona, Na'durusti) Par Faisla Karna NAMUMKIN Hai. Aur Shuru Se Hi Iski Riwaayat Dekhne Par Ma'aloom Hota Hai Ke "ISKI SANAD MILI HI NAHI" , TO "AISI BE'SANAD RIWAAYAT QAABIL-E-ISTIDLAAL NAHI HOTI".

 

✍️ Jis Tarah Hazrat Syyedina Amir Muawiya رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ki Taraf Se "La'an-Ta'an (لعن طعن)" Ki Riwaayat Maujood Hai,Usi Tarah Hazrat Syyedina Amir-Ul-Momineen Asadullaahil Ghaalib Syyedul Arab Wal Ajam Abu Toraab Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ki Taraf Se Aisi Hi Riwaayaat Paayi Jaati Hai, Chunanche Usi "TAAREEKH-E-TABARI, JUZZ-6,PAGE- 143" Me Hai

"ان حجرا یجتمع علیه شيعة على و يظهرون لعن معاوية والبرأة منه"

Tarjama:-

"Hazrat Syyedina Hujr Bin Adi رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ" Ne Shiaan-E-Ali Ko Jama Kiya, Aur Hazrat Amir Muawiya رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Par "La'an-Ta'an (لعن طعن)" Shuru Kar Diya.

 

✍️🖊️Isi Tarah Imam Bukhari رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ki "Taareekh-E-Kabeer, Jild-3, Page:- 36 , باب حنظلہ" Me Hai.

 "عن مغیره قال خرج عدی بن حاتم و جریر بن عبدللہ و حنظلة کاتب النبی صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ  من الکوفة الی قر قسیة و قالوالانقيم ببلدة يشتم فيه عثمان بن عفان"

 

Hazrat Syyedina Mugheera Bin Sho'aba رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Kehte Hai Adi Bin Haatim, Jareer Bin Abdullah Aur Kaatib-E-Rasoolallah Hazrat Syyedina Hanzala رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Kufa Se Qarqeed Jaane Ke Liye Nikle,Aur Unhone Aapas Me Kaha Ke Hum Kisi Aisi Bastee Aur Shahar Me Nahi Rukenge,Jismein Hazrat Syyedina Osmaan Bin Affan رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ko Gaali Di Jaati Ho.

 

Note:-

Jab "La'an-Ta'an (لعن طعن)" Ki Riwaayat Dono Taraf Se Maujood Hai, To Hamein In Haalaat Me Kisi Ko Tarjeeh Dene Ki Kya Zarurat Hai ??

Kyunke Qur'an Wa Hadees Me Iski Muma'niat Ka Zikr Hai ,Jabke "La'an-Ta'an (لعن طعن)" Se Mana Karne Waali Riwaayaat Amir-Ul-Momineen Asadullaahil Ghaalib Syyedul Arab Wal Ajam Abu Toraab Maula Ali Al-Murtaza  کَـرَّمَ الـلّٰـهُ تَـعَـالٰی وَجۡـھَـهُ الۡـکَـرِیۡم Ke Taraf Se Hum Sab Dekh Chukein Hai,To In Tamam Baaton Ko Nazar Me Rakh Kar Bat Imaandaari Aur Dayaanat'daari Se Bataaye Ke In Riwaayaat Ka Kya Maqaam Ho Sakta Hai Jo "Bina Sand Aur Majrooh" Ho.

Jin Ke Raawiyon Ke Baare Me "لا شیء" Aur "لیس بثقة" Aur "Shi'ee Muhtariq(شیعی محطرق)" Jaise Alfaaz Istemaal Huwe Ho,Lihaaa Yeh Riwaayaat Puri Ki Puri Aitbaar Ke Qaabil Nahi.

 

✍️

Aur Aksar Jahil Shia Rawaafiz Wagairah Riwayat Me Lafz "سب (Sabb)" Dekh Kar Direct Gaali-Galoch Samjh Lete Hai Jabke Mamla Aisa Nahi Hota.

Aur Agar In Riwaayaat Ko Durust Bhi Qaraar Diya Jaaye To Lafz "سب (Sabb)" Ka Matlab Sirf Gaali-Galoch Hi Nahi Hai , Balke "Sakht-Kalaami (سخت کلامی)" Bhi Aaya Hai, Is Ma'ani Me In Riwaayaat Me Kuchh Sadaaqat Ho Sakti Hai ,Lafz "سب (Sabb)" Ko "Sakht-Kalaami" Ke Mafhoom Me Lena Khud Hadees Shareef Me Maujood Hai, Jab Hazrat Syyedina Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Aur Unke Chacha Hazrat Syyedina Abbas Bin Abdul Muttalib رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـھُمَا  Ke Darmayaan "Maal-E-Fe  (مال فے )" Me Jhagadte Huwe Hazrat Syyedina Faarooq-E-Aazam رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ke Paas Aaye.

Lihaza "Bukhari Shareef" Me Hai Ke:-

"فَلَمَّا دَخَلَا قَالَ عَبَّاسٌ يَا أَمِيرَ الْمُؤْمِنِينَ اقْضِ بَيْنِي وَبَيْنَ هَذَا وَهُمَا يَخْتَصِمَانِ فِي الَّتي أَفَاءَ اللَّهُ عَلَى رَسُولِهٖ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ مِنْ بَنِي النَّضِيرِ فَاسْتَبَّ عَلِيٌّ وَعَبَّاسٌ

Tarjama:-

Jab Dono Hazraat Syyedina Faarooq-E-Aazam رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ke Paas Tashreef Laaye, To Hazrat Syyedina Abbas رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ne Kaha , Aye Amir-Ul-Momineen! Mere Aur Inke Darmayaan Faisla Farmaaiye, Dono Ka Jhagda "Banu Nuzair (Ek Yahudi Qabila)" Ke "Maal-E-Fe (مالِ فے)" Me Tha,Aur Dono ( "سب (Sabb)" Kar Rahe The Ya'ani) Ek Dusre Se Sakht-Kalaami Kar Rahe The.

🖊️(Yaha Ek Dusre Ko Gaali Dena Durust Nahi Banta Kyunke Woh Dono Sahabi-E-Rasool Hai Aur Aapas Me Chacha Bhatija Bhi The)

Reference:- Bukhari Shareef,Jild-2.

 

🖊️✍️"Mouta Imam Maalik" Me Hai Ke "Jab Huzoor صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ "Tabook" Ki Taraf Rawana Huwe, To Aap صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Ne Saathiyon Se Farmaaya ,Tum اِنْ شَآءَ اللہ عَزَّ وَجَلَّ Kal "Chashma-E-Tabook" Par Pahonch Jaaoge, Lekin Chasht Ke Waqt Ke Baad, Phir Farmaya,Mere Aate Se Pahle Paani Ko Haath Na Lagana.

"فجئناها وقد سبقنا إليها رجلان والعين تبص بشىء من ماء فسالهما رسول الله صلى الله عليه وسلم هل مستمامن ماء هاشيئا فقالا نعم فسب هما رسول الله صلى الله عليه وسلم و قال لهما ماشاءالله ان يقول"

Tarjama:-

Hum Waha Pahonche Aur Hum Me Do Aadmi Pahle Hi Pahonch Chukein The,Chashma Ka Pani Chamak Raha Tha, Un Donon Se Rasoolallah صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Ne Daryaaft Farmaya, Kya Tum Ne Uska Pani Piya, Aur Usko Haath Lagaya Kehne Lage Haa Ya Rasoolallah To Aap Ne Unhein Sab Ko Daant Pilaayi ,Aur Allah عَزَّ وَجَلَّ Ne Jo Chaha , Aapne Unhein Kaha.

Un Tamaam Baaton Se Saabit Yeh Hua Ke , Shia Rafzi Ya Ahle Sunnat Wal Jamaat Ka Libaas Pahen Kar Chhupe Rafzi Jin Kutub Aur Riwaayaat Ka Hawala Pesh Karte Hai Woh Istidlaal Ke Qaabil Nahi,Aur Agar Kuchh Sadaaqat Ho Bhi To Ussein Muraad "Sakht-Kalaami" Hogi, Jiska Maqsad Yeh Hua Ke Yeh Hazraat Ba'az Dafa Ek Dusre Ke Baare Me Sakht-Kalaami Karte The JABKE AQL-E-SALEEM AUR FITRAT-E-INSAANI IS MA'ANI KO BHI UN HAZRAAT KE LIYE JAAIZ NAHI SAMAJHTI.

……………………………………………

✍️Isi Tarah Rawaafiz Aur Kuchh Kitaabon Ka Hawala Dete Hai Maslan :-

(1) Sahih Muslim Shareef,Jild-3, Page - 301,302, Baab:- Fazaail-E-Sahaba , Hadees No:- 6170) ,Riwaayat Bahot Lambi Hai Jiska Ek Tukda Pesh Kar Ke Jaahil Rafzi Aitraaz Karte Hai, Aur Woh Hadees Shareef Yu Hai Ke :-

"Hazrat Syyedina Sa'ad Bin Abi Waqqaas رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Bayaan Karte Hai Ke Jab Hazrat Syyedina Muawiya Bin Abi Sufyaan رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـھُمَا  Ne Hazrat Sa'ad Bin Abi Waqqaas رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ko Amir Banaaya To Unsein "Daryaaft Kiya (Ya'ani Puchha)" Ke Tumhe Hazrat Syyedina Abu Toraab رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ (Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ) Ko Bura Kehne Se Kya Cheez Maan'e (مانع Ya'ani Rokti) Hai ???" Hazrat Syyedina Sa'ad Bin Abi Waqqaas رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ne Kaha : Mujhe Woh 3 Baatein Yaad Hai Jo Huzoor Syyedina Rasoolallah صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Ne Hazrat Syyedina Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ke Muta'aliq Farmaayi Thi,Isliye Main Unko Kabhi Bura Nahi Keh Sakta, Agar Un 3 Baaton Me Se Ek Bhi Baat Mere Liye Farmaayi Hoti To Woh Mujhe Surkh Oonton (Red Camels) Se Zyadah Mehboob Thi, Jab Hazrat Syyedina Rasoolallah صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Ne Ba'az Maghaazi (مغازی) Me Hazrat Syyedina Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ko Chhod Diya Aur Hazrat Syyedina Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ne Kaha : Ya Rasoolallah ! Aapne Mujhe Auraton Aur Bacho Me Chhod Diya, To Maine Rasoolallah Ko Hazrat Syyedina Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Se Yeh Farmaate Huwe Suna : Kya Tum Ispar Raazi Nahi Ho Ke Tum Mere Liye Aise Ho Jaise Ke Musa Ke Liye  Haroon The , Albatta Mere Baad Koi Nabi Nahi Hoga Aur Ghazwah-E-Khaibar Ke Din  Maine Aap Se Yeh Suna : Kal Main Us Shakhs Ko Jhanda Dunga Jo Allah Aur Uske Rasool Se Mohabbat Karta Hai, Hazrat Syyedina Sa'ad Bin Abi Waqqaas رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ne Kaha : Phir Hum Sab Uske Intezaar Me The, Aap صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Ne Farmaya : Ali Ko Mere Paas Laao, Hazrat Syyedina Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ko Laya Gaya Aur Aa'haaliyake (آں حالیکہ Ya'ani Us Haalat Me Ke) Aankhein Dukhti Thi, Aap صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Ne Unki Aankhon Me Lu'aab-E-Dahan Mubarak (Ya'ani Thook Mubarak)  Dala Aur Unko Jhanda Ata Kiya , Allah سُبْحَانَ ٱللَّٰه تَعَالَى Ne Un Par Khaibar Fateh Kar Diya Aur Jab Ayat Naazil Hui: (Tarjama:-) "Aao Hum Apne Beton Ko Bulaaye Aur Tum Apne Beton Ko Bulaao" To Huzoor Syyedina Rasoolallah صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Ne Hazrat Syyedina Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ,Hazrat Syyedah Fatima, Hazrat Syyedina Hasan ,Hazrat Syyedina Hussain رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہُم اَجْمَعِیْن  Ko Bulaaya Aur Kaha: Aye Allah عَزَّ وَجَلَّ! Yeh Meri Ahlebait Hai.

 

Note:-

✍️Imam Nawawi رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Is Hadees Shareef Ki Sharah Me Likhte Hai Ke :-

"Olama'a Ne Kaha Hai Ke Is Qism Ki Ahaadees Ki Taaweel (تاويل) Karna Waajib Hai, Hazrat Syyedina Muawiya رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ke Is Qaul Me Tasreeh (تصریح) Nahi Hai Ke Unhone Hazrat Syyedina Sa'ad Bin Abi Waqqaas رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ko Hazrat Syyedina Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ko Bura Kehne Ka Hukm Diya Tha, Balke Unsein Bura Na Kehne Ka Sabab Daryaaft Kiya Tha, Ke Aaya Tum Unko (Hazrat Syyedina Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ko ) Taqwa Aur Parhezgaari Ki Wajah Se Bura Nahi Kehte Ya Iska Koi Aur Sabab Hai, Agar Tum Unko Taqwa Aur Parhezgaari Ki Wajah Se Bura Nahi Kehte To Tum Haq Par Ho Aur Tumhara Nazariya Durust Hai Aur Agar Uska Koi Aur Sabab Hai To Usko Bayaan Karo,Ghaaliban Hazrat Syyedina Sa'ad Bin Abi Waqqaas رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ka Taaluq Us Jamaat Se Tha Jo Hazrat Syyedina Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ko Bura Kehti Thi Uske Bawajood Woh Hazrat Syyedina Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ko Bura Nahi Kehte The,Is Wajah Se Hazrat Syyedina Muawiya رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ne Yeh Sawal Kiya .

Is Hadees Ki Dusri Taaweel (تاویل) Yeh Hai Ke Hazrat Syyedina Muawiya رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ne Hazrat Syyedina Sa'ad Bin Abi Waqqaas رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Se Daryaaft Kiya Ke "Kya Wajah Hai Ke Tum Hazrat Syyedina Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ki Raai Ko Khata Nahi Kehte Aur Logon Se Nahi Kehte Ke Hamaari Raai Aur Ijtihaad Sahih Hai Aur Hazrat Syyedina Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ki Raai Aur Ijtihaad Ghalat Tha ?"

 

Reference:-

Allama Yahya Bin Sharf Nawawi (676 Hijri)

"Sharah Sahih Muslim, Jild -6, Page - 278,

 مطبوعہ نور محمد اصح المتابع کراچی,

 ۱۳۶۵ ہجری۔

 

 

✍️Ab Rawafiz Jinhe Na Aql-E-Saleem Haasil Hai Aur Na Hi Imaan, Ke Woh Yeh Tak Nahi Samajh Paaye Ke Hazrat Syyedina Muawiya Bin Abi Sufyaan رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـھُمَا Ne Hazrat Syyedina Sa'ad Bin Abi Waqqaas رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Se Daryaaft Kiya Hai Ke Aakhir Kya Cheez Syyedina Abu Toraab Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ko Bura Kehne Se Rokti Hai ?

✍️Aur Daryaaft Is Liye Kiya Ke Hazrat Syyedina Sa'ad Bin Abi Waqqaas رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ke Aas Paas Rehne Waale Kuchh Log Amir-Ul-Momineen Asadullaahil Ghaalib Syyedul Arab Wal Ajam Abu Toraab Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ko Bura Kehte The ,To Hazrat Syyedina Amir Muawiya رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Woh Fazeelat-E-Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Jaanna Chaahte The Ke Hazrat Syyedina Sa'ad Bin Abi Waqqaas رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Aise Logon Ke Beech Rehkar Kyun Hazrat Syyedina Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ko Bura Nahi Kehte ?.

Ab Ek Jaahil Se Jaahil Insan Bhi Samjh Sakta Hai Is Jumle Ko Dekh Kar Ke Yeh Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ko Bura Kehne Ka Hukm Nahi Diya Jaa Raha Balke Bura Na Kehne Ki Wajah Puchhi Jaa Rahi Hai Kyun Ke Amir-Ul-Momineen Asadullaahil Ghaalib Syyedul Arab Wal Ajam Abu Toraab Maula Ali Al-Murtaza کَـرَّمَ الـلّٰـهُ تَـعَـالٰی وَجۡـھَـهُ الۡـکَـرِیۡم Be'panah Fazaail Ke Maalik The Maslan Ilm,Taqwa,Shuja'at,Nasab Wagairahum Lihaza Hazrat Syyedina Amir Muawiya رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ka Maqsad Tha Ke Woh Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ki Woh Fazeelat Jaanna Chahte The Jiski Wajah Se Hazrat Syyedina Sa'ad Bin Abi Waqqaas رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Unsein Mohabbat Karte The .

✍️Warna Ma'azallah Summa Ma'azallah Hazrat Syyedina Amir Muawiya رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Amir-Ul-Momineen Asadullaahil Ghaalib Syyedul Arab Wal Ajam Abu Toraab Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ko Bura Kehne Ya Kehlwaane Ki Khwahish Rakhte Ya Hazrat Syyedina Sa'ad Bin Abi Waqqaas رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ko Syyedina Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ko Bura Kehne Ka Hukm Diya Aur Syyedina Sa'ad Bin Abi Waqqaas رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ne Hazrat Syyedina Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Se Mohabbat Ka Izhar Kiya To Sawal Uthta Hai Ke Agar Waqayi Hazrat Syyedina Amir Muawiya رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ko Bura Kehlawana Chahte The Ya Uska Hukm Dete The To Unhone Aise Sahabi-E-Rasool Ko Amir Kyun Banaaya Jo Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Se Mohabbat Rakhte The ??

Lihaza Pata Kya Chala Ke Logically Bhi Is Riwaayat Me Hazrat Syyedina Amir Muawiya رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ki Fazeelat Jaanna Chah Rahe The Na Ke Bura Kehne Ka Hukm De Rahe The.

 ……………………………………………

✍️(2) Isi Tarah Sahih Muslim Shareef Ki Ek Aur Riwaayaat Pesh Kar Ke Usko Hazrat Syyedina Amir Muawiya رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ki Taraf Mansoob Karte Hai ,Aaiye Us Riwaayat Ko Dekhte Hai.

🌹"Hazrat Syyedina Sahal Bin Sa'ad رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Bayaan Karte Hai : Aal-E-Marwaan (Ya'ani Marwaan Ki Aulaad) Me Se Ek Shakhs Ko Madinatul Munawwarah Shareef Ka Aamil Banaya Gaya, Usnein Hazrat Syyedina Sahal Bin Adi رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ko Yeh Hukm Diya Ke Woh Hazrat Syyedina Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ko Bura Kahein , Hazrat Syyedina Sahal رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ne Inkaar Kiya, Usnein Kaha  Agar Tum Inkaar Karte Ho To Yu Kaho : Allah Ta'ala Abu Toraab Par La'anat Karein (Ma'azallah) , Hazrat Syyedina Sahal رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ne Kaha: Hazrat Syyedina Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ke Nazdeek Abu Toraab Se Badh Kar Koi Naam Mehboob Nahi Tha, Jabke Unko Abu Toraab Ke Naam Se Bulaaya Jata To Woh Khush Hote The, Raawi (Narrator) Ne Unsein Kaha : Hamein Unka Woh Qissa Bataao Ke Unka Naam Abu Toraab Kaise Rakha Gaya ? Unhone (Ya'ani Hazrat Syyedina Sahal Bin Sa'ad رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ne) Kaha: Ek Din Rasoolallah Hazrat Syyedah Fatima Zahra رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهَـا Ke Ghar Aaye To Hazrat Syyedina Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ghar Me Nahi The, Farmaaya: Tumhara Amm'zaad (عم زاد) Kaha Hai ? ,Kaha : Mere Aur Unke Darmayaan Shakr'ranji (شکر رنجی) Ho Gayi Jisse Ghazabnaak Ho Kar Woh Ghar Se Chale Gaye Aur Mere Paas Qailoola (قیلولہ) Nahi Kiya,Huzoor Syyedina Rasoolallah صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Ne Kisi Shakhs Se Kaha : Jaao Dekho Woh Kaha Hai ? Us Shakhs Ne Aakar Kaha : Woh Masjid Me Soye Huwe Hai, Huzoor Syyedina Rasoolallah صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Hazrat Syyedina Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ke Paas Gaye Dar'aa-Haal'yake (درآں حالیکہ Ya'ani Us Haalat Me Ke) Woh Lete Huwe The Aur Ek Jaanib Se Unki Chaadar Dhalki Hui Thi Aur Un Par Mitti Lagi Hui Thi , Huzoor Syyedina Rasoolallah صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Apne Haath Mubarak Se Woh Mitti Jhaad Rahe The Aur Farma Rahe The :Aye Abu Toraab Utho, Aye Abu Toraab Utho.

Reference:-

(Sahih Muslim Shareef, Jild-3 , Page:- 306,Hadees:- 6179)

 

Note:-

✍️Is Hadees Shareef Me Zikr Aaya Hai Aal-E-Marwaan Ka Ya'ani Marwaan Ki Aulaad Ka , Na Ke Hazrat Syyedina Amir Muawiya رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ka Kyun Ke Hazrat Syyedina Amir Muawiya رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Banu Umaiyya Se To Zarur The Magar Aal-E-Marwaan Ya'ani Marwaan Ki Aulaad Me Se Nahi The Lihaza Yeh Hadees Shareef Dikha Kar Isko Hazrat Syyedina Amir Muawiya رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Par Chaspa Karna Nihaayat Darje Ki Jaahiliyat,Bad'aqeedgi Aur Ghatiya Wa Qabeeh Harqat Hai.

……………………………………………

 

✍️Sunan Ibne Majah Ki Riwaayat:-

حَدَّثَنَا عَلِيُّ بْنُ مُحَمَّدٍ ، حَدَّثَنَا أَبُو مُعَاوِيَةَ ، حَدَّثَنَا مُوسَى بْنُ مُسْلِمٍ ، عَنِ ابْنِ سَابِطٍ وَهُوَ عَبْدُ الرَّحْمَنِ ، عَنْ سَعْدِ بْنِ أَبِي وَقَّاصٍ ، قَالَ : قَدِمَ مُعَاوِيَةُ فِي بَعْضِ حَجَّاتِهِ ، فَدَخَلَ عَلَيْهِ سَعْدٌ فَذَكَرُوا عَلِيًّا فَنَالَ مِنْهُ ، فَغَضِبَ سَعْدٌ ، وَقَالَ : تَقُولُ هَذَا لِرَجُلٍ سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَقُولُ : " مَنْ كُنْتُ مَوْلَاهُ فَعَلِيٌّ مَوْلَاهُ " ، وَسَمِعْتُهُ يَقُولُ : " أَنْتَ مِنِّي بِمَنْزِلَةِ هَارُونَ مِنْ مُوسَى ، إِلَّا أَنَّهُ لَا نَبِيَّ بَعْدِي " ، وَسَمِعْتُهُ يَقُولُ : " لَأُعْطِيَنَّ الرَّايَةَ الْيَوْمَ رَجُلًا يُحِبُّ اللَّهَ وَرَسُولَهُ "

Tarjama:-

Hazrat Syyedina Sa'ad Bin Abi Waqqaas رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Bayaan Karte Hai :-

Hazrat Syyedina Muawiya رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ek Martaba Hajj Karne Ke Liye Aaye,Hazrat Syyedina Sa'ad Bin Abi Waqqaas رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Se Milne Ke Liye Gaye Logon Ne Hazrat Syyedina Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ka Zikr Kar Diya, To Hazrat Syyedina Muawiya رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ne Unpar Kuchh Tanqeed Ki, Is Par Hazrat Syyedina Sa'ad رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ko Gussa Aa Gaya Aur Woh Bole : "Tum Un Saahib Ke Baare Me Yeh Baatein Keh Rahe Ho Jabke Maine Nabi-E-Kareem صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Ko Yeh Irshaad Farmaate Huwe Suna Hai :"Jis Ka Main Mehboob Hu Ali Uska Bhi Mehboob Hai".

Maine Nabi-E-Kareem صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Ko Yeh Irshaad Farmaate Huwe Bhi Suna Hai ( Aap Ne Hazrat Syyedina Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Se Farmaaya Tha):"Tum Mere Liye Wahi Haisiyat Rakhte Ho Jo Hazrat Syyedina Haroon علیہ الصَّلٰوۃ والسَّلام Ko Hazrat Syyedina Musa علیہ الصَّلٰوۃ والسَّلام Ke Saath Thi.Albatta Mere Baad Koi Nabi Nahi Hoga."

Aur Maine Huzoor Nabi-E-Kareem Nabi-Us-Saif صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Ko Yeh Irshaad Farmaate Huwe Suna Hai : "Aaj Main Jhanda Us Shakhs Ko Dunga , Jo Allah Aur Uske Rasool Se Mohabbat Rakhta Hai".                                                                                                      Reference:-  (Sunan Ibne Majah,Jild-1, ابواب فی فضائل اصحابِ رسول اللہ ﷺ، Fazaail-E-Maula Ali,Page- 339, Hadees No:- 121)

  NOTE:-

🖊️Agar Isko Sahih Maan Bhi Liya Jaaye Tab Bhi Yaha Gaaliyan Ya Bura Kehna Muraad Nahi Le Sakte, Kyunke Hazrat Syyedina Sa'ad Bin Abi Waqqaas رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ka Gussa Hone Ki Wajah Yeh Thi Ke Hazrat Syyedina Muawiya رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Hazrat Syyedina Amir-Ul-Momineen Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ki Shikaayat Ya Tanqeed Karne Lage ( Yaha Riwaayat Me "نَال" Ka Matlab Shikaayat Karna Hai Na Ke Gaaliya Dena Hai).

Isi Baat Par Hazrat Syyedina Sa'ad Bin Abi Waqqaas رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ko Gussa Aaya Aur Hazrat Syyedina Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ke Fazaail Bayaan Kiye.

Ab Sawal Uthta Hai Ke Shikayat Ya Tanqeed Thi Kis Baat Par ?

To Uska Jawab Bhi Yeh Hai Ke Hazrat Syyedina Amir Muawiya رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Qisaas-E-Osmaan Ka Muta'aliq Tanqeed Ya Shikayat Kar Rahe The Ke ,Warna Agar Shikaayat Ya Tanqeed Karni Hi Thi To Yeh Qatl-E-Osmaan Zunnurain رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Se Pahle Kyun Na Kiya Lihaza Pata Chala Ke Woh Apna Ijtihaad Pesh Kar Rahe The Aud Apne Ijtihaad Ko Sahih Qarar De Rahe The (Jo Ke Khata-E-Ijtihaadi Thi Aur Usmein Bhi Sawaab Milta Hai) Jabke Hazrat Syyedina Sa'ad Bin Abi Waqqaas رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Amir-Ul-Momineen Asadullaahil Ghaalib Syyedul Arab Wal Ajam Abu Toraab Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ke Ijtihaad Ko Haq Jaante Maante The, Aur Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Jo Ke Sahaba Karaam رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہُم اَجْمَعِیْن  Me Amir-Ul-Momineen Hazrat Maula Abu Bakr Siddique, Amir-Ul-Momineen Maula Omar Farooque, Amir-Ul-Momineen Maula Osman Zunnurain رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہُم اَجْمَعِیْن Ke Baad Sabse Afzal The, Aur Beshumaar Fazaail Ke Maalik The Lihaza Yeh Tamam Fazaail Jaante Huwe  Hazrat Syyedina Sa'ad Bin Abi Waqqaas رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ke Saamne Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ke Ijtihaad Ke Muta'aliq Shikayat Ya Tanqeed Kiye Jaane Par Unka Gussa Hona Yeh Fitri Baat Thi.

Aur Rawafiz Chunkein Jaahil Hote Hai Lihaza Unhein Yeh Tak Nahi Ma'aloom Ke "Tanqeed" Ka Urdu Ma'ani "Sahih Ghalat Me ,Khare Khote Me Farq Batana Hota Hai" Aur Hazrat Syyedina Amir Muawiya رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ka Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Par Tanqeed Karna Ka Matlab Bhi Saaf Hua Ke Woh Qatl-E-Osmaan Zunnurain رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ke Maamle Me Apne Ijtihaad (Jo Ke Khata-E-Ijtihaadi Thi Jismein Sawab Milta Hai) Us Ko Sahih Kah Kar Amir-Ul-Momineen Asadullaahil Ghaalib Syyedul Arab Wal Ajam Abu Toraab Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ke Ijtihaad Ko Jo Ke Haq Tha Usko Ghair-Sahih Maante The Isliye Hazrat Syyedina Sa'ad Bin Abi Waqqaas رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Gussa Huwe.

🖊️Yeh Baat Bhi Waazeh Ho Gayi Ke Tanqeed Ka Matlab Burayi Bayan Karna, Ya Gaali Dena Nahi Hota Lihaza Rawafiz Ko Chahiye Ke Urdu Tarjama Par Faisla Karein To Zara Urdu Adab Me "Tanqeed" Ke Baare Me Padh Aaye.

 

✍️🖊️Raawiyon Aur Riwaayaat Ki Sehat Par Tehqeeq:-

Aur Phir Yeh Riwaayat "منقتع" Hai (Ya'ani Tooti Hui,Kati Hui Hai) , "Ibne Saabit" Ne Hazrat Syyedina Sa'ad Bin Abi Waqqaas رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Se Hadees Nahi Suni Aur "Abu Muawiya Par Bhi Kalaam Hai

🌹Ibne Majah Ki Is Riwaayat Ke 2 Raawiyon Ke Baare Me Kalaam Hai.

📝(1) Abdurrahman Bin Saabit:-

"Tehzeeb-Ul-Kamaal Fi Asma'ur'rijaal" Me "Imam Al-Mizayyi Jamaluddin Abul Hajjaaj Yousuf Bin Zaki Bin Abdurrahman Bin Yousuf Bin Abdul Malik Bin Yousuf Bin Abiz Zahr Al-Quzaayi Al-Halabi Ash-Shafa'ee رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ " Likhte Hai:-

عبد الرحمان بن سابط، ويقال:عبد الرحمان بن عبد الله بن سابط، ويقال: عبد الرحمان بن عبد الله بن عبد الرحمان بن سابط بن أبي حميضة بن عمرو ن أهيب بن حذافة بن جمح القرشي الجمحي المكي.تابعي، أرسل عن النبي صلى الله عليه وسلم (ت).روى عن: أنس بن مالك من وجه ضعيف،وسعد بن أبي وقاص وقيل: لم يسمع منه،

"Ya'ani Unhone Syyedina Sa'ad Bin Abi Waqqaas رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Se Riwaayat Ki Hai Lekin Unsein "سماع" (Sima) Nahi Kiya"

Reference:-

(Tehzeeb-Ul-Kamaal,Jild-17, Page -127)

 

🌹Taareekh-E-Kabeer Me Imam Bukhari Ne Unhein "مرسل" (Mursil) Kaha

Reference:-

Taareekh-E-Kabeer,Jild-5, Page -294

 

🌹 Daar-Qatani Ne Hadees-E-Sa'ad Ke Asaaneed (اسانید Ya'ani Hadees Ki Sanadon) Me In Janaab Ka Zikr Nahi Kiya , Mulahiza Ho علل Daar-Qatani

(دارلقطنی نے حدیث سعد کے اسانید میں ان جناب کا زکر نہیں کیا ملاحضہ ہو علل دارالقطنی ۔)

 

🌹🖊️Ibne Hajar Ne Jo Kaha Hai Woh Yeh Hai "Tehzeeb-Ut-Tehzeeb" ,Jild-6, Page-164:-

Ya'ani "Yeh Nabi-E-Kareem صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Se "Mursil (مرسل) Riwaayat" Karte Hai,Hazrat Syyedina Omar,Hazrat Syyedina Sa'ad,Hazrat Syyedina Abbas رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہُم اَجْمَعِیْن ,Hazrat Syyedina Abbas Bin Abi Rabeeah رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Aur Hazrat Syyedina Mu'aaz Bin Jabal رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Se Riwaayat Karte Hai Lekin Unmein Se Kisi Ko Bhi Unhone Nahi Dekha. Hazrat Syyedina Yahya Bin Moin رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Se Puchha Gaya Ke Abdurrahman (Bin Saabit) Ne Hazrat Syyedina Sa'ad Bin Abi Waqqaas رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Se "سماع (Sima'a)" Kiya Hai To Unhone Kaha "NAHI".

🌹🖊️Isi Tarah Ibne Hajar رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ne "Al-Isaabah,Jild-5, Page -176" Pe Unka Zikr Kiya Hai.

 

Yeh Na Sirf Sahaba Karaam رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہُم اَجْمَعِیْن Balke Huzoor Nabi-E-Kareem صَلَّی اللہُ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلِہٖ وَصَحْبِہٖ وَسَلِّمْ Se Bhi Riwaayat Karte Hai, Uske Alawah Unhone Hazrat Syyedina Abu Bakr Aur Hazrat Syyedina Omar رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہُم اَجْمَعِیْن Aur Ummul Momineen Syyedah Tayyiba Taahirah Ayesha Siddiqua رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهَـا Se Bhi Riwaayat Ki Hai Lekin Olama'a Ne Un Riwaayaat Ko "مراسیل (Maraasil)" Kaha Hai Aur Ibne Hajar Ne Likha Hai Ke Yeh "مرسل (Mursil)" Hai Aur Bahot Olama'a Ne Is Baat Me "Imam Ibn-E-Moin" Ki Baat Ko Hi Sahih Mana Hai.

 

Isliye Olama'a Unhein "کثیر الارسال (Kaseer-Ul-Irsaal) Kehte Hai,Isi Bena Par "Imam Ibne Moin" Ne Unhein Syyedina Sa'ad Bin Abi Waqqaas رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ki Riwaayat Me "مرسل (Mursil)" Qaraar Diya Aur Unki Sahaba Se Hadees Ko "مرسل (Mursil)" Kaha Hai.

 

Yeh Baat Sahih Ke "Imam Ibne Moin" Unke Baare Me Alag Hai Lekin Olama'a-E-Ahle Sunnat Me Se Kisi Ne Ibne Moin Ki Baat Se Ikhtilaaf Nahi Kiya, "Ibne Haatim" Ko Agar Ikhtilaaf Tha To Unhone Syyedina Jaabir رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ke Masle Me Keh Diya Me Yeh "متصل(Muttasil)" Hai Lekin Hazrat Syyedina Sa'ad Bin Abi Waqqaas رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ke Baare Mr Unhone Bhi Nahi Kaha, Jaise Woh Bhi Imam Ibne Moin Ki Baat Ko Sahih Jaante The,Isliye YEH KEHNA DURUST HOGA KE YAHA TAMAM OLAMA-E-ASMAA-UR-RIJAAL "IMAM IBNE MOIN" KA SAATH DE RAHE HAI"

 

📝(2)

Abu Muawiya:-

Olama'a Ne Unhein A'amash Ke Tareeq Se To Pasandidah Kaha Hai Lekin Un Ki Dusri Ahaadees Ko "Muztarib" Kaha Hai , "Mudallis" Bhi The Aur Woh "Marjayi" Mazhab Ke The Jinka Maanna Hai Ke Insan Ek Baar Kalma Padh Kar Musalmaan Ho Jaaye To Phir Usein Jahannam Se Nijaat Mil Jaati Hai ,Duniya Me Phir Jo Chaahein Karein

Inka Mukammal Naam "Muhammad Bin Khazim Al'a'ami (محمد بن خازم الاعمی)Tha

 

✏️ Imam Ibne Hajar Ne "Tabqaat E Mudalliseen" ,Page No-46, Me Inka Naam Bhi Zikr Kiya Hai

✏️Ibne Habbaan Ne "Siqaat" Me Inka Zikr Is Tarah Kiya Hai:-

  "كان حافظا متقنا ولكنه كان مرجئا خبيثا"

 Ya'ani "Yeh Haafiz Tha Lekin Saath Me "Marjayi Khabees" Bhi The.

  ✏️Imam Abi Dawood As-Sijistaani Kehte Hai Ke :-

  كان مرجئا ، ومرة : كان رئيس المرجئة بالكوفة

Syyedina Imam Ahmed Bin Hanbal رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Farmaate Hai :

أبو معاوية الضرير في غير حديث الأعمش مضطرب , لا يحفظها حفظا جيدا ۔

"Ya'ani Abu Muawiya A'amash Ke Alawah Dusri Ahaadees Me "Muztarib (مضطرب) Hai Aur Inka Haafiza Bhi Kam Tha"

Reference:-

(Tehzeeb-Ul-Kamaal)

 

✏️Isi Tarah Imam Zahbi Farmaate Hai :

 الحافظ، ثبت في الأعمش، وكان مرجئا ۔

 Ya'ani "A'amash Ke Tareeq Se Sahih Hai Aur Marjayi The"

 Reference:

 (Tehzeeb-Ul-Kamaal)

 

✏️ Yahya Bin Moin Farmaate Hai:

أبو معاوية أثبت من جرير في الأعمش وروى أبو معاوية , عن عبيد الله بن عمر أحاديث مناكير ۔

Reference:-

(Tehzeeb-Ul-Kamaal)

 

✏️قال ابن سعد كان ثقة كثير الحديث يدلس، وكان مرجئا ۔

Reference:- (طبقات ابن سعد: ٦ / ٣٩٢)

 

✏️قال عبد الرحمان بن أبي حاتم:سمعت أبي يقول: أثبت الناس في الأعمش: الثوري، ثم أبو معاوية الضرير، ثم حفص بن غياث، وعبد الواحد بن زياد، وعبدة بن سليمان أحب إلى من أبي معاوية يعنى في غير حديث الأعمش ۔

Reference:- (الجرح والتعديل: ٧ / الترجمة 1360)

 

✏️وقال ابن حجر في التهذيب قال النسائي: ثقة في الأعمش وقال أبو داود: قلت لأحمد كيف حديث أبي معاوية عن هشام بن عروة؟ قال: فيها أحاديث مضطربة يرفع منها أحاديث إلى النبي صلى الله عليه و آلہ وسلم ۔

Reference:- (اتہذیب 9 / 139)

 

 

In Dono Raawiyon (Abdurrahman Bin Saabit Aur Abu Muawiya) Par Jarah Wa Tehqeeq Ke Baad Yeh Riwaayaat Khud-Ba-Khud Hi "Zaeef" Ho Jaati Hai Phir Is Hadees (Ya'ani Yeh Sunan Ibne Majah Ki Hadees) Me "Sabb (سب)" Ka Lafz Hi Maujood Nahi.

Baaqi Jo Bhi Riwaayat Hai Woh Taqreeban Isi Hi Tarz Par Hai Lihaza Aap Khud Faisla Farma Lijiye Ke Kaise Zaeef Aur Be'sanad Riwaayaat Laa Laa Kar Ummat-E-Muslima Ko Gumrah Karke Jahannam Me Dhakel Rahe Yeh Rafzi .

Aur Agar Is Sunan Ibne Majah Waali Riwaayat Ko Sahih Maan Bhi Liya Jaaye To Ismein Sirf Shikaayat Ya Tanqeed Karne Ka Likha Hai Jis Ka Matlab Hai Woh Hazrat Syyedina Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ  Ka Qisaas Ke Masle Me Jo Ijtihaad Tha Ya Unhone Qisaas Nahi Liya Tha To Ho Sakta Hai Woh Uske Muta'aliq Tanqeed Ya Shikaayat Karne Lage Ho ,Ismein "Sabb (سب)"  Ka Lafz Tak Maujood Nahi Hai Baaqi JIN BHI KUTUB ME YEH YA AISI RIWAYAAAT PAAYI JAATI HAI WOH AISI HI HAI.

 

🖊️✍️Shia Rafzi Aur Kuchh Kitaabein Pesh Karte Hai Jinke Raawi Aur Riwaayat Aur Kitaab Ki Na Sehat (Authenticity) Mazboot Hai Aur Na Hi Sanad Aur Unmein Se Kuchh To Rafzi Hai Jinhe Yeh Sunni Bata Kar Pesh Karte Hai Aur Ummat-E-Muslima Ko Gumrah Karne Ki Koshish Karte Hai,Lihaza Un Jaahil Rafzi Shio Ke Dalaail Ke Taur Par Pesh Kiye Jaane Waale Kitabon Ke Naam Dekhiye :-

📝(1) Tareekh-E-Mas'oodi (Murawwajuz Zahab Wa Ma'adinil Jawaahir:-

(الصفوۃ) فی الامامة لابى الحسن علی بن حسین المسعودی صاحب "مروج الذهب" المتوفی بمصر 346 ذکره  النجاشی وصرح به فی اول "مروج الذهب" ۔

Tarjama:-

"As-Safwah" Naami Kitaab "Abul Hasan Ali Bin Hussain Mas'oodi" Ki Tasneef Hai ,Jisein Usnein Masla-E-Imaamat Ke Mauzo Par Likha, Yeh Musannif "Murawwajuz Zahab" Ka Bhi Musannif Hai,Jo 346 Me Misr Me Inteqaal Kar Gaya, Uska Najjaashi Ne Zikr Kiya,Aur "Murawwajuz Zahab" Ke Shuru Me Iska Tasreeh Maujood Hai.

Reference:-

(الذریعہ الی تصانیف الشیعہ،Jild-15, Page 47.)

 

📝 Dusri Shia Kitab Ka Hawala Jismein Tareekh-E-Mas'oodi (Murawwajuz Zahab) Ke Musannif Ko Shia Saabit Kiya Gaya.

"Mas'oodi Huzali" Jiska Naam "Abul Hasan Ali Bin Hussain Bin Ali " Hai,Bahot Bada Shaikh Aur Mowarrikheen Me Se Buzurg Aur Unka Mustanad Hone Ke Saath Ek Bahot Bada Aalim Tha,Allama Ne Usein "Khilaasat-Ur-Rijaalish" Ki Qism Awwal Me Zikr Kiya,Aur Kaha Ke Uski (Mas'oodi Huzali) Ki Ek Kitaab Imaamat Wagairah Ke Masle Par Hai Jis Me Usnein Hazrat Syyedina Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ki Wasiyat Ke Isbaat Par Bahot Kuchh Likha Hai, "Murawwajuz Zahab" Bhi Usi Ki Tasneef Hai,Allama Majlisi Ne Muqaddma Me Aur "Bihaarul Anwaar" Ki  Ibaarat Shuru Karne Se Pahle Iska Tazkirah Kiya,Aur Najaashi Ne Isein Mas'oodi Ko Apni Faharsat Me Un Raawiyon Me Shumaar Kiya Hai,Jo Shia Maslak Rakhte Hai,Aur Kaha Ke Uski Ek Kitaab Ka Mauzo Hazrat Syyedina Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ki Wasiyat Ja Isbaat Bhi Hai, Kitaab "Murawwajuz Zahab " Isi Ki Tasneef Hai.

Reference:- Shia Kitab=Page-184,Jild-3 ,الکنی و لالقاب عربی

، Page -221-Jild-4, الکنی و لالقاب فارسی

Note:- Ab Aap Khud Hj Andaza Laga Lijiye Ke Taareekh-E-Mas'oodi Murawwajuz Zahab Ka Musannif Shia Hai .

 

🖊️Shia Ki Mash'hoor Kitab "Muntakhab-Ut-Tawaarikh" Muqaddma (ج) ,Jo Ke Tehran Se Chhapi Hai ,Nuskha Qadeem , Me Hai Ke :-

"Haalanke Haqeeqat Yeh Hai Ke Mas'oodi Imaami Shia Hai"

 

🖊️

Abul Hasan Ali Bin Hussain Mas'oodi Saahib-E-Murawwajuz Zahab Ki Ek Tasneef "کتاب المقالات فی اصول الدیانات" Hai, Us Kitaab Ka Tazkirah Usnein "Murawwajuz Zahab" Me Kiya Hau,Najaashi Ne Iski Ek Tasneef "الاباۃ فی اصول الدیانات"  Ka Zikr Kiya Hai,Aur Sheikh Toosi Aur Najashi Wagairah Ne Iska Ahle-Tashayyo (Ya'ani Shio )Me Se Hona Aur Is Par Nass (نص) Waarid (وارد) Ki Hai. 12 Imaamon Ki Imaamat Ke Isbaat Par Iske Kayi Tasaneef Hai,Allama Tajuddin As-Subki Ne Tabqaat-E-Shaafaiyah Me Iska Zikr Kiya Lekin Yeh Mahaz Waham Hai,Yeh Isi Tarah Durust Nahi Jis Tarah Abu Jaafar Mohammad Bin Hasan At-Toosi Ko Allama Subki Ne Tabqaat-E-Shia Me Shumaar Kiya Hai, Haalanke Toosi Mazkoor Shio Ke Nazdeek "Shaikh-Ut-Taaifa" Ke Laqab Se Ma'aroof Hai.

Reference:-

Shia Kitaab (Page-157,Jild-1,اعیان الشیعۃ)

(امولفوااشیعۃ فی الفرق و والدیانات مطبوعہ بیروت طبع جدید)

Note:-

Is Shia Kitab Se Bhi Sabit Hua Ke Murawwajuz Zahab Kitab Shio Ki Hai Na Ke Sunniyo Ki , Lihaza Isey Sunniyo Ki Kitaab Bata Kar Pesh Karne Waale Shio Wa Rawaafiz Ki Fareb Aur Dhoka Ka Andaza Laga Lijiye Ke Kitne Bade Jhoothe Hote Hai Shia.

 

 

🖊️ Shia Olama'a Ke Jinhone Ilm-E-Najoom Me Shohrat Paayi , Us Ilm Ke Olama'a Me Se Afzal Ali Bin Hussain Mas'oodi (Saahib-E-Murawwajuz Zahab) Hai, Jo Kitaab Murawwajuz Zahab Ka Musannif Hai, Yeh Shakhs Apne Daur Ka Faazil Aur Sheikh Tha, AUR MASLAK KE AITBAAR SE SHIA THA

 

Shia Kitaab (Page-160,Jild-1,اعیان الشیعۃ)

 

 

✏️الذریعہ ، الكنی والالقاب، منتخب التواریخ، اعیان  الشيعه Aur تنقیح المقال

Ke Hawala'jaat Se "Murawwajuz Zahab (Taareekh-E-Mas'oodi" Ke Musannif Ali Bin Hussain Mas'oodi Ki Haqeeqat Khul Kar Saamne Aa Gayi, Unmein Se Taqreeban Aksar Hawala'jaat Khud Inhi Shio Ki Ghar Se Hai Ke Woh Tareekh-E-Mas'oodi Murawwajuz Zahab Ka Musannif Shia Rafzi Aur Imami Shia Tha,Jis Par Bahot Se Dalaail Pesh Kiye Gaye, "Saahib-E-Muntakhabut Tawareekh" Ne Almama Subki Ka Taareekh-E-Mas'oodi Murawwajuz Zahab Ke Musannif Ko "Tabqaat-E-Shaafaiyah Me Shumaar Karna Waham Qaraar Diya Hai" Lihaza Koi Rafzi Isein Ahle Sunnat Wal Jamaat Me Daakhil Karne Ki Jhuthi Wa Naakaam Koshish Na Karein.

..............................................................

✍️🖊️Isi Tarah Ek Aur Kitaab Pesh Karke Dhoka Dete Hai Yeh Ahle Sunnat Wal Jamaat Ki Kitaab Bata Kar Jiska Naam Hai "TAZKIRATUL KHAWWAAS".

📝 Tazkiratul Khawwaas  Jiska Musannif Hai "Sibt Ibn Al-Jauzi" Hai, Jo Ke Khud Shia Tha Jo Ke Shia Olama'a Ki Nass (نص) Se Saabit Hai:-

 

✏️ (Tazkiratul Khawwaas Ka Musannif Sibt Ibn Al-Jauzi) Idhar Udhar Ki Haankne Wala ,Gappi Aur Ghair-Siqah (غیر ثقہ) Aadmi Hai ,Iske Saath Kattar Shia Hai

Reference:-

(الكنی والالقاب فارسی ، Jild-3,Page-297 , مطبوعہ تہران طبع جدید)

................................

📝 Tazkiratul Khawwaas  Jiska Musannif Hai "Sibt Ibn Al-Jauzi" Hai, Jo Ke Khud Shia Tha Aur Yeh Sunni Olama'a Ki Nass (نص) Se Bhi Saabit Hai:-

✏️Main To Isein Siqah (ثقہ) Ghumaan Nahi Karta, Sheikh Mohiuddin Ne Kaha Jab Mere Dada Ko Sibt Ibn Al-Jauzi (Tazkiratul Khawwaas Ka Musannif) Ki Maut Ki Khabr Mili,To Unhone Kaha Tha "US RAFZI PAR ALLAH TA'ALA RAHAM NA KAREIN".

Reference:-

(Mizanul Aitidaal,Jild-3, Page - 333, مطبوعہ مصر طبع قدیم)۔

 

✏️ Imam Ibne Hajar Farmaate Hai:-

"Main Isein (Sibt Ibn Al-Jauzi , Tazkiratul Khawwaas Ka Musannif Ko)  Siqah (ثقہ) Khayaal Nahi Karta,Balke Woh Baatooni Tha, Phir Is Par Mazeed Teh Ke WOH SHIA HO GAYA,......WOH SHIA THA . Yeh Bhi Zikr Kiya Gaya Hai,Ke Sibt Ibn Al-Jauzi Apne Ustaad Isaa Ki Wajah Se Hanafi Ho Gaya Tha, Kyunke Janaab Isaa Uske Nazdeek Qaabil-E-Ihtiraam Shakhsiyat Thi,Imam Ahmed Ki Ta'azeem Me Ghulu Kiya Karta Tha,Lekin Mere (Ibn Hajar Al-Asqalaani) Ke Nazdeek Uska Hanafi Banna Banaawti Aur Dikhlaawe Ki Khaatir Tha,Dar'haqeeqat YEH APNE MAZHAB-E-SHIAT SE NAHI PHIRA THA.

REFERENCE:-

(Lisaanul Mizaan ,Jild-6, Page - 328 ,مطبوعہ بیروت طبع جدید).

 

Lamha-E-Fikriya:-

In Tamam Dalaail-E-Sahiha Se Saabit Ho Gaya Ke "Tazkiratul Khawwaas" Aur Uska Musannif "Sibt Ibn Al-Jauzi" Ka Aqeedah Wa Maslak Bilkul Waazeh Ho Gaya, Ya'ani Yeh Kattar Shia Tha, Aur Phir Hamari Ahle Sunnat Wal Jamaat Ki Kitaab Lisaanul Mizaan Se Bhi Saabit Hua Ke Yeh Sibt Ibn Al-Jauzi Tazkiratul Khawwaas Ka Musannif Dhoka Aur Fareb Dene Ke Liye Khud Ko Hanafi Zaahir Karta Tha Jabke Haqeeqat Me Rafzi Tha,Isi Ke Zamaane Shaikh Mohiyuddin Ke Dada Ne Iske Inteqaal Ki Khabr Sun Kar Yeh Kaha Ke  "Allah Us (Sibt Ibn Al-Jauzi Tazkiratul Khawwaas Ka Musannif) Par Raham Na Karein Kyunke Yeh Rafzi Tha" , Isse Badh Kar Uske Shia Hone Ki Daleel Aur Kya Ho Sakti Hai ?.

Aur Khwamo-Khwah Shia Rawaafiz Aiss Kattar Rafzi "Sibt Ibn Al-Jauzi Aur Uski Tasneef Tazkiratul Khawwaas" Ko Ahle Sunnat Wal Jamaat Me Daakhil Kar Rahe.

Allah Ki Laanat Ho Jhootho Par.

.......................................................

Isi Tarah Rafzi Jahannami "Mustadrak" Ka Hawala Bhi Pesh Karke Kehte Hai Ke Usmein Riwaayaat Hai Ke Hazrat Syyedina Amir Muawiya رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ne Amir-Ul-Momineen Asadullaahil Ghaalib Syyedul Arab Wal Ajam Abu Toraab Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Par "SABB-WA-SHITAM (سب و شتم)" Kiya Jabke Aisi Koi Riwaayat "Mustadrak" Me Maujood Nahi .

.......................................................................................................

 

✏️🌹📝 Isi Tarah Yeh Imam Jalaluddin Suyuti رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ki Tasneef "Taareekh-Ul-Khulafa" Ka Hawala Dete Huwe Yeh Kehte Hai Ke "Khulafa-E-Bani Umaiyya Amir-Ul-Momineen Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Par Apne Khutbo Me "SABB-WA-SHITAM (سب و شتم)" Kiya Karte The.

Note:-

Ispar Mera Sawal Yeh Hai Ke Is Riwaayat Ka Inkaar Nahi Karta Magar Yaha Khulafa-E-Bani Umaiyya Se Muraad Hazrat Syyedina Amir Muawiya رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Hai Iski Daleel Kiya Hai ?????

Aur Agar "SABB-WA-SHITAM (سب و شتم)" Lafz Ki Wajah Se Mamla Bigad Raha To Phir Us Riwaayat Ka Kiya Jismein Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Aur Unke Sagge Chacha Hazrat Syyedina Abbas Bin Abdul Muttalib رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـھُمَا Me "SABB-WA-SHITAM (سب و شتم)" Huwe ,To Rawaafiz Yaha Kya Kahenge ??

...........................................................................................

✏️🌹📝Isi Tarah Kanzul Ummal Shareef me bhi kahi bhi yeh riwaayaat nahi hai ke "Hazrat Syyedina Amir Muawiya رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ ne khud ya kisi ko hukm diya Amir-ul-Momineen Asadullaahil Ghaalib Syyedul Arab wal Ajam Abu Toraab Syyedina Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ "SABB-WA-SHITAM (سب و شتم)" ka.

Jabke Banu Umaiyya ke kuchh Governors Syyedina Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ ki shaan me gustakhi to karte the isein to sab maante hai magar kahi bhi yeh baat darj nahi aur na hi saabit hai ke Hazrat Syyedina Amir Muawiya رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ ne kabhi Syyedina Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ par "SABB-WA-SHITAM (سب و شتم)" kiya ya iska hukm diya ho, lihaza shio ko chahiye ke Allah ka khauff karein Aur Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ se haya karein ke Kanzul Ummal Shareef aur Taareekh-ul-Khulafa me riwaayaat Banu Umaiyya ke kisi aur shakhs ke baare me hai ke woh Maula Ali Al-Murtaza رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ ko bura bhala kehta tha magar kitni farebi andaaz me shia usein Hazrat Syyedina Amir Muawiya رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ par chaspa karke bholi bhaali sunni awaam ko gumraah kar rahe.

Allah aise jhuthe aur shio par laanat karein aur Sunniyo ke imaan ki hifaazat farmaaye

.......................................................

Isi Tarah Rafzi Jahannami

✏️Taareekh-E-Abul Fida

✏️Imam Hasan (Unke Ahad Ka Siyaasi Wa Saqaafati Tajziya , Musannif -Nayyar Nadeem)

✏️Taareekh-Ul-Islam (Shah Moinuddin Ahmed Nadwi)

✏️Imam Hasan Aur Khilaafat-E-Raashidah

(Mufti Ghulam Rasool)

✏️Khilaafat Wa Malookiyat (Syed Abul Aala Maudoodi )

 

✍️Yeh Tamam Kitaabon Ke Musannif Aur Unme Zikr Ki Gayi Riwaayat Sab Ke Sab "Be-Sanad" Aur "Mauzo" Riwaayaat Ya'ani Jhuthi Aur Khud Se Gadhi Hui Riwaayaat Hai, Aur In Tamam Kutub Ke Musannif Badmazhab Hai, Warna Mera Challenge Hai Ke In Kitaabon Me Zikr Kiye Gaye Tamam Kutub Ke Riwaayaat Ki "Asnaad" Ka Sahih Hona Aur Unke Musannifon Ka "Sunni" Hona Saabit Karke Dikhaye.

 

Lamha-E-Fikriya:-

Aap Zara Dil Se Soche Ke Kisi Bhi Mustanad Riwayaat Se,Na Kisi Mustanad Kitaab Se,Na Kisi Sahih Sanad Se Yeh Saabit Hai Ke Ma'azallah Hazrat Syyedina Amir Muawiya رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ne Amir-Ul-Momineen Asadullaahil Ghaalib Syyedul Arab Wal Ajam Abu Toraab Maula Ali Al-Murtaza کَـرَّمَ الـلّٰـهُ تَـعَـالٰی وَجۡـھَـهُ الۡـکَـرِیۡم Ko Gaaliya Di Ya Dilwaayi Jiska Pura Khulasa Dalaail Ki Raushni Me Aapke Saamne Hai ,Ab Aap Dil Se Soche Ke Yeh Rafzi Kis Tarah Aapke Iman Se Khelte Hai Phir Aapko Sahaba Ka Baaghi Banaakar Aapko Jahannam Me Dhakel Dete Hai,Lihaza Inke Fareb Se Bache .

Allah عَزَّ وَجَلَّ Hamaare Iman Aur Aqeedeh Ki Tamam Badmazhabon Se Bachaaye,Deen-E-Islam, Mazhab-E-Imam-E-Azam Abu Hanifa, Maslak-E-Ghausul Aazam, Maslak-E-Shaikh-Ul-Islampir-E-Herat, Maslak-E-Khwaja Ghareeb Nawaz, Maslak-E-Makhdoom Ashraf Simnani  Maslak-E-Aalahazrat , Maslak-E-Mufti-E-Azam Hind Wa Tajushhariah Par Qaayem-O-Daayem Rakhe, Aur Ahlebait-E-At'haar Wa Ansaar Wa Olama'a-E-Ahle Sunnat Wal Jamaat Aur Tamam Momin Bhai Baheno Ka Adab Wa Mohabbat Karne Wala Banaaye, Aur Khusoosan Huzoor Ghausul Wara Shaikh-Ul-Islam Pir-E-Herat Khwaja Abdullah Harwi Al-Ayyubi رَضِـیْ اَلـلّٰـهُ تـعَـالـٰى عَـنْـهُ Ke Faiz Se Sarfaraaz Farmaaye Aur Mir Ali Ayyubi رَحْمَۃُ اللہِ تَعَالٰی عَلَیْہِ Ki Aulaadon Se Deen Ka Khub Kaam Le.

اٰمِیْن بِجَاہِ النَّبِیِّ الْاَمِیْن صَلَّی اللہ تَعَالٰی عَلَیْہِ وَاٰلہٖ وَسَلَّم

 

Taalib-E-Dua:-

 Mir Mohammad Tausif Raza Qadri Razvi Al-Ayyubi

 (الازدی الخزرجی النجّاری)

 

 

Comments

Popular posts from this blog

SHAJRAH-E-TAYYIBAH SILSILA-E-AALIYAH QADRIYAH BARKAATIYAH RAZVIYA NOORIYA

SHAB E BARAAT KE QURAN WA AHAADEES SE DALAAIL AUR AITRAAZAAT KA JAWAAB

ISLAM AUR SANATAN DHARM ME AURAT KA MAQAAM